Maan Ki Dua

(Afshan Rahman, Chicago usa)

Maan Yeh Word Likhne Or Perhne Mein To Nahayat Small Hay Lekin Asel Mein Bhut Hi Bara Word Hay . Woh Kese Keh Hadith Mein Hay Prophet Mohammad [PBUH]Ne Fermayya Sub Se Kabira Gunna Maan Baap Ki Nafermani Hay Ese Insan Ke Lia Jannet Haram Hay.Ek Hadith Hay Keh Ek Sahabi Ne Poocha Mujh Per Sub Se Zeeyada Kis Ka Haq Hay Mahammad {PBUH]Ne Fermayya 3 Bar Poochne Per Her Bar Ek Hi Word Tumharee Maan Ka Hauq Zeeyada Hay 4 Bar Kaha Tumhare Baap Ka Haq Is Se Saabit Hota Hay Keh Maa Kitni Ehmiat Rakhtee Hay Ek Mertaba Ek Sahabi Ne Kaha Mene Apni Maan Ko God Mein Utha Ker Haj Kerwayya Hay Kioon Ke Woh Old Thee Kia Mene Huq Ada Kerdeea Mohammad [P.B.U.H]Ne Fermayya Nahi Tum Ne Ab Bhi Huq Ada Nahi Kia Kioon Keh Jo Tekleef Tumhari Maan Ne Tumharee Pedaesh Per Uthaee Thee Woh Bhut Zeeyada Thee Tum Oos Ka Haq Ada Nahi Kersekte. Prophet Mohaamad {P.B.U H] Ne Fermayya Nahyet Bad Qismat Hay Woh Jis Ke Maa Baap Old Thay Or Zinda Thay Lekin Oos Ne Oon Ki Khidmat Kerke Jannat Ko Hasil Na Kiaa. Kioon Ke Maa Baap Esee Hastee Hein Jo Sub Se Zeeyada Mehnat Kerte Hein Apni Olad Ki Perwerish Mein. Maan Ka Kirdar Esa Hay Jis Ne Sub Se Zeeyada Telkleef Or Mushkil Uthaee Hay. Nine Month Tak Phir Pedaesh Per Or Chote Bache Ke Lia Raaton Ko Uthtee Rahee. Jub Moosa Aleh Salaam Ki Walida Ka Inteqal Hoowa To Allah Wa Subhana Wa Talla Ne Kaha E Moosa Ab Tumhari Maan Keh Dua Keh Haath Nahi Hein Jo Her Waqt Tumhare Lia Uth Te Thay Or Tum Her Mushkil Se Bach Jate Thay Ab Zara Sambhel Ker Rehna Oos Bat Se Sabit Hotta Hay Keh Ek Maa Ki Dua Rad Nahi Hotee. Maa To Izzat Or Ehteraam Se Rakhna Chae Maa Per Pyar Ki Nazer Se Dekhna Bhi Sawab Hay Adna Naeki Hay. Ek Shakhs Ko Mohammad {P.B.U.H]Ne Jannet Ki Basharet Dee Thee Ek Sahabi Ne Poocha Oon Ka Ese Konsa Ammal Hay Mohammad [P.B.U.H.] Ne Fermayya Jao Or Talash Kero Woh Oon Ke Saath Chale Gae Or Braber Watch Kerte Rahe Aakher Woh Shaks Jo Meat Bechta Tha Apne Gher Gayya Woh Bhi Saath Gae Dekha Oos Insan Ne Sara Din Mein Meat Ke Ache Pieces Jama Kia Thay Woh Pakaya Or Apni Old Maan Ko Sub Se Pehle Khilayya Phir Apni Wife Or Bachon Ko Diaa Yahan Woh Sahabi Samjh Gae Keh Yeh Naiki Hay Jo Is Ko Junnat Mein Le Jaae Gee.Is Se Saabit Hoowa Maa Kitni Baree Nemat Hay Ager Aapke Parents Alive Hein Plz Oon Ki Kidmat Karen Ager Alive Nahi Hein To On Keh Lia Magferet Ki Dua Karen Or Oon Ki Terf Se Sadqa Karen Ye Ek Dua Hay RUB IR HUM HUMA KAMA RAABAYANI SAGEERAH Ae ALLAH HAMARE MAAN BAAP PER REHEM KER JIS TERHA UNO NE HUM KO PALLA THA.Yeh Dua Hadith Se Sabit Hay Jo Hum Ko Her Waqt Perhnee Chae.Aameen

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 219803 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.