Zameen Ki Gawahi

(Afshan Rahman, chicago usa)

Roze Qiyamat Zameen Per Kia Gaya Saare Ammal Saamne Ajaen Ge.Al Quran Ek Esee Alhami Kitab Hay Jo Insaan Ki Kamyabi Or Nakami Per Behes Kertee Hay.Oska Mozoo Insaan Hay Or Insaan Ke Hawale Se Oos Mein Her Baat Khol Ker Dalael Ke Saath Pesh Ki Gaee Hay.Jis Mein Insaano Ke Lia Faede Bayan Hoe Hein . Jese Qiyamat Ke Baare Mein Bayan Hay Keh Zameen Khud Per Kiaa Hoowa Her Ammal Saamne Lae Gee.Quran Mein Hay Oos Roz Qiyamat Per Woh Apne Ooper Kia Hoowa Her Zulm Biyaan Kerde Gee{Soorah Zilzal Ayyat 4} Chahe Kitna Bhi Chupa Ker Kiaa Hoga. .Hazret Abu Horerah Ki Riwayet Hay Keh Prophet Mohammad M.P.B.U.HIM Ne Fermayya Ke Kooe Bhi Ammal Oos Din Chopaya Naee Jaega Or Farishte Bhi Sab Kuch Likh Rae Hein Or Ek Kitab Tyyar Kerke Insaan Ko Dete Hein Jab Mot Ka Waqt Atta Hay To Kehte Hein Jao Or Apne Rub Ko Jawab Do.Aap Ne Jab Ye Ayyat Paree Or Poocha Jante Ho Zameen Ke Woh Kia Halat Hein Sahaba Ne Fermayya Ya Rsool Allah Aap Jante Hein Hum Nahi?Aap Ne Fermayya Woh Halaat Ye Honge Keh Zameen Her Bande Ke Bare Mein Ammal Ki Gawah Hogee Jo Bhi Ammal Kia Hoga.Koee Bhi Zalim Bach Na Sake Ga.Or Body Parts Bhi Gawah Honge Jese Eyes Hay Kooee Bhi Galet Cheese Misal Movies Wagera Dekhee Hogee Woh Biyyan Kerde Gee Or Her Body Part Khud Gawah Honge.Ager Qattal Kia Hoga Hands Gawah Honge Qatil Kaheen Chup Na Sakega.Dakoo Kaheen Panah Na Lesake Ga.Her Baat Saamne Laee Jaegee .Hum Jab Chahte Hein Keh Hamaree Picture Sahi Aae Kabhi Movies Banate Waqt Hum Bhut Mohtaat Hote Hein Keh Kahee Hum Bore Na Lagen To Zara Sochen Keh Oos Din Kiaa Haal Hoga Jub Hamaree Her Ammal Ki Movie Sab Ke Saamne Deekhaee Jae Gee To Khudara Her Ammal Soch Ker Karen Or Booraee Se Bachne Ki Pooree Koshish Karen Rabbana Zidna Ilma Quran Ki Translation Perhne Ki Koshish Karen Take Aapko Patta Chale Or Aap Naiki Kerne Ki Koshish Karen Or Booraee Se Bachen.You Tube Mein English Translation Bhi Hay Nouman Ali Khan Jo Bhut Easy Words Mein Lesson Dete Hein Ager Aap Chahen To Youtube Per Dekhen Or Sone. Umeed Hay Aapko Baat Samajh Agaee Hogee Thankyou .

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 213692 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.