Bismillahi
Rehmane Raheem
Categories
Waqt Aik Panchi Ki Tarha Bachpan Kai
Ghonsly Ko Chodkar Udhta Hua Jawani Kai
Ghonsly Mai Qadam Rakh Chuki Hai.Ab Tak
Zindagi Kai Safar Mai Bohot Khuch
Seekha.Ak Badi Baat Jo Mai Nai Ab Tak
Kai Safar Mai Seekhi Wo Yai Kai Zindagi
Mai Insan Ka Sub Sai Bada Aor Asal
Ustaad Zindagi Khud Hoti Hai Jo Insan Ko
Bohot Khuch Seekha Daiti Hai Lakin Asal
Baat Yai Hai Kai Insaan Khud Kis
Category Kai Students Mai Shamil Hai.Kya
Un Students Mai Shamil Hai Jo Zindagi
Sai Hasil Karda Asbaaq Ko Jaldi Samajh
Laity Hain Aor Apny Aagy Ki Zindagi Kai
Lya Pallu Sai Baadh Daity Hain.Ya Phr Un
Ka Shumaar Un Dheet Kisam Kai Tulba Mai
Hota Hai Jo Zindagi Sai Mily Huay Asbaaq
Jo Kai Aksar Nakamiyon Aor Nuksanaat Par
Mabni Hoti Hain, Ko Qismat Kai Hissay
Mai Daal Kar Apny Hath Saaf Karlaity
Hain Jo Kai Asal Mai Unky Khud Kiyan
Huay Galtiyon Aor Nadaniyon Ka Nateeja
Hoti Hain.Jub Khud Ko In Donon
Categories Kai Students Sai Compaire Kya
Tu Faisla Nhi Krpasaki Phr Socha Kai
Shayad Koe Teesri Kisim Ki Category Bhe
Paaye Jati Hogi .Bohot Goor Krny Kai
Baad Yaad Aya Kai Haan Belkul ,Teesry
Kisam Kai Logon Ko Tu Bhool Hi Gae Jin
Ka Shumaar Na Hi Sub Sai Qaabil Students
Mai Hota Hai Nai Kai Un Students Mi Jo
Bht Sust Rawi Sai Apny Zindagi Kai Gaadi
Ko Dhakky Daity Huay Apny Is Safar Pai
Rawa Dawa Hain.Wo Teesri Category Jis
Mai Aaj Tak Aksar Maira Bhe Shumar Raha
Hai, Wo Category Un Students Ki Hai Jo
Zindagi Kai Asbaaq Ko Waqt Pai Tu Yaad
Nhi Krty Laikin Unhay Bohot Jaldi Apny
Dheely Pan Ka Ahsaas Hojata Hai.Lakin
Zaruri Nhi Kai Hum Hameesha Ak Hi
Category Kai Logon Sai Taaluq Rakhy.Agar
Insaan Ko Apni Kamzooriyon Ka Ahsaas
Hojaye Tu Wo Apny Upar Sai In Boseeda
Kamzoriyon Kai Libaas Ko Tabdeel Karky
Zindagi Sai Haail Krda Asbaaq Ya Phr
Tjarbay Ko Samny Rakhty Huay Khubiyon
Aor Qabiliat Kai Naye Libaas Ko Pahan
Kar Zindagi Kai Raston Par Puray
Confidence Kai Sath Chal Sakty Hain.