Rasool ALLAH Sallalaho Alaihi
Wasallam Ne Irshad Farmaya k " Safar k Maheenay Mein Bad Shagooni Lena,
Shaintani Girift Or Nahoosat k Asraat Koi Cheez Nahi Hein." (Bukhari Shareef)
"Beemari, Shaitaani Girift, Sitaarun Ki Gardish Or Nahoosat Ka Safar k Maheenay
Se Koi Talluq Nahi." (Muslim Shareef)
Tashreeh:- Safar Ka Maheena Bhi Mubarak Maheena hay, Jisko Safar Al-Muzzaffar
Kehte Hein, Yaani Barkatun Wala Maheena, Ye Month Bhi Mubarak Hay Muharram Ki
Tarhan, Aap Sallalaho Alaihiwasallam k Zamanay Mein Log Is Month Mein Shaadiyaan
Nahi Karte Thay Or Is Maheenay Ko Manhoos Kehte Hein Or Kehte Thay k Is Month
Aasmaan Se Balaaein Utar Ti Hein Jo Ke Aik Fuzool Or Ghalat Baatein Logo Ki
Pehlai Hui Hein.
Hadees-e-Qudsi Mein ALLAH Tala Farmate Hein k "ibn-e-Adam Zamanay Ko Bura Bhala
(Yaani Manhoos, Kharaab) Keh Kar Mujhey Taqleed Deta Hay! Halan k Zamana Tu "Mein"
Hi Hun! Nizaam-e-Kainaat Mere Hi Haath Mein Hay." (Bukhari Shareef)
Tasreeh:- Safar Ka Maheena Bhi Zamana hay, Isko Manhoos Samajhna Goya ALLAH Tala
Ko Taqleef Dene k Braber Hay (Naozobillah)
Rasool ALLAH Sallalaho Alaihiwasalam Ne irshad farmaya Ke "Beemari Mein CHHOOT
CHHAAT Ko Man Na (Yain Beemari Kisi Ki Dosray Ko Lag Jana),Parinda Ura Kar Faal
Lena, Uloo Ki Awaz Se Bad SHagooni Lena or"Safar Ko Manhoos Samajhna Fazool Or
Laghwa (Yaani Bekar Be-Haqeeqat) Baatein Hein."(Sahi Bukhari, Jild 2, Page-857)
Safar Ka Maheena Islami Maheena hay Safar Al-Muzzaffar Ke Matlab Hein "BARKATO
WALA MAHEENA"
Zamana-e-Jahiliat Mein Log Safar k Month Ko Manhoos Kehte Thay Or Is Month Mein
Shaadi Karte Thay !
Yehi Haal Aaj Kal Ki Awaam Ka Hay Pehle Wala Jo Safar Ke Is Mubarak Maheenay Ko
Manhoos Samajhte Hein !