Akhri Mulaqat
(Muhammad Fahad khan, dera ghazi khan)
Us Akhiri Mulaqat Kay Woh Pal
Ab Tk Youn Taaza Hain Jese Ahad Abhi Tak Unhain Lafzoun Main He G Rha Ho…Un
Wadou Ko Nibhae Ja Rha Thaa Jo Us Nay Kabhi Kiyae He Nhi Thay…Un Khataoun Ki
Saza Woh Puri Kr Raha Tha Jo Ussay Maloom Hi Nhi Thay Jane Yeah Zindagi Ka Kesa
Sabaq Tha Jo Ussay Woh Piari C Nadan Sikha Gai , Masooiat Main Doobe Lafz Us Kay
,Us Pari Nay Esse Khoobsarat Andaz Se Lapit Kar Us Akhri Mulaqat Ka Kaha Kay
Ahad To Saans Lenna He Bhool Gya. Woh Sab Seh Sakta Tha Magar Yeah Nhi Par Hum
Sochte Hain Agar Essa Houa To Humari Jaan Challi Jaye Gi Magar Jante Ho Taqdeer
Bht Be‐Raham Ha Woh Bhi Ab Samjh Rha Tha Jab Us Larki Kay Lafz Sunne To Malouum
Houa Ky Kabhi Had Sy Piare Khoobsarat Lafz Bhi Hmari Sansoun Ko Esse Bhandtae
Hain Kay Sab Wahin Ka Wahin Reh Jata Ha Magr Unhi Lafzoun Main Hum Khud Kahain
Kho Jate Hain ….Aur Ahad Nay Poocha Tak Nhi Faqat Khud Ko Samattae Houa Kaha Bhi
To Itna Hamesha Muskarati Rehna Jahan Bhi Rehna….Aur Woh Samjhi Kay Ahad Tanz
Kar Rha Ha Ahad Ko Dukh Nhi Usay Farq Nhi Parta …………………………………………………Par Jante Ho
Ahad Aj Phir Haar Gaya Tha Khud Sy, Lafzoun Sy,Aur Us Larki Sy..Woh Apna Qasoor
Bhi Nna Pooch Paya Aur ….Aj Theek 9 Saal Baad Bhi Woh Sooraj Kay Saayae Main
Kahain Baitha Undekhi Zanjeeroun Ko Sehla Rha Tha Jiss Sy Woh Us Mulaqat Kay Din
Bandh Gaya Tha …