Jab Bhi Ham Par Kabhi Bura Waqt
Aata Hy.Ye Kesy Pata Chaly Ky Ye Azmaesh Hy Ya Saza. Hum Hamesha Bury Waqt Ko
ALLAH Ki Taraf Sy De Gi Azmaesh Hi Kiun Samjhty Heen Halanky Aksar Hameen Pata
Chal Jata Hy Ky Ye Hamary Kiyue Ki Saza Hy Pher Bhi Ham Is Baat Ko Tasleem Nhi
Karty.Kiun? Ham Apny Hi Aamal Sy Nazar Kiun Churaty Heen Aesa Nhi Hy Ky Koi Bhi
Insan Koi Bhi Ghalat Kaam Kary Or Upar Wale Ki Saza Sy Bach Jye. Ham Sab Janjty
Hoy Bhi Anjan Kiun Ban Jaty Heen Ye Kesy Pata Kiya Jaye Ky Ham Par Aaya Bura
Waqt Saza Hy Ya Azmaesh? Ap Kiya Kehty Heen Kiya Sochty Heen Is Bary Meen .Meen
Nhi Janti .Har Bury Waqt Ko Kisi Na Kisi Par Dal Dety Heen Ya Pher ALLAH Sy
Shikwa Karty Heen Kiun? Apna Ihtasab Khud Kiun Nhi Karty
Ap Sab Meri Baat Sy Itafak Kareen Ya Nhi Lekin Mujhy Theek Lagti Hy. Meny Parah
Hy Ky Bura Waqt Saza Hy Ya Azmaesh? Ye Is Tarha Pata Chalta Hy Jab Ap Bury Waqt
Meen ALLAH Ky Nazdeek Ho Jao Tu Wo Ap Ki Azmaesh Hy Kiun ALLAH Ap Ko Us Azmaeesh
Meen Pura Utarny Ki Himat Deta Hy Or Jab App Bury Waqt Meen ALLAH Sy Dur Ho Jao
Tu Wo App Ki Saza Hy. Or Saza Ky Tor Par Apny Ap Sy Dur Kar Deta Hy Ab Ap
Socheen Kiya Karna Hy?