Farman-E-Ilahe Or Hamara Kirdar
(Atif Khursheed, Karachi)
As Salam-O-Alikum...
LA ILAHA IL ALLAH HU MUHAMADUR RASOOL ALLAH....Nhe Koi Mabood Siwaye ALLAH K Or
Hazrat Mohammad (Saw) ALLAH K Aakri Rasole Hain Ye Kalma-E-Tayeba Or Is Main
Mojood Message Hamaray Mazhub Hamaray Eman Ki Bunyad Hay Kabil-E-Gore Bat Yae
Hay K Mojooda Dore Main Hamara Yakeen Is Akeday Pr Kis Had Tk Puhkta Hay Aam
Tore Pay Hamaray Mashray Main Eik Bacha Jub Peda Hota Hay To Osay Kuch Omer
Guraznay K Bad Kissi English School Main Dakhil Karanay Ki Fikar Lag Jati Hay
Woh Bacha In Dunyawi Mdaris Say Taleem Hasil Kanay K Bad Kissi Achay Rozgar Ki
Talash Main Lag Jata Hay Phir Shadi Or Os K Bad Burhapa Agr Ghore Kiya Jaye To
Yae Dunya Eik Bazar Ki Hesiyat Rakhati Hay Jahaan Lain Dain Ka Karobar Zooron
Pay Jari Hay Bacha School Gaya Bap Nay Kharcha Kiya Os K Badlay Main Taleem Mili
Ab Woh Bra Ho K Is K Badlay Main Bap Ko Oskay Burhapay Main Sahara Day Ga Woh
Nokri Karnay Gaya Apna Wakt Apnay Surf Kiya Apni Hasil Karda Slahiyatun Ko Os
Idaray K Lye Kharch Kiya Is K Badlay Main Pesa Hasil Kiya Or
Zarooriyat-E-Zindagi Ko Os Peesay Say Poora Kiya Shadi Ki Shadi Ker K Bewi Ko
Ghar Laya Or Is Tarhaan Osnay Eik Bap Per Say Oski Beeti Ki Zimadari Ko Kum Kiya
Or Osay Apnay Pas Rekha Os Ko Apnay Ghar Main Jaga Faraham Ki Oski Fainencial
Requirments Ko Pura Kiya Is K Badlay Main Oski Ki Bewi Nay Oski Biological
Requirments Ko Pura Kiya Or Oski Poori Gharelu Zimadariyun Ko Apnay Hath Main
Lay Lia Boorha (Old) Huwa To Woh Oolad Jispay Apna Kamaya Howa Pesa Osnay Invest
Kiya Tha Os Nay Osay Sahara Diya...Zahiri Tore Pay To Tamam Zarooriyat Dunya
Main He Poori Ho Rhe Hain To Phir ALLAH Ki Ebadat Kyun Insan Ki Fitrat Hay K Woh
Zahiri Cheezon Pay Eman (Blive) Lata Hay Kissi K Ghar Pani Nhe Aaraha Woh Sochta
Hay Underground Pipe Main Koi Garbar Hay Khodaye Karwa K Check Karo Aata Mehanga
Ho Gaya Hakoomat Ka Kasoore Hay Hakoomat Pay Taanay Kaso Issi Tarhaan Dunyawi
Mushkilat Ka Dunyawi Hal Dhondtay Dhaondtay Oski Ki Omer Beet Jati Hay Or Phir
Achanak Eik Din Aa Jata Hay Jub Woh Kissi Operation Theator K Bed Pay Kaheen
Kisi Road Accedent Main Ya Apnay Ghar K Bistar Pay Para Hota Hay Takatwar Nigha
Reknay Wali Aankahin Aaj Khul Nhe Pa Raheen Or Khul Bhe Rahe Hain To Dunya K
Haseen-O-Dilkush Manazir Jin Say Oskay Dil Ko Taskeen Mila Karti Thi Aaj Dhundla
Rahay Hain Takatwar Hath Jo Mushkil Kamom Ko Karnay Main Mahir Thay Aaj Oth Nhe
Rahay Hain Woh Mazboot Tangain Jinsay Woh Meelon Tak Pedal Chala Karta Tha Aaj
Yun Mehsoos Hota Hay K Jisam Ka Hissa He Na Rahein Oski Samaat Jo Surilay Geet
