WORD SALAM (ASALAM O ALEIKUM)

(zaman farooqi, karachi)

 Hamara Mazhab Islam Dunya Ka Sab Acha Aur Khobsorat Socho K Haamil Shakhsiyat Ka Mazhab Hain Aaj Jo Bat Karne Ja Raha Ho Wo Hain Asalam O Aleikum Say Mutaliq Islam Main Keu Kaha Gaya Hain K Aate Jate Har Saks Ko Salam Kare Jaya Karo.

Us Ki Ek Bohat Barhi Waja Aaj K Door Ko Daikh Kar Kahi Gai Hain Keu K Aap Kisi Anjan Shaks Ko Salam Kar Rahe Ho Toh Return Main Apko Jawab Dain Ga Is Say Yay Zahir Hota Hain K Ap Nay Us Par Salamti Bahiji Badle Main Us Nay Bhi Apko Salamti Baihji Or Is Tarha Anjan Logo Say Na Aashnaai Khatum Karne Ka Sab Say Barha Zarya Aslam O Aliekum Hain Yaani Salam Hain.

Aajkal J Say Halat Chal Rahe Hain Un K Mad A Nazar Gharo Main Haazar Tarha K Maasail Hain Jo Insan Kisi Say Bayan Nahi Kar Sakta Par Lafz Salam Main Wo Sab Khobia Hain K Jis Ko Ap Karain Gain Us K Bad Jab Ap Say Us Ka Agle Din Ya Dosri Mulaqat Main Samna Ho Ga Toh Ap Say Bat Karain Ga .

Is Tarha Ap Ki Uss Say Baat Dosti Ho Jaiay Gi Jis Ki Badolat Ap Apne Kai Maslo Ka Hal Nikal Sakte Hain.

Mazhab Islam Ka Yay Tofa Ap Bhi Qabool Karain Or Bila Jijhak Ho Kar Sab Ko Salam Karain Jis Say Apki Izat Main Izafa Ho Ga Or Log Ap Ko Achi Nigha Say Daikhe Gain.

zaman farooqi
About the Author: zaman farooqi Read More Articles by zaman farooqi: 16 Articles with 24401 views (trough poetry is my passion)

THE POET IS ONE MAN IN THIS WORLD WHEN HE AXPRESS SORROW HIS OWN WRITE THE OWN WRITE SHAPE IS CALLED POETRY. < AF
.. View More