Doorian Nazdekian

(Tahira Afzaal, Rawalpindi)

Ankh Jo Kuch Dekhti Hai Lab Py Aa Sakta Nahi
Mehwe Haret Hon K Dunia Kia Sy Kia Ho Jae Ga.

Matric K Imtehan Ki Tyari Kerty Hwy Yeh Shair Boht Retta Legany K Bad Yad Hwa Tha,Us Waqat Is Shair Ki Gehrai Ka Andaza Na Tha Urdu B Ki Tyari K Doran Yad Kia Tha,Lekin Aj Samajh Aya K Shaayer Ki Haret Haqeqat Per Mubni Hai.

Science K Wasy To An Ginat Karishmy Hain Lekin Jo Zulm Is Choti Si Dibia Ne Dhaya Ha Us Ka Muqabla Koi Bhe Nahi Ker Sakta.Ap Yeqinun Samajh Ga Hon Ga,Jee Han Main Mobile Fon Ki He Baat Ker Rhi Hon.

Maan Baap Behen Bhai Bewi Bechy Aziz Rishty Dar Sab Aik Teref ,Belky Yeh Kehna Ghalat Na Hoga K Khuda Oar Rasool Bhe Isi Aik Teref Oar Mobile Fon Dosri Teref,Tamam Hadood Par Kerdi Han Dore Jadeed K Insaan Ny,Jis K Pas Mobile Hota Ha Wo Pas Bethy Itynsaan Ko Jeeta Jagta Insaan Samjhty He Nahi Oar Is Bejan Aaly Ko Jind Jaan Samajh Ker Is Mai Mehev Rehty Han,Oar Jin K Pas Yeh Nahi Ha Wo Doseron Sy Chenty Hwy Unhen Jeety Jaagty Insaan Sy Aik Laash Mai Badal Dety Han,Bus Pistool Sy Aik Goli He To Chelana Hoti Ha,Lihaza Yeh Bejaan Aala Qaatil Benany Ka Bhe Khoob Maahir Ha.

Purany Waqton Mai Pagal Pun Kiyeh Pehchan Hwa Kerti Thi K Woh Apny Aap Sy Baatein Kia Kerty Thy,Serkon Pe Bazaron Main Ika Duka Log Aisy Nazar Aya Kerty Thy,Ab To Legta Ha Ullat He Ho Gya Ha,Ya Yon Kehna Chahiy K Sara Jehaan He Paglaa Gya Ha,Her Koi Kanon Mai Tootian Legaay Deewanon Ki Terah Baatein Kiy Ja Reha Ha,Shuro Mai To Main Waqei Yeh Samajhti The K Paagloon Ki Tadaad Mai Izafa Ho Gya Ha,Lekin Haqeqat Bhe Shayed Yhe Ha Kion K Saahibe Shaoor To Aisi Herket Na Keren.

Mobile K Muzir Asraat Ka Shikaar Sab Sy Ziada Bazureg Hwy Han,Jadeed Dor Ki Masroof Treen Terze Zindagi Main Jehan Woh Pehly He Nazar Andaz Ho Rhy Thy Keh Rehi Sehi Kesser Is Mooey Mobile Ny Poori Kerdi Ha,Ager Ghar K Kisi Fard Kofursat K Do Pal Mil He Jain Buzergon K Pas Bethny K Liey To Woh Gongy Behry Beny Mobile K Sath Masroof Rehain Gy Oar Maan Baap Ya Dada Dadi Jis K Pas Bhe Bethy Han Woh Babusi Oar Khamoshi Sy Unhen Dekhty Rehien Ga K Shaied Do Lafaz Humary Hissy Mai Bhe Aa Jain Shaied Humari Khariat Bhe Deryafet Ker Li Jaey,Lekin Saahe-Be Mobile To Samander Paar Kisi Anjaan Sy Khariat Deryafet Kerny Mai Masroof Rehta Ha Jaisy Yehi Is Ka Ferze Awalien Ho ,Khuda K Haan Jwab Dena Ho K Face Book Istemal Ki K Nahi,Anjaan Logon Ka Haal Ihwaal Poocha K Nahi Sirf Yehi Nahi Un K Pasanedeeda Mushghaly Tak Pochy Jaaty Han Oar Jo Twujo K Telebgaar Bazureg Ghar Bethy Han Woh Bus Muntazir He Reh Jaty Han.
Khuda Humari Nai Nasal Ko Hadaayet Dy .Ameen.
 

Tahira Afzaal
About the Author: Tahira Afzaal Read More Articles by Tahira Afzaal: 15 Articles with 15715 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.