Suna Karti Thi Aaj Disable Hoti Mehsoos Ho Rahe Hay Garajdar Aawaz Aaj Halak Say
Nikal Nhe Rahe Zaban Hay Lakin Os Main Koi Junbish Nhe Hay Samnay Kharay Apnay
Piyaron Ko Dekh Raha Hay Lakin Lapak K Onhain Galay Nhe Laga Sakta Woh Azeez Jin
Ki Aawaz Pay Woh Sec Main Un K Pass Pohach Jata Tha Jin Ka Roona Jinka Ghum Dekh
Woh Kabhi Bardasht Nhe Kar Sakta Tha Aaj Zoore Zoore Say Chila Rahay Hain Osay
Aawazain Day Rahay Hain Os K Samnay Dharay Mar Mar Kar Ro Rahay Hain Lakin Woh
Bebus Aaj On K Liye Kuch Nhe Kar Sakta Naza Ka Waqt Shuro Ho Chuka Hay Toba K
Darwazay Band Ho Chukay Hain Malik-Ul-Mote Roh Kabz Karnay Aa Chuka Hay Tub Osay
Ilm Hota Hay K Yae Main Nay Kiya Ker Diya Yae Mujh Say Kiya Ho Gaya Itna Bra
Dhooka Itni Bari Bhool Main Nay To Kabhi Is Waqt K Baray Main Socha He Na Tha
Hamesha Doston Ki Mehfilon Main Beth K Bekar Mozoaat Pay Keh Ka He Lagaye Thay
Main Nay To Bhula He Diya Tha K Marna Bhe Hay Ya Is Dunya Nay Mujhay Kabhe Iska
Ehsas He Na Dilaya Itna Bra Ghaban Dhooka Osay Ketay Hain Jo Eik Jhatkay Main
Day Diya Jaye Lakin Ghaban Woh Hay Jo Musalsal Dhoka Diya Jata Rahay Or Aap Ko
Os Wakt Ilm Ho Jub Sub Kuch Hath Say Nilak Chuka Ho Itna Bra Ghaban Main To
Bohat Ghatay Main Rha Her Wakt Dunya Ki Rangeeniyun Main Khoya Rha.
Meray Bhayun Aziz Doston Sathiyun Is Dhokay Ki Dunya K Chungal Main Mat Pahanso
Yae Dunya K Dehkaway Pay Eman Na Lao Ye Dunya Sirf Or Sirf Dehkaway Ki Hay
Roz-E-Kayamat Yae He Dunya Tumharay Gunahun Ki Gawahe Day Gi Sheetan Hamary Liye
Yahaan Jal Bichata Hay Jesay Koi Koi Chirimar Kisi Parinday K Liye Jaal Bechata
Hay Ospay Dana Dalta Hay Prenda Dana Othanay Jata Hay Or Jaal Main Phans Jata
Hay Isi Tarhan Shetan Bhe Hamaray Liye Jaal Bechata Hay Or Hum Os Main Phans
Jatay Hain Yae Dunya Dhookay Ki Hay Dekhaway Ki Hay....Zalzala Aaya Science
Danun Day Foran Sabab Bta Dala K Zameen Ki Teh Main Kuch Plates Hoti Hain Woh
Jub Aapas Main Takrati Hain To Zalzala Aata Hay Samandari Toofan Aya To Foran
Kehna Shoru Kar Diya K Hawa K Taze Dbao Ki Waja Say Samandar Main Bhanwar Peda
Huwa Or Samandar Bhipar Gaya Yae Zahiri Ilm Hay Dunyawi Batein Hain ALLAH Kehta
Hay Ghabe Pay Eman Lao EMAN BIL GAEB Ghabe Pay Iman Lana Yani ALLAH Ko Dehka Nhe
Laikn Eman Laoo Hazrat Mohammad (Saw) Ko Dekha Nhe Lakin Eman Laoo Aaj Yae Jo
Hamri See View Ki Jitni Bhe Patti Hay Yae Jo Ghar Kareeb Main Banay Hain
Samandar Say Inhain Kaho Bohat Bheyanak Toofan Aanay Wala Hay Or Poora Karachi
Doop Jaye Ga Dekho Kitni Jaldi Yae Tamam Ghar Khali Hotay Hain Poora Karachi
Preshan Her Koi Nafsa Nafsi Main Aajaye Ga Koi Kaheen Bhagay Ga Koi Kaheen
