Mujhay Acha Nahi Lagta Jab Ghar
Main Saman Phaila Huwa Hoo, Main To Har Aik Cheez Ko Bar Bar Saaf Karty Hoon
Chahy Woh Mairay Hath Hoon Ya Ghar Kay Sheeshay, Bachoo Ki Feeder Ho Ya Un Kay
Shoes Kio Kay Jaraseem Jo Lagay Hotay Hain. Humaray Muashray Main Safay Ko Lay
Kar Har Koi Bohot Hasas Hay Ghar Kitna Saaf Hay, Kitchen Main Saman Kitnay
Saleeqay Say Rakha Gaya Hay, Deewaroo Par Kahin Miti To Nahy, Wazoo Kay Baad
Hath Kahin Laganay Nahy Hain Warna Napakii Lag Jay Gy, Hath Dhonay Kay Baad
Nalka Bhi Dhoo Lo Warna Jab Band Karain Gay To Hatoo Par Dobara Jaraseem Lag
Jain Gay Aur Phir Dobara Hath Dhona Parain Gay.
Jin Logo Ko Safay Ka Khabat Hota Hay, Un Ki Zaaaty Zindagy Bohot Ziada Mutasir
Hoty Hay, Woh Ya Baat Samajh He Nahy Patay Kay Kahan Kiya Garbar Ho Rahy Hay, In
Kay Waldain, Bachay Aur Zindagy Ka Sathy Har Waqt In Ki Tanqeed Ka Nishana
Bantay Hain, Palang Par Na Baithoo Chadar Kharab Ho Jay Gy, Saman Samiat Kar
Rakhoo Ghar Ganda Na Lagay, Pani Ka Glass Har Bar Dho Loo Aur Pani Peenay Kay
Baad Dobara Dho Kar Ulta Kar Kay Rakhoo, Har Thori Dair Baad Hath Aur Bathroom
Dho Loo, Is Tarhan Kay Logo Kay Bohot Chotay Bacahy Jin Ki Umar 5 Saal Tak Ki
Hoo Un Ki Shaksiayat Buri Tarhan Mutasir Hoty Hay Kio Kay Bachoo Ko Bar Bar
Nahlana, Khiloonoo Say Khailnay Na Daina, Kaproo Par Khana Giranay Par Sakhat
Tanqeed Ka Nishana Banana Aam Hota Hay Jis Waja Say Un Kay Bachay Zidi Aur Chir
Chiray Ho Jatay Hain, Baat Yahin Khatam Nahy Hoty Un Ki Shadi Shuda Zindagy Bhi
Bohot Mutasir Hoty Hay Kay Woh Apnay Sathy Ko Waqt Nahy Day Patay Aur Moqa
Miltay He Hath Dhonay Ya Koi Aur Safay Karnay Main Lag Jatay Hain, Aisay Loog
Thora Sa Bhi Phailaoo Dekh Kar Tanqeed Karnay Lagtay Hain Jis Say Apas Main
Ranjishain Barhty Hain.
Isy Tarhan Aksar Logo Ko Ghar Say Nikal Kar Ya Khiyal Ata Hay Kay Lock Ya Gas
Line Khuli Na Rah Gay Hoo, Ya Phir Pani Ki Main Supply Line Band Kardii Thy Ya
Nahy? Kuch Loog Is Waja Say Dobara Ghar Ja Kar Check Kar Atay Hain Aur Phir
Apnay Ghar Say Bahir Walay Kaam Bhi Kar Laitay Hain Lakin Agar Ghar Main Check
Kar Lainay Ka Bawajood Bhi Ya Soach App Ka Zehan Say Na Niklay Aur Dobara Yahi
Mahsoos Hoo Aur Ya Soach Itny Parayshan Karay Kay App Apna Kaam He Na Kar Pain
To In Soachoo Ki Takrar Parayshani Ki Baat Hay.
Har Koi Chahta Hay Kay Dosray Loog Isay Acha Samjhain Aur Us Kay Baary Main Achy
Raay Qaim Karain Ya Aik Normal Amal Hay Lakin Apnay App Ko Acha Sabit Karnay Ki
Garz Say Aksar Loog Bohot Ziada Gharai Main Chalay Jatay Hain Aur Apna Nuqsan
Kar Baithtay Hain, Jaisay Apnay Dosotoo Ki Nazar Main Acha Banay Kay Liya Talib
Alim Apnay Notes Day Daitay Hain Jis Say Un Ki Khud Ki Perhay Mutasir Hoty Hay,
Ya Phir Ghar Main Biwi Khud Ko Achy Bahu Sabit Karnay Kay Liya Sara Din Kaam
Main Lagy Rahty Hay Jis Say Us Kay Bachay Neglect Hotay Hain Aur Who Bemar Bhi
Par Jaty Hay Ya Bhi Aik Had Tak Normal Hay Lakin Khud Ko Acha Sabit Karnay Ki
Soach Itny Ziada Hoo Kay Insan Kisi Aur Cheez Par Tawaja Markooz Na Kar Pay To
Is Say Masail Paida Hotay Hain.
Jab Kisi Bhi Tarhan Ki Soach Insan Kay Rooz Marah Kay Kaamo Ko Mutasir Karnay
Lagay To Who Aik Nafsiyati Bemari Ki Shakal Ikhtiyar Kar Laity Hay, Aur
Nafsiyati Bemariyun Main Ya Anxiety Disorder Kay Zamray Main Ata Hay Jisay OCD
(Obsessive-Compulsive Disorder) Kaha Jata Hay, Is Main Kisi Bhi Tarhan Ki Soach
Insan Kay Zehan Par Chupak Kar Rah Jaty Hay Jaisay Mujhay Jaraseem Lag Jain Gay
Aur Is Khauf Ko Door Karnay Kay Liya Who Hath Dhoo Laita Hay, Ya Phir Ghar Ja
Kar Lock Check Kar Laita Hay.
OCD Agar Shuruaty Marhalay Main
Hay Aur App Ko Mahsoos Hota Hay Kay App Main Is Bemary Ki Tendencies Hain To Is
Kay Liya Insan Ko Khud Koshish Karny Hogy Takay Who Is Mushkil Say Nikal Sakay,
Jab App Ko Mahsoos Ho Kay App Kisi Aik Soach Ko Lay Kar Musalsal Parayshan
Rahtay Hain To App Self Monitoring Kar Saktay Hain, Jaisay App Aik Sada Copy Par
Rozana Sonay Say Pahlay Diary Likh Lain Aur Aik Haftay Baad Usay Perhain, Jahan
Rawayoo Aur Cheezoo Ki Takrar Hoo, Un Batoo Par Tawaja Dain, Jis Ki Waja Say Ya
Rawaya Parwarish Pa Rahay Hain, In Rawayu Ko Control Karna Mushkil Zaroor Hay
Lakin Na Mumkin Nahy Hay.
OCD Dimagh Main Mojood Khalyun Ki Tadad Main Rado-Badal Ki Waja Say Bhi Hota,
Jisay Serotonin Kahtay Hain Agar Is Ki Miqdar Kam Ho Jay To OCD Ho Jata Hay Aur
Is Ka Ilaj Dawayun Say He Mumkin Hay, Agar OCD Shuruaty Marhalay Say Nikal Chuka
Hay To Phir Is Par Khud Say Qaboo Pana Mumkin Nahy Hay Aur App Ko Kisi Achay
Nafsiyaty Mu-Alij Say Rabta Karna Chahiya.
Jab Bhi Koi Mareez Nafsiyaty Mualij Kay Pass Jata Hay To Us Ka Ilaj Sirf Us Waqt
He Mumkin Hay Jab Tak Who Khud Say Koshish Na Karay, Jis Tarahn Kisi Bhi Waqt
Kisi Ko Bhi Jismani Bemary Ho Jaty Hay Isy Tarahan Nafsiyati Bemaryan Bhi Kabhi
Bhi Kisi Bhi Waqt Ho Sakty Hay Jis Kay Liya Insan Ko Parayshan Nahy Hona Chahiya
Aur Barwaqt Kisi Acha Nafsiyati Doctor Say Rabta Karna Chahiya, Nafsiyati Mareez
Kay Ghar Waloo Ka Rawaya Us Ki Taraf Musbat Hoo Takay Who Apnay App Ko Jald
Bahtari Ki Traf Laa Sakay, Agar Ghar Walay Aur Mareez Mualij Say Ta-Awun Karain
To Kuch Bhi Na Mumkin Nahy Hay.