Sugar key marz sey nijat kaese mili

(Iftikhar ahmed, Karachi)

Mujhey March 2008 Main Ittafiqia Maloom Hua Key Meri Sugar Khaney Key Do Ghante Bad 247 Hey. Main Ney Fori Tor Per Apney Qareebi Doctor Sey Rabta Kia Aur Sari Soorate Hal Batai Key Meri Sugar Gluco Meter Sey 247 Nikki Hey. Doctor Saheb Ney Blood Pressure Check Kia Jo Ziada Nikla. Uskey Bad Unhon Ney Mujhey Sugar Aur Blood Pressure Ki Dawaiyan Likh Den. Laikin Main Ney Wo Dawaiyan Teen Din Tak Istemal Ki Hongi Key Office Main Zohar Ki Namaz Ada Kertet Huay Meri Tabyat Kharab Ho Gai Aur Chakar Aur Ghbrahat Shuroo Ho Gai. Main Chutti Let Ker Ghar Per A Gia Aur Is Doran Main Ney Fruit Juice Wagaira Bhee Pia. Mukhtasar Qisa Ye Key Main Ney 2008 Sey Cheeni Istemal Keran Bilkul Chor Do Aur Subah Ki Walk Ko Apna Mamool Bana Lia. Is Key Alawa Yoga Asan Bhee Kerna Shuroo Ker Diay. Six Packs Bananey Key Liay Sit Ups Bhee Kerta Hoon. In San Batoon Ki Waja Sey Meri Sugar Control Main A Chili Ha. Main Sugar Key Sarey Mareez Jo Type 2 Diabetes Main Mubtala Hain Unko Mashwara Doon Ga Key Wo Pedal Chalain Yoga Ka Mandook Asan Karain Mathew Dandey Ka Aik Teaspoon Roz Khain Six Packs Bananey Ki Koshish Karain To Insha Allah Unki Sugar Control Rehay Go. Is Ki Tasdeeq Key Liay Key Unki Sugar Qaboo Main Hey Baqaidgi Sey Test Hbaic Zaroor Keratey Rahain. Sarah Sath Ziyada Stress Bhi Na Lain Aur Allah Per Bharoosa Kertet Huway Zindagi Guzarney Ki Koshish Karain. In Batoon Key Kerney Sey Wo Sugar Ki Bimari Ko Bhee Qaboo Main Rakh Sakain Get Aur Doosrey Amraz Sey Bhee Bachey Rahain Hey.

Disclaimer: All material on this website is provided for your information only and may not be construed as medical advice or instruction. No action or inaction should be taken based solely on the contents of this information; instead, readers should consult appropriate health professionals on any matter relating to their health and well-being. The data information and opinions expressed here are believed to be accurate, which is gathered from different sources but might have some errors. Hamariweb.com is not responsible for errors or omissions. Doctors and Hospital officials are not necessarily required to respond or go through this page.

Iftikhar ahmed
About the Author: Iftikhar ahmed Read More Articles by Iftikhar ahmed: 42 Articles with 89983 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.