Kaheen Ki Dore Lagaye Ga Koi City Choornay Ka Soochay Ga To Koi Apni Zindagi K
Tahaffuz K Liye Kuch Or Tadbeer Sochay Ga Isay Kehtay Hain Ghabe Pay Iman Lana
Yani Aap Nay Dekha Nhe Or Eman Lay Aaye Kissi Nay Toofan Ko Aatay Howay Dekha
Kissi Nay Mehekma-E-Mosameyat K Daftar Phone Kar K Kaha K Aap K Pass Kiya Daleel
Hay Hamnain To Tofan Nhe Dekha Hamain Toofan Dekhaoo Kahaan Aa Rha Hay Toofan
Samandar To Abhe Tak Pursakoon Hay Koi Nhe Poochta Or Jahaan ALLAH Ka Mamla Aaya
ALLAH Nay Kaha Soode Lena Chore Do Soode Mujh Say Khuli Jang Hay ALLAH Say Jang
Hay In Tajeron (Traders) Say Kahoo K Soode Ka Karobar Na Karain Aagay Say Jawab
Aaye Ga Agr Soode Na Lain To Karobar Kesay Chalay Ga Yani ALLAH Say Daleel Mang
Rahay Hain ALLAH Keh Rahay Hain Sood Mat Lo Aagay Say Jawab Detay Hain Karobar
Kesay Chalay Ga Kahen Gay Pani Nhe Aa Raha Kaho Namaz Per Lo ALLAH Reham Karain
Gay Pani Mayaser Aa Jaye Ga Hansain Gay Dil Main Soochain Gay Bhala Pani Ka
Namaz Say Kiya Talluk Yae Hay Hamaray Eman Ka Mojoda Status Poocho Pani Kayun
Nhe Aaraha Kahain Gay India Nay Pani Rok Liya Yani Jis Kaam Ka Tamam Ter Zimma
ALLAH Nay 100% Apnay Hath Main Lay Rekha Hay Kitna Rizk Kis Ko Kub Kesay
Kistarhan Dena Hay Os Ko Bhe Insanun Say Wabasta Ker Dala Aray Kabhe ALLAH Ki
Kitab Ko Bhe Perlo Thora Osay Bhe To Samaj Lo ALLAH Apni Kitab Ki Aayaton Main
Bar Bar Keh Raha Hay Mujh Say Mang Mujh Say Mang Main Dunga Main He Denay Wala
Hun Mujh Say Mang Aahaa Aaye Nadanun Sari Zindagi Dunya Walon Say Mangtay Rahay
Kabhi Benazir Say Manga Kabhi Nawaz Sharif Say Manga Kabhi Mushraf Say Manga
Kabhi Zardari Say ALLAH Say Bhe Mang K Dehk Lo ALLAH Tumain Day Ga Osi Wakt Day
Ga Agr Os Wakt Na Diya To Thoray Arsay Bad Os Say Behtar Day Ga Or Agr Phir Bhe
Na Diya To Aakhrat Main Yakkenan Os Say Bhe Behtar Day Ga Bus ALLAH K Samnay
Jhuk Gaoo ALLAH Say Zid Karo ALLAH Mujhay Yae Chaiye ALLAH Mujhay Yae Dayday
Jistarhaan Eik Bacha Apnay Bap Say Bar Bar Zid Karta Hay To Oska Bap Bhe Osay
Day He Deta Hay ALLAH To Hum Say Be Intaha Mohabbat Karta Hai Woh Hamain Kyun Na
Day Ga Hazrat Ali Razi ALLAHtala Ana Ka Kole Hay Main Jub ALLAH Say Dua Karta
Hun Or Woh Poori Hojati To Main Bohat Kush Hota Hun Or Jub Poori Nhe Hoti To Or
Bhe Ziyada Kush Hota Hun Farmaya Jub Meri Dua Poori Hoti Hay To Is Liye Khush
Hota Hun Kyun K Is Main Meri Raza Hay Or Jub Pori Nhe Hoti To Is Liye Or Ziyada
Khus Hota Hun Kyun K Is Main Meray ALLAH Ki Raza Hay Yae Hay ALLAH Say Isq
Karnay Walon Ki Soch ALLAH Pay Phukta Eman Rekhanay Walon Ka Aqeeda...Yahaan
Pakistan Main Bohat Saray Gaaon Dehat Esay Hain Jahan Perha Likha Tabka Bohat
