What is art?
(Afshan Rahman, chicago usa)
Aap Ne Ye To Sunna Hoga Keh Ek
Artist Ne Behut Khoobsoorat Paintings Banaee Hay Or Os Se Aap On Ke Art Ki Dad
Dete Hein Lekin Artist Srf Ek Tesweer Banae Wale Ko Nahi Kaha Jata Balke Ye Her
Oos Sakhs Keh Lia Hay Jo Apne Kaam Mein Maharet Rakhte Hoon Misal Ke Tor Per
Artist Ek Makeup Man Bhi Hosekta Hay Jo Makeup Se Face Ko Badel Detta Hay Or Ek
Khatoon Jo Mahret Se Cooking Kertee Hon Or Logon Se Dad Wasool Kerteen Hein.Ek
Woh Insaan Jo Mehnat Kerkeh Matti Keh Khelone Banata Hay Or Rigistano Mein Bhi
Apne Honer Ko Ujager Kerte Hay Lekin Jo Log Pesa Or Maal Rakhte Hein On Ki
Mehnat Or Art To Manzere Aam Per Ajatta Hay Lekin Gareeb Ka Huner Kaheen Gum
Hojatta Hay. Ek Khatoon Jo City Mein Rehtee Theen Woh Village Gaeen Or Wahan Ki
Khawateen Se Milker Dekha Wahan Behad Talented Log Mile Or On Mein Se Srf Kuch
Ko Moqa Mila Tha Jo Apne Artistic Mind Ko Doosre Ko Batasekte Thay.On Khatoon Ne
Bulend Awaz Mein Poocha Keh Koee Prints Banasekte Hein Ek Lerki Jo Bhut Shy Thee
Os Ne Kaha Mein Bhi Kuch Janti Hoon On Khatoon Ne Use Moqa Deea Os Lerki Ne On
Ko Behad Beautiful Flowers Ki Prints Banaker Dekhae Ye Ek Herat Ki Baat Lagee
Keh Ek Village Ki Lerki Ka Mind Itna Acha Tha Jo Perhna Likhna Nahi Janti Thee .Aaj
Bhut Buzy Time Hay Lekin Ager Jin Ko Moqa Milraha Hay Kia Woh Huner Ko Pehchan
Ker Ese Log Ko Moqa Desekte Hein On Se Doosre Ko Bhi Faeda Hosekte Hay.Or Ese
Log Ka Bhi Faeda Hoga Kuch Khawateen Sheeshe Ka Kaam Behut Acha Kertee Hein
Khasker Sindhi Karaee Or Balochi Kurte Ka Kaam Ye Prints American Bhut Pasand
Kerte Hein.Hum Ne Kuch Yahan Exibution Mein Rakhe Thay Jo Saree Sold Hogae
Thay.Yahan Motee Ke Kaam Or Embroidry Ko Bhut Like Kia Jatta Hay.Art Insan Ke
Mind Mein Hotta Hay Jo God Gifted Hota Hay Jo Ek Doosre Se Hasil Nahi Hota Ager
Aap Apne Mind Ki Khoobi Ko Zaher Kerne Chahte Hon To Go Ahead Zaher Karen Shaed
Aapki Baat Se Doosre Ko Faeda Hojae Chalte Chalte Ek Deea Roshan Kerte Jao Oos
Deea Se Doosra Deea Jalaega Or On Se Kooe Or Or Yun Aapki Ki Hoee Ek Kawish Se
Kaee Lakh Ka Faeda Hoga Jo Ek Din Akherat Mein Derja Bulend Karega Dunya Mein
Bhi Phal Milega. In Sha Allah.