Q?
Jante Bhi Ho K Kisi Ki Bhi Amad Ka Jashan Q Manaya Jata Hai? Q K Hum Apne Ane
Wale Mehman Ki Amad Per Khush Hote He Mehman Ka Kaha Manna, Uki Khuwahish Puri
Kerna, Uski Har Bat Ka Ahterem Kerna, Hamar Jese Farz Ban Jata Hai, Tabhi Hum
Apne Mehman Ki Amad Per Khush Hote Hain. Jabhi Hum Khushi Me Chargha Bhi Kerte
Hain, Or Jub Amad Aisi Hasti Ki Ho Jisne Apni Zaat Or Zuban Se Kisi Ko Takleef
Na Di Ho Hamesha Khushi Or Dua Hi Di Ho, Apni Umar-E-Bazahiri 63 Sala Zindagi Me
Kabhi Kisi Ko Bal Barbar Bhi Dukh Na Diya Ho, Jis Muqadas Hasti Ne 40 Ki Umar Me
Nabowat Ka Laqab Hasil Karliya Hon Or Sub Nabi-O-Peghember Per Foqiyt Hasil
Kerli Ho, Jinka Kaha Har Alfaz Quran K Lafzon K Barabar HoJinke Amal Ko Log
Sunnat Smjh Ker Adaa Ker K Flah-O-Kamyabi Ki Manzilon Ko Apne Qadmon Tale Rondte
Hon, Tu Han.........Han Hame Aisi Hasti Ka Jashan Bharpor Tariqe Se Manana
Chaiye,, Lekin Mera Sawal Yaha Ye Hai K Hum Apne Ghar Me Ane Wale Mehman Ki Har
Bat Sawab Samajh Ker Mante Hon, Khas Ker Khwateen Ager Ajain Tu,,, Q K Aisa
Kerne Se Hamen Sakoon Milta Hain Bazahir Khushi Milti Hai, Tu Phr Mera Khod
Mujse Sawal Hai K Wo Khushi Kho Gai? Jo Hamen Apne Pyare AAQA, HAZRAT MUHAMMAD
S.A.W.W Kii Amad Per, Apne Gali Muhaale Sajane Se Milti Hai, Nahi Pata.... K Hum
Jub Muhbbat Ki Bat Kerte Hain Tu Hum Ye Jatane Ki Koshish Me Lag Jate Hain K Hum
Apne NABI S.A.