Kum He Dekhanay Ko Milta Hay Wahaan Jub Kissi Dehati Ko Oskay Betay Oskay Kissi
Restaydar Ka Khat Aata Hay To Woh Bhaga Bhaga Master K Pas Jata Hay Master Sahab
Zara Isay Perhain Is Main Kiya Likha Hay Master Sahab Zara Jildi Perhain Pata
Nhe Hay Os Main Khare Ki Khabar Hay Ya Duhk Ki Phir Bhe Itana Kush Hay Bhaga
Bhaga Ja Raha Hay Aaye Nadan ALLAH Ki Kitab To Teray Ghar Main Perhe Hay Osay
Bhe To Kabhe Per Os Main Tamam Khabrain Khare Ki He Hain Osay Samjnay Ki Kosih
Kar Teray Betay Ka Khat Aata Hay To Bhaga Bhaga Jata K Beetay Nay Kiya Kaha Hay
Or ALLAH Quran Main Tujh Say Bar Bar Keh Raha Hay YA AEY YU HAL LAZENA.....YA
AYE YU HAL LAZENA Aye Eman Walon Aye Eman Walon Kabhe Kehta Hay Yae Kar Kabhe
Kehta Hay Yae Na Ker Kabhi Bata Hay Yae Acha Hay Kabhe Btata Hay Yae Bura Hay
Oski Bhe To Kabhe Sunlay Kayun Jahalat Ki Dunya Main Magan Hay Eik Hadees K
Mutabik Samandar ALLAH Say Roze Kehta ALLAH Mujhay Choot Dain Main In Na
Farmanun Pay Char Doorun ALLAH Osay Rookta Hay Nhe Yae Meray Banday Hain To
Inhain Mujh Say Behtar Nhe Janta Peechay Hat Ja Samandar Roze Keh Rha Hay Zameen
Roze Keh Rahi Hay Yae Hawaein Yae Aasmani Bijli Roze Keh Rahi Hay Jub ALLAH K
Ehkamat Toottay Hain To ALLAH Ko Jalal Aata Hay Phir Samandar Biphar Jata Hay
Hawaen Bekabo Ho Jati Hain Zameen Laraz Othi Hay Bijli Karak Othi Hay....Aye
Nadan Samandar K Kinaray Beth K Roomani Shayeri Soochnay Walay Kabhi Samandar K
Peegam Pay Bhi To Gore Ker Samandar Ki Her Aanay Waali Leher ALLAH Ki Takat Ki
Gawahe Day Rahi Hai K Dehk ALLAH Agr Cahhe To Main Kinaray Pay Na Rukun Main
Tuhj Pay Char Doorun Or Jub Woh Kinaray Pay Aakay Apna Zore Tore Deti Hay Jub
Samader Ki Taraf Wapas Lot Jati Hay To ALLAH Ki Rehmat Ki Gawahe Deti Hay K Dehk
Tera ALLAH Mera ALLAH Aaj Bhe Tujh Pay Meherban Hay Aye Nadan Bunday Aye Nadan
Police Ki Takat Say Darnay Walay Army Ki Takat Say Darnay Walay ALLAH Ki Takat
Say Khof Kha Yae Hawaon Ka Chalna Yae Samandar K Hebat Yae Zalzalay Ki Aafat Yae
Barish Ka Zore Yae Badlon Ki Garag Yae Bigli Ki Chamak Yae Bejan Zameen Say Rang
Parangay Phoolon Ka Khilna Phir On Pholon Say Khushbo Ka Hawaon Main Bekharna
Phir On Pholon Say Shehed Ka Nikalna Os Shehad Say Tera Sehat Yab Hona Yae Mera
Keybord Pay Itna Tezi Say Type Karna Eik Eik Lafz Ka Meray Zehan Main Aana On
Lafzon Ka Jumlay Main Dhal Jana Aapki Nigahun Ka Itni Teze Say Kam Karna Nigahun
Say Mera Pegam Zehan Main Otar Jana Zehan Main Otar K Oska Samaj Main Aana Yae
Hay ALLAH Ki Takat....Zindagi Or Mot ALLAH K Hath Main Hay Rizk ALLAH K Hath
