Aik Allah Ki Ibadet Kernay Our
Kisi Ko Is Ibadet Me Sherik Na Karnay Ka Nam Toheed Ha Yehi Tamam Ambiya Ka Deen
Raha Ha . Jis Ki Tallem Day Kr Allah Tala Na Ambiya Ko Apnay Bandon K Pas Bheja
.Sab Sa Pehlay Rasool Noh A. I. Han In Ki Koom Na Wad .Nawa.Yaghoos.Yaook Ou
Naser. Jesay Salheen K Baray Me Jb Gholou Krna Shoro Kia To Allah Tala Na Noh A.
I Ko In Ki Hadaiat K Liay Bheja Our Sb Sa Akhri Rasool Mohammads.A.W. Han, Jinho
Na Mazkora Bozrgon K Majesmoon Ka Khatma Frmya- App S.A.W. Jis Koom Ki Tarf
Bhajay Gay Wo Log Allah Ki Ibadet O Bandgi Our Is Ka Ziker Krtay Thay - Haj-
Sadqat-Our Kherat. Bhi Krtay Thay Lakin Is K Sath Hi Wo Allah K Drmiyan Baz
Maklook Masln Mlayka, Issa A.I. Ya Dosray Naik Logon Ko Wasta Bnatay Our Yeh
Kehtay Thay Keh In K Zrya Hm Allah Ka Taqrab Hasel Krna Chahtay Han Our Allah K
Yahan In Bazrgon Ki Shafaet K Omedwar Han- Asey Halat M Allah N Mohammad
S.A.W.Ko Bheja Ta K App Ibraheem A.I. K Deen Ki Tajded Frmayen Our Logon Pr Yeh
Wazeh Kr Dan K Yeh Taqrab Our Itqad Srf Allah Ka Haq Ha Kisi Our Ka To Zikr Hi
Kia Kisi Mokrab Frishta Ya Rasool K Baray M Bhi Yeh Aqeeda Nahe Rakha Ja Sakta-
Toheed E Rabobyat Our Moshrakeen Ka Aqeeda_- Mosrkeen Maka Is Bat Ka Ikrar Krtay
Thay Kallah Hi Khaliq O Razaq Ha- Wohi Marta Our Jilata Hay - Wohi Kaynat Ka
Malik O Mosraf Hay Asman Our Zameen Our In M Basnay Wala Sb Is K Banday Our Is K
Mateht Han - Jesa K Quran M Frmya== Pocho To Sahi, Tm Ko Asman Our Zameen Sa Kon
Rozi Deta Ha Our Kano Our Ankhon Ka Malik Kon Ha Our Morday S Zinda Our Zinda S
Morda Kon Nikalta Ha, Our Dunya K Kamon Ko Kon Chalata H To Is K Jawab M Yeh
Moshrik Zror Kehen Gay Keh Allah - Phir Tom Pocho Keh Phir Shirk S Kion Nahen
Bachtay---(Youns: 31)
Jari Ha