Khuda Ne Her Shay Ko Kisi Maqsad K Liye Banaya He
(Muhammad Faraz Baig, Karachi)
                Rivayat Main Ata Hai Ke Aik 
Martaba Hazrat Moosa (A.S) Ne Allah Talah Se Poocha Ke Ae Khuda App Ne Chupkali 
(Lizard) Ko Kio Paida Kiya. Yeh To Kisi Kaam Ki Nahi Aur Badsoorat Bhi Hai Aur 
Na Hi Is Ka Koi Faida Hai. 
Hazrat Moosa (A.S) Ke Is Sawal Per Allah Talah Ne Farmaya Ae Moosa, Kamal Hai 
Kal Chupkali (Lizard) Bhi Mujh Se Yehi Sawal Kar Rahi Thi Ke Ae Khuda App ne Moosa 
(A.S) Ko Kio Paida Kia.
Conclusion:
Is Riwayat Se Hame Yeh Nasihat Milti Hai Ke Allah Tala Ne Is Duniya Main Koi Bhi 
Cheez Be Bunyad Paida Nahi Ki. Hum Nahi Jante Magar Allah Behtar Janne Wala Hai. 
Woh Seep Se Moti Nikalne Wala Aur Tamam Kainat Ka Khaliq Hai. Tamam Duniya Ke 
Raaz Wohi Behtar Janta Hai. Yeh Sab Us Hi Ki Kudrat Ka Karishma Hai Ke Us Ne 
Kisi Ko Kala To Kisi Ko Sufaid Banaya Kisi Ko Khoobsoorat To Kisi Ko Badsoorat 
Paida Kiya. Koi Bohat Ameer Hai To Koi Bohat Gareeb. 
Bas Zaroorat Is Baat Ki Hai Ke Hum Allah Talah Ka Har Haal Main Shukar Ada Kare 
Aur Us Hi Se Mange Na Kisi Ko haqeer jane Aur Na Hi Kisi Ki Kami Aur Gurbat Ka 
Mazak Uraye. Beshak Wohi Rizk Dene Wala Hai. Allah Hame Quran Pak Per Amal Karne 
Aur Us Ke Pyare Nabi (SAW) Ki Ataat Aur Muhabbat Naseeb Farmaye. (Ameen)
Note:
" Tehreer Main Koi Ghalti, Kotahi Ya Kami Beshi Ho Gayi Ho To Allah Ke Hazoor 
Mafi Ka Khuastgaar Hoon.Allah Apni Raheemi Karimi Se Maaf Farmaye"