Na Hotay Hum Gunhagar To Insaf Khud Kartay

(Faiza Fareed, karachi)

"Hamary Mashray Main Bohat Aam Sey Riwayat Hai Ilzam Doosron Per Dharnay Key,Chahay Iss Kay Zimadar Hum Khud Hey Kyun Na Ho,Baat Chahay Mulk Bachnay Key Ho Ya Apnay He Imlak Ko Nuqsan Pohnchanay Key,Dehshat Gardi Key Ho Ya Mulky Khazanay Khali Karnay Key Koi Na To Apni Galty Per Nazar Saani Karnay Wala Koi Nahi,Maira Maqsad Yahan Hargis Ksy Doosray Per Ilzam Tarashi Nahi Bulk Apni Zaat Ko Kassorwar Tahrana Hai,Jhan Hum Aik Bar Dosray Key Zaat Say Nikal Kar Apnay Oper Nazar Dalain,Aaj 21win Sadi Honay Kay Bawojood Hamari Majal Nahi Kay Hum Dahshadgardi Kay Ilawa Ksi Or Maidan Main Agay Barhrahay Hoo'n Chahe Taleemi Maidan Ho Ya Sciency,Khail Ho Ya Fun Hum Peechay Key Taraf Jarahay Hain Or Iss Key Zimadar Koi Or Naibulkay Hum Khud Hain Dunya Main Khas Kar Watan E Aziz Main Wasil Be Tahasha Hain Zaroorat Hai To Isay Utilize Karnay Key,Humain Sub Say Pahlay Daikhna Hoga Kay Hamaray Andar Konsi Salahiat Posheeda Hai,Hum Kis Tarah Apny Salahiat Mulk Or Apnay Liay Waqf Karsktay Hain Or Phir Wo Din Door Nahi Jub Hum Bahi Teesry Saf Say Nikal Kar Pahly Saf Main Mojood Hongay,Yahan Faisla Khud Hamain Karna Hai K Hamari Larai Kis Say Hai Nuqsan Kisay Hoga Aaj Mulk Main 58%Litracy Rate Hai Laken Shayad Shaoor 0.5%Bhi Nahi,Yad Rakhiay Khuda Sirf Uss Qom Key Halat Badalta Hai Jo Khud Koshish Kartay Hain".
 

Faiza Fareed
About the Author: Faiza Fareed Read More Articles by Faiza Fareed: 7 Articles with 12255 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.