Main Hay ALLAH Jub Denay Pay Aata Hay To Samandar Ki Gehrayun Main Mojood Zameen
Ki Teh Main Pari Seepi Or Os Main Mojod Keeray Ko Bhe Rizk Deta Hay Aye Nadanun
Zindagi Or Mot Ka Daromadar Bandook Say Nikli Goli Pay Nhe Kisi Darinday Ki
Darindagi Pay Nhe Atom Bom Ki Beyanak Tabahe Pay Nhe Zalzalay Ki Shidat Pay Nhe
Samandar K Toofan Pay Nhe Aasmani Bijli K Gernay Pay Nhe ALLAH To Woh Hay Jis
Nay Ismail (AS) Ko 40 Din Machli K Pate Main Rekha Eik Or Hadis K Mutabik Os
Machli Ko Eik Or Bari Machli K Pate Main Rekha Or 40 Din Bad Zinda Bahar Nikal
Diya ALLAH Jub Marnay Pay Aata Hay To Zindagi K Tamam Asbab Para Para Ho Jatay
Hain Zindagi Ka Safeena Dope Jata Hay Or Jub WOH Bacahanay Pay Aata Hay To
Malik-Ul-Mot Kadam Kadam Pay Thokrain Khata Hay ALLAH Say Khof Kha Or Jo ALLAH
Say Darta Hay ALLAH Os K Dil Say Apni Mahklook Ka Khof Nikla Deta Hay ALLAH Apni
Mahklook Ko Oska Taabay Ker Deta Hay.....Eik Dafa Hazrat Umar Farooq Razi
ALLAHtala Ana Ka Apnay Dore-E-Khilafat Main Eik Mokam Say Guzar Huwa Dekha Wahan
Kuch Majma Jama Hay Daryaft Kiya Kya Majra Hay Logon Say Ilm Huwa K Eik
Share(Loin) Jangle Say Nikal Ker Aabadi Ki Taraf Aagay Hay Is Ki Waja Say Log
Preshan Hain Farmaya Kahan Hai Mujhay Lay Chalo Log Lay Gaye Dekha Wahan Eik
Share Khara Tha Osay Gussay Say Dekha Kareeb Gaye Or Oska Kan (Ear) Pakar K Osay
Kaha Yae Teray Rehnay Ki Jaga Nhe Hay Yae Hum Insanun Ki Jaga Hay Lot Ja Wapas
Jahan Say Tu Aaya Hay Or Share Sir Hilata Howa Wapas Jangle Main Lot Gaya Eik Or
Jaga Tehreer Hay Hazrat Umer-E-Farooq Razi ALLAHtala Ana K Dore Main He Eik Bar
Makka Main Bilkul Nichli Noyet Ka Zalzala Mehsoos Huwa Hazrat Umar-E-Farook Razi
ALLAHtala Ana Waheen Mojod Thay Apna Koora Hath Main Othaya Or Zameen Pay Day
Mara Farmaya Kyun Kanpti Hay Kiya Umer Tujh Say Insaf Nhe Karta Woh Wakt Hay Or
Aaj Ka Wakt Hay 1400 Saal Say Zayed Arsa Guzar Chuka Lakin Phir Kabhe Doobara
Makka Main Zalzala Nhe Aaya....Yae Hay ALLAH Ki Madad Or ALLAH Pay Eman Ki Takat
Hamaray Peyaray Nabi Hazrat Mohammad (Saw) Apni Sari Zindagi Hamari Fikar Main
Paray Rahay Meri Fikar Main Paray Rahay Aap Ki Fikar Main Paray Rahay Apni Poori
Ummat Ki Fikar Main Paray Rahay Kiya Kiya Takaleef Nhe Jheeleen Zalimon Nay
Pather Mar Mar K Jism-E-Mubarek Ko Laho Lohan Ker Dala Phir Bhe Bud-Dua Nhe Ki
Farmatay Rahay Aye ALLAH In Ko Hidayet Day Aye ALLAH Inko Hidayat Day.Poori
Poori Rat.....Aye Nadan Raat Raat Bher Geet Sangeet Ki Mehfilon Say Lutf Andoze
Honay Walay Sharab-O-Shabab Ka Maza Loote Nay Walay Sun........Teray Rasool Nabi
Nay Poori Poori Raatain Kharay Kharay Ebadat Main Guzar Dein Sari Sari Raat
Kharay Rehtay Yahaan Tak K Paon Mubarek Soje Jatay Or Phir Dua Main Ya ALLAH
Meri Ummat Ya ALLAH Meri Ummat Jub Hazrat Izrail (A S) ALLAH K Hukum Say Ap Ko
Sath Lay Janay Aye To Daryaft Kiya Aye Mohammad Sal ALLAH Hu Alye He Wassalum
ALLAH Nay Aap Ko Bulaya Hay Agr Aap Ki Ijazat Ho To (Yae Woh Sawal Hay Jo Na
Kabhi Rasool (Saw) Say Pehlay Kissi Say Kiya Gaya Na Ab Ta-Kayamat Kabhi Kissi
Say Kiya Jaye Ga) Jawab Main Farmatay Hain Pehlay ALLAH Say Poch K Aao Meray Bad
Meri Ummat Ka Kiya Hoga....Yae Woh Nabi Hain Jo Agr Eik Bad-Dua Detay To Dunya
Gark Ho Jati Agr Khud K Liye Dua Kartay To Dunya K Tamam Khazanay Poori Dunya Ki
Badshahat In K Peeron Talay Hoti Lakin Tamam Umar Bus Hamari Fikar Main Paray
Rahay Apni Ummat Ki Fikar Main Paray Rahay Or Aaj Hum Unki Ummat Apni Nafs Ki
Gulam Bun Gaye Aye Musalmanun Sambhal Jao Abhi Bhi Wakt Hay ALLAH Say Roju Ker
Lo Is Dunya K Chakar Main Na Raho Yae Bohat Dhookay Baz Hay Tu Yahaan Bus Do Pal
Ka Musafir Hay Phir Tujhay Apnay Rub K Pass Lot K Jana Hay....
Apni Mot Ko Yad Ker Lo Aakhrat Ki Fikar Ker Lo Abhe Kissi K Ilm Main Aa Jaye
Falan Falan Thanay Main Tumharay Khilaf Percha Kata Hay Police Tumhain Dhod Rahe
Hai Cheray Ka Rung Badal Jaye Ga Police Ka Dar Dil Main Beth Jaye Ga Foran Sub
Ghar Walay Preshan Dost Ehbab Preshan Sub Is Fikar Main Per Jayen Gay K Kiya
Karain Kahaan Jayen Is Maslay Say Kesay Nimtain Eik Police Walay Ka Itna Dar Woh
To Police Hay Pta Nhe Pakar Bhe Paye Ya Nhe Paker Liya To Saza Bhe Day Paye Ya
Nhe Jurm Ka Bhe Nhe Pata K Pakar Kyun Rhe Hay Mera Kasoor Kiya Hay Yae Bhe Na
Socha Itala Sache Hay Ya Nhe Phir Bhe Preshani Or Dar Ka Ehsas Demag Ko Gheray
Main Lay Leta Hay... Or Mot Jis Nay Yakeenan Aana Hay Koi Inkari Nhe Hay Sub Is
Hakeekat Say Ashna Hain Sub Is Hakeekat Ko Kabool Kertay Hain Moote Jis Nay
Baray Baray Daway Darun Baray Baray Sehenshaon Badshaon Ka Naam-O-Nishan Tk Mita
Diya Oski Koi Perwa Nhe Hazrat Abu Hurera Razi ALLAHtala Ana Say Eik Wakya Marwe
Hai Farmatay Hain Hum Eik Dafa Eik Janazay Ko Leker Kabrustan Gaye Rasool-E-Paak
(Saw) Bhe Hamaray Humra Thay Woh Whan Eik Qabar K Pass Beth Gaye Or Farmaya K
Kabar Pay Koi Din Esa Nhe Guzarta Jub Woh Hamain Wazay Tore Pay Awaaz Na Deti Ho
K Aaye Adam Ki Olad Tu Bhool Gaya Mujhay Main Tanhaye Ka Ghar Hun Main Tangi Ka
Ghar Hun Main Keerun Ka Ghar Hun Phir Farmaya Qabar Jannat K Bagon Main Say Eik
Baaj Hay Ya Doozahk K Gerhun Main Say Eik Gerha.....Hazrat Hasan Razi ALLAHtala
Ana Fermatay Hain K Malik-Ul-Mot Rozana Her Ghar Main Teen Bar Chakkar Lgatay
Hain Or Dekhatay Hain K Kis Ka Rizk Poora Ho Gya Kis Ka Rizk Baki Hay Kis Ka
Wakt Poora Ho Gya Or Jis Ka Wakt Poora Ho Jata Hay Oski Roh Kabz Ker Letay Hain
Or Jub Os K Lwahekeen Os Ki Mote Pay Ro Rahay Hotay Hain To Malik-Ul-Mot
Darwazay Ki Chokhat Pay Kharay Ho K Kehtay Hain Kyun Rootay Ho Main Nay Koi
Gunnah Nhe Kiya Main Nay Is Ka Rizk Nhe Kahaya Main Nay Is Ki Omer Nhe Ghataye
Main Nay To Wesay He Kiya Jesa Mujhay Hukum Huwa Or Main Is Ghar Main Phir
Aaonga Bar Bar Aaoun Ga Yaahan Tak K Tum May Say Kissi Ko Bhe Zinda Nhe Choroun
Ga Hazrat Hasan Razi ALLAHtala Ana Farmatay Hain K Agr Gher Walay Os Wakt
Malik-Ul-Mot Ki Awaz Sun Lain To Os Murday Ko Chore Ker Khud Apnay Ap Pay Roonay
Lagain.....Doston Mot Say Koi Nhe Bach Sakta Or Jisnay Hamain Eik Bar Peda Kiya
Oskay Liye Hamain Dobara Peda Kerna Is Say Bhe Ziyada Aasan Hay Jistarhaan Koi
Mot Say Nhe Bach Sakta Isi Tarhaan Koi Mot K Bad Honay Walay Hisab Kitab Say Bhe
Nhe Bach Sakta Siwaye Kuch Logon K Jinhain ALLAH Tala Apni Rehmat Say Bagere
Hisab Kitab K Jannat Main Dakhil Karain Gay ALLAH Hamain Bhe Unmain Shamil
Farmaye Lakin Hamain Apnay Tore Pay Mot Ki Tayari Mukamal Rekhani Hay Kissi Ko
Kuch Pta Nhe K Kub Mot Aajaye Mujhay Nhe Pta Main Yae Mazbon Offline Mode Pay
Type Ker Raha Hun Online Ho Kay Isay Website Pay Paste Kar Sakunga Ya Nhe Pta
Nhe Isay Poora Bhe Ker Sakoonga Ya Nhe Agr Paste Ker Bhe Diya To Dobara Isay Per
Sakunga Ya Os Say Pehlay He Mar Jaon Ga Meri Tarhaan Koi Bhe Mot K Baray Main
Nhe Jaanta To Aa Jaoo ALLAH Ki Taraf Ab Bus Bohat Ho Gaya Bohat Dehk Li Yae
Gunnah Ki Dunya Bohat Dhookay Main Rekha Is Dunya Nay Ab Hakeekat Ki Taraf Aa
Jaoo Jis Liye Peda Howay Ho Oska Irada Ker Lo Doston Is Bat Say To Koi Inkar Nhe
Karay Ga K Is Jhooti Dunya Main Jahaan Khowish-E-Nafs Ki Takmeel Hay Wahaan
Bohat Sari Preshaniyaan Bhe Hain Bohat Si Mushkilaat Bhe Hain Hay Koi Daway Dar
Jo Keh Sakay Mujhay Koi Preshani Koi Mushkil Koi Tangi Nhe Hay Ya Kabhi Na Howe
Koi Is Bat Ka Dawa Nhe Ker Sakta Aziz Doston ALLAH Ki Btaye Howe Rah Pay Chalo
Gay To Tumhain Sakoon Mayasir Aaye Ga Esa Roohani Sakoon Esa Etminan Jisay
Lafzon Main Biyan Nhe Kiya Ja Sakta Sirf ALLAH K Naik Log Osay Mehsoos Ker
Saktay Hain Is Gunnah Ki Zindagi Main Preshani Aati Hay Jis Say Insan Tang Ho
Jata Hay Khofzada Ho Gata Hay Lakin Jub Insan ALLAH Say Kareeb Hota Hay To Koi
Preshani Nhe Aati Bus ALLAH Ki Taraf Say Aazmaish Aati Hay Or ALLAH Os Aazmaish
Main Bhe Esa Sakoon Ata Karta Hay K Insan Preshan Nhe Hota To Doston Ab Aa Jaoo
ALLAH Ki Taraf Toba Kar Lo Toba K Darwazay Her Wakt Her Kissi K Liye Khulay Hain
Gir Jaoo Sajday Main Or Rootay Rahoo ALLAH K Samnay Apnay Gunahun Ki Mafi
Mangtay Rahu Jubtak Tumhain Wazay Tore Pay Mehsos Na Honay Lgay Jesay Kissi Nay
Tumharay Dil Ko Tasalli De Hay Jub Tk Khud Itminan Mehsoos Na Kar Sako
Gergeratay Raho Oski Bargah Main Osnay To Kesay Keson Ko Maaf Ker Diya Dunya Ka
Koi Bhe Gunnah Oski Rehmat Say Bra Nhe Hay ALLAH Say Toba Kerlo ALLAH Ki Taraf
Aajaoo Kam Bun Jayen Gay ALLAH Tala Moaf Kernay Wala Hay ALLAH Subko Moaf Ker
Day Ga Hazrat Musa (AS) Ki Qoom Main Karoon Naam Ka Eik Shaks Tha Woh Eik Din
Hazrat Musa (AS) K Pass Aya Or On Say Zid Karnay Laga K Mujhay Koi Esa Amal
Btaein Jis Say Main Dolad Mand Ho Jaon Hazrat Musa Nay Oskay Bepanha Israr K Bad
Osay Bta Diya Kuch Arsay Bad Woh Nahayet Ameer Ho Gaya Eik Din Os Khabees Nay
Eik Kharab Orat Ko Hazrat Musa (AS) Pe Buraye Ka Bohtan Laganay Per Kuch Peson K
Oz Razi Ker Liya Woh Bazaru Orat Hazrat Musa K Samnay Pohanch Ker Cheeknay
Chailanay Lage Or Un Pay Tohmat Lganay Lagi Hazrat Musa Eik To ALLAH K Rasool Or
Phir Jalali Tabiyat K Malik Onhun Nay Os Orat Ko Ghore K Dehka To Os Pay Dar
Khof Tari Ho Gaya Or Os Nay Sub Kuch Such Such Bta Diya Hazrat Musa (AS) Ko
Karoon Pay Bohat Gussa Aaya Is K Ilawa Hazrat Musa (AS) Nay Karoon Say Kaha K
Tujhay ALLAH Nay Dolat Di Ab Is Dolat Say ALLAH Ki Rah Main Kharch Ker Yani
Zakat Day To Os Badbakt Nay Aagay Say Jawab Diya Main Apni Dolat Main Say Teray
Khuda Ko Kyun Dun Ye Meri Doolat Hay Hazrat Musa Ko Bohat Gussa Aya ALLAH Nay
Musa (AS) K Jalal Ko Dekhtay Howe Kaha Aye Musa Humnay Zameen Teray Bus Main Ki
Hazrat Musa (AS) Nay Zameen Ko Hukum Diya Isay Khench Lay Or Zameen Nay Osay
Andar Khenchna Shoru Ker Diya Is Dooran Os Nay Hazrat Musa Say 70 Dafa Mafi
Mangi Or Jub Woh Sir Tk Andar Chala Gya To Oska Tamam Khazana Os K Oper Aaker
Gir Gaya Or Woh Bhe Gark Ho Gya Is Wakt ALLAH Nay Hazrat Musa Say Farmaya Aye
Musa Tu Bohat Zalim Hay Meray Bunday Nay Tujsay 70 Dafa Mafi Mangi Lakin Tu Nay
Os Pay Reham Na Kiya Agr Ye Banda Mujhay Eik Bar Bhe Pukarta Main Isay Doobara
Zameen Pay Khara Ker Deta Ye Hay ALLAH Ki Rehmat Doston ALLAH Ki Rehmat Say
Mayus Mat Hona ALLAH Baray Say Bra Gunnah Bhe Moaf Kernay Wala Hay Bus Eik Bar
Suchay Dil Say Toba Ker Lo Abhe Wakt Hay Is Say Fayeda Othaoo Isay Zaya Na Karo
ALLAH Hum Sub Ko Suchay Dil Say Toba Kernay Ki Tofeek Ata Farmaye Or Hamari Toba
Ko Apni Bargah Main Kabool Karay (Aameen)
Main Nay Jitna Kuch Bhe Tehreer Kiya Aap Nay Perha Agr Mujh Say Likhnay Main Ya
Aap Say Perhanay Main Koi Galti Kotahe Koi Kami Beshe Ho Gaye Ho To ALLAH Osay
Moaf Fermaye Or Hum Sub Ko Naik Aamal Kernay Ki Toofeek Ata Fermaye (Aameen)