Aap Ka Pasandeeda Phool
(Afshan Rahman, Chicago usa)
Kisi Bhi Insaan Se Ager Poochen
Ke Aapko Konsa Phool Yanee Flower Pasand Hay Woh Zaroor Apko Apni Pasand Bataen
Ge Akser To Khoshboo Ke Bare Mein Bhi Bataenge Kisee Ko Gulab Kisee Ko Motia
Pasand Hoga.Aapko Logon Ki Fitret Phoolon Ki Pasand Se Batate Hein Ke Konse Log
Kese Hote Hein.Gulab Jo Pholon Ka Badshah Hota Hay.Yeh Phool Zeeyadater Log
Pasand Kerte Hein.Oos Ko Pasand Kerne Waale Bhut Jezbaatee Hote Hein Muhabbet Or
Nafret Ke Maamle Mein Bhut Inteha Pasand Hote Hein Por Josh Or Apni Tareef Ke
Maamle Mein Inteha Pasand Hote Hein Woh Nomaya Rehna Chahte Hein.Motia Ka Phool
Pasand Kerne Waale Bhut Hasaas Hote Hein Bhut Por Kholoos Hote Hein Romantic Bhi
Hote Hein Doosron Ka Kheyal Or Ehsaas Rakhte Hein.Kheyali Dunya Mein Magan Rete
Hein.Bhut Juld Udaas Hojate Hein. Kisee Se Nafret Nahi Rakhte..Nargis Ka Phool
Jo Bhi Pasand Kerta Hay Woh Intezaar Ki Elamet Hay.Negetive Thinking Rakhte Hein
Her Chees Ko Udasee Se Dekhte Hein.On Ko Her Waqt Ye Der Hota Hay Ke Kooee Bhi
Kaam Shoroo Karenge To Nakami Hogee.Raat Ki Raani Ko Like Kerne Waale Khud
Nomaee Ke Khahish Rakhte Hein.Khud Mein Magan Rete Hein Doosron Se Zeeyada
Dilchaspee Ka Izhaar Naee Kerte.Kanwal Ka Phhol Jo Bhi Like Kerte Hein Wohtoh
Mein Rete Hein Hsad Ka Jazba Bhut Hota Hay Doosron Ki Bare Mein Maloomaat Rakhna
Chahte Hein.Chanbelee Ko Pasand Kerne Waale Doosron Ke Kaam Aate Hein Helpful
Hote Hein Dukh Sukh Mein Saath Dete Hein.Bhut Nazuk Dehen Ke Hote Hein Her Baat
Ko Bhut Feel Kerte Hein.Gende Ke Phool Ko Like Kerne Waale Bhut Lucky Hote Hein
On Ki Life Mein Dukh Bhut Kum Aate Hein Nahayat Laobalee Hote Hein Kabhi Life Ko
Serios Nahi Lete.