My Super Hero
(Muhammad Fahad khan, dera ghazi khan)
Main Ny Boht Parha Ha Balke Sunna Ha Maa Ki Mohabbat Kay Bare Main Sb Kehte Hain
Sahi Kehte Hain Maa Jesa Koi Nhi Us Ki Boht Be-Misal Ha Woh Rehmat Ha ,Jannat
Ha, Shafqat Ha Sb Kuch Ha ........
Magar Aik Aur Bhi Ha Jis Ki Khushi Mujh Sy Ha Jo Mere Jeene Sy Jeeta Ha Jis Ka
Fakkhar Koi Aur Nhi Us Ki Beta Ya Beti Hoti Ha Je Haan Woh Hasti Koi Aur Nahi
Balke Woh Essa Soraj Ha Jo Agar Na Ho To Zindagi Main Aik Qadam Bhi Chal Na
Paaoun Jis Ki Shafqat Ka Yeah Alam Ha Apni Khushiyaan Apni Zindagi Ki Sansain Tk
Girwi Rakh Kay Meri Khushiyoun Ka Saaman Tiyar Krta Ha..Khud To Jese Tesse
Mushkil Halat Sy Larta Rehta Ha Magar Mere Chehre Ki Aik Karwat Bhi Us Be-Chain
Kr Detti Ha Baap Woh Azeem Hasti Ha Jis Ki Mohabbat Lafzoun Ki Mohtajj Nhi Aur
Na He Woh Ezhaar Mangna Janta Ha Woh To Faqat Qurabn Karna Janta Ha ............
Mujhe Dukh Hota Ha Jb Koi Walid Kay Samnae Ounche Lehje Main Baat Krta Ha Pata
Ha Baap Kiya Kuch Nhi Karta Ha Maa To Chand Saal Tumahin Palti Ha Tumhain
Sambhalti Ha Par Baap Jo Ha Na Woh Tumharae Paida Hone Sy Lay Kr Tumhari Akhri
Saans Tk Tumara Apna Hota Ha , Tmhara Khiyal Rakhta Ha , Tamaam Umar Tumhari
Khatir Tum Ko Har Cheez Detta Ha Jo Chhata Ha Mujh Sy Aagae Meri Oulad Ho...Ha
Kiya Koi Essa Jo Walid Ki Mohabbat Biyan Kar Sake....
Khuda Sy Arzzo Woh Har Kissi Kay Sar Pay Us Ka Walid Ka Saya Qiyamat Tk
Rakhain..Ameen
Farishta Na Sahi Farsihtoun Sy Kam Kahan
Fahad Aik Shakas Jo Mera Sab Kuch Ha