University May Admission Ho
Rahay Thay Toh Umar Nay Socha K Wo Bhi Admission Lay Lain Toh Uss Nay Bhi
Admission Lay Liya Umar Ek Bohat Zaheen Larka Tha Or Normal Family Say Uss Ka
Taaluq Tha Ab University Ki Classes Ka Agaaz Hota Hay Toh First Day Sab Student
Ka Introduction Hota Hay Toh Wo Apnay Zaheen Honay Ka Saboot Dain Kar Bilkul
Confuse Nahi Hota Or Student Confuse Ho Jaataiy Hay Uss Doran Ek Larki Jis Ka
Name Ayesha Hota Hay Wo Achi Family Say Belong Karti Hay Wo Bohat Confuse Hoti
Hay Or Ronay Lag Jaati Hay Toh Umar Uss Ko Hosla Daita Hay..
Phir Uss Ko Hosla Dain Kar Samjta Hay K Hum Yaha Pahrnay Aaiy Hay Na K Kisse Ko
Impress Karnay Toh Aap Confuse Na Ho Hota Hay Aisa Okay Phir Ayesha Uss Ka
Shukria Ada Karti Hay.
Next:::::::::
Classes Apnay Tor Say Start Ho Jaati Hay Or Iss Tarha Un K Practical Us
Preparation Start Ho Jaati Hay Phir Sab Student Aaps May Close Ho Jaataiy Hay Or
Umar Ayesha Ki Friendship Ho Jaati Hay Phir Ahista Ahista Un Ka Cell Phone Par
Contact Hota Hay Uss Doran Ayesha K Bhai Ki Shaadi Ka Program Aajata Hay Toh
Ayesaha Umar Ko Invite Karti Hay Toh Wo Waha Jaa Kar Uss Ki Family Say Milta Hay
Or Uss K Khandan Ko Daikh Kar Heran Ho Jaata Hay K Masha Allah Har Tarha K
Rishtay Say Nawaza Hay Ayesha Ko Khala Zaad Phopi Zaad Maamo Zaad Chacha Zaad
Har Sab Cusion Thay Uss K Toh Wo Kahta Hay Ayesha Ko K Masha Allah Khob Enjoy
Karti Ho Gi Jab Sab Czn Mil Jaataiy Ho Gain Toh Wo Kahti Hay Ha Karti Ho Par
Psnd Koi Nahi Mujhay....
Next::::::::::::
Ab Jab Umar Yay Sunta Hay Toh Heran Ho Jata Hay Khair Shaadi K Baad Umar Ghar
Wapis Jaata Hay Or Next Day Say Phr University Classes Start Ho Jaati Hay Toh Wo
Ayesha Ko Dil He Dil May Psnd Karnay Lagta Hay Or Kahyta Hay K Say Kaho Kahi
Naraz Na Ho Jaaiy Toh Wo Apnay Friend Haris Ko Batata Hay Toh Wo Kahta Hay K
Yaar Kahy Dain Kuch Nahi Ho Ga Allha Maalik Hay Toh Wo Ayesha Ko Kahyta Hay K
Mujhay Tum Say Koi Baat Karni Hay Toh Wo Kahti Kaho Toh Uss Say Kuch Kaha Nahi
Jaata Toh Wo Kahta Hay Kuch Nahi Phir Ek Din Himaat Kar K Kahyta Hay Ayesha May
Tumhay Psand Karta Hon.
Next:::::::::::::
Jab Ayesha Yay Sunti Hay Toh Wo Bhi Dil He Dil May Uss Ko Like Karti Hay Par
Saamnay Nahi Laati Laykin Umar Ki Yay Baat Sun Kar Dil May Khush Ho Jaati Hay Or
Kahyti Hay Soch Kar Bataao Gi Umar Kahyta Hay K Aap K Jawab Ka Intizaar Rahay Ga
Sms Par Bata Daina Okay Phr Ayesha Uss Ko Raat May Sms Par Ha Kar Daiti Hay Yay
Sun Kar Umar Khus Ho Jata Hay Or Khushi May Uss Par Poetyr Likhta Hay.
Mouhabat Tum Say Ki Hai
Dulhan K Roop Mai Pana Cahata Ho
Bus Tumhain Cahata Ho
Tumhain Paa K Dunya Say Chupana Cahata Ho
Bus Tumhain Cahata Ho
Kabhi Apni Zulfoo Ko Shanoo Par Tu Lao
Mai Wo Haseen Munzar Dahkna Cahata Ho
Mouhabat Tum Say Ki Hai
Dulhan K Roop Mai Pana Cahata Ho
Phir Yay Poetry Aglay Din Ayesha Ko Daita Hay Yay Parh Kar Ayesha Bohat Khush
Hoti Hay Phr Ayesha Kahyti Hay K Meray Czn Bhi Mujhay Psnd Kartay Hay Umar Or
Mujhay Koi Ek Bhi Nahi Psnd Sirf Aap Psnd Ho Phr Wo Saara Din Aapas May Baatain
Kartain Rahtain Hay Garz K Ek Dosray K Bin Jee Nahi Saktain Wo Kehyat Ho Jati
Hay.
Next::::::::::::::::;
University K Exam Kab Aajatain Hay Or Wo Farig Ho Jaataiyn Hay Study Say Phr Un
Ka Rabita Sms Or Call Say Hota Hay Phr Ek Din Ayesha Ka Bhai Uss K Cell Par Umar
K Sms Parh Layta Hay Or Ayesha Ki Kitaab May Umar Ki Pic Daikh Kar Gussa Ho
Jaata Hay Or Umar Ko Call Mila Kar Jaan Say Maarnay Ki Dhakmi Daita Hay Or Kahta
Hay K Agar Meri Behan Say Raabita Kia Toh Tujhay Jaan Say Maar Dain Gain Yay Sun
Kar Umar Kahta Hay K May Aap Ki Behan Say Shaadi Karna Chahta Ho Aap Plz Meri
Baat Samjhay Yay Sun Kar Uss Ka Bhai Kahta Hay Ab Call Ya Sms Mat Karna Uss Ka
Bhai Apnay Ami Abu Say Kahta Hay K Ayesha Ki Shaadi Ka Uss Ki Chacha Zaad Czn
Aamir Say Toh Ayesha Yay Sun Kar Parhsaan Ho Jaati Hay Or Ab Uss Ka Umar Say Koi
Raabita Nahi Hota K Say Bataiay Umar Ko Jab K Umar Ko Abhi Job Bhi Kahi Nahi
Milti Toh Umar Kahta Hay K Jab Tak Job Na Mil Jaaiy Ayesha K Ghar Rishta Nahi
Baihjo Ga
Next:::::::::
Udhar Ayesha Ki Shaadi Ki Tayaari Start Ho Jaati Hay Or Uss Ki Frnd Kahti Hay K
Tum Dono Ghar Say Bhaag Jaoun Kahi Dour Ayesha Kahyti Hay K Umar Aisa Nahi
Karain Ga Phr Umar Ko Ayesha Ki Frnd Ka Phone Aata Hay Or Sab Pata Chalta Hay
Toh Parshan Ho Jaata Hay Phr Wo Ayesha K Ghar Jaata Hay Uss Ki Ami Abu Say Uss
Ka Rishta Mangnain Par Uss K Ami Abu Uss Ko Inkaar Kar Daitay Hay Yay Sun Kar
Umar Ka Dil Toot Jaata Hay Or Wo Inhi Socho May Gum Ho Kar Road Cross Kar Raha
Hota Hay Uss Ka Accident Ho Jata Hay Or Bohat Ziyada Zakhmi Ho Jata Hay Jis Say
Uss K Bachnay K Chance Nahi Hotay Ayesha Ko Pata Chlta Hay Toh Bohat Rooti Hay
Or Ami Abu Say Zid Karti Hay K Mujhay Ek Baar Hospital Lay Chalo Uss K Ami Abu
Maan Jaataiy Hay Waha Wo Zindagi Or Mot Ki Laraia Lar Raha Hota Hay Or Umar K
Ami Abu Parhsan Ro Rahay Hotay Hay Ayesha Pohachti Hay Or Umar Say Milnay Icu
May Jaati Hay Umar Ko Kahti Hay K Aankhain Kholo Umar Ayesha Aagai Hay Yay Sun
Kar Umar Ki Aankhain Khulti Hay Or Umar Uss Ko Daikh Kar Apna Dum Tor Daita Hay
Or Iss Tarha Uss Ayesha Ko Bhari Zindagi May Dulhan Bannay Daikhnay Ka Kwaab Uss
Ka Pura Nahi Hota.
The End