Allah Insan Sy Farmaty Hein

(GHULAM MURTAZA, DERA GHAZI KHAN)

Allah Insan Sy Farmaty Hein
Meri Tarf Aa Kar To Dekh
Matwajo Na Hon To Kehna

Meri Rah Par Chal Kar To Dekh
Rahein Na Khol Don To Kehna

Mjh Sy Sawal Kar K To Dekh
Bakshesh Ki Intha Na Kar Don To Kehna

Mery Ley Be-Qadar Ho Kar To Dekh
Qadar Ki Had Na Kar Don To Kehna

Mery Ley Malamat Seh Kar To Dekh
Akram K Khazany Na Lota Don To Kehna

Mery Ley Lut Kar To Dekh
Rehmat K Khazany Na Lota Don To Kehna

Meri Rah Main Bik Kar To Dekh
Anmol Na Kar Don To Kehna

Meri Justju Kar K To Dekh
Ilam-O-Hikmat K Moti Na Bikhar Don To Kehna

Mjhy Apna Rab Man Kar To Dekh
Sb Sy Be-Niyaz Na Kar Don To Kehna

Mery Kof Sy Anssoo Baha Kar To Dekh
Magfirat K Darya Na Baha Don To Kehna

Wafa Ki Laj Nibha Kar To Dekh
Ata Ki Had Na Kar Don To Kehna

Mery Naam Ki Tazeem Kar K To Dekh
Takreem Ki Intha Na Kar Don To Kehna

Meri Rah Main Nikal Kar To Dekh
Israr Eyan Na Kar Don To Kehna

Mjhy Hiull-Qayum Man Kar To Dekh
Jam-Baqa Sy Sar-Faraz Na Kar Don To Kehna

Apni Hasti Ko Fana Kar K To Dekh
Jam-Baqa Sy Sar-Faraz Na Kar Don To Kehna

Ek Bar Mera Ho Kar To Dekh
Har Kesi Ko Tera Na Bana Don To Kehna

GHULAM MURTAZA
About the Author: GHULAM MURTAZA Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.