Waqat

(Saba Tariq, Karachi)

Har Lamhay, Har Pal, Ahista Ahista Waqat Guzarta Ja Raha Ha, Or Ye Waqat Kabhi Lot Kar Nahi Ay Ga, Jo Guzar Chuka Ha.

Lekin Afsos Insan Bohat Hi Ghafil Ho Chuka Ha. Esay Khayal Hi Nahi K Kanhan. Kis Waqat. Wo Waqat Ko Ganwa Raha Ha. Lekin Ek Din Wo Zaror Pachtaye Ga, Jab Is K Ki Zindagi Ka Akhri Waqat Ay Ga. Tab Wo Waqat Ki Qadar Or Us Ki Ehmiyat Ko Samjhy Ga.

Lekin Is Waqat Tak, Waqat Hatho Say Nikal Chuka Ho Ga. Is Liye Aj Bhi Ap K Pas Waqat Ha. Sanbhal Jaye, Waqat Ki Qadar Kije Or Akhrat Ki Tayari Kar Lijeye. Mot K Bad Phir Ye Moqa Nahi Mily Ga. Aqal-Mand Wohi Ha Jo Is Waqat Ko Mot K Bad Ki Tayari Ma Sruf Kary. Kiyun Kya Khayal Ha Ap Ka?

Ghafil Tujhay Ghariyal Ye Deta Ha Manadi
Gardo Ne Ghari Umer Ki Ek Or Ghata De

Saba Tariq
About the Author: Saba Tariq Read More Articles by Saba Tariq: 17 Articles with 56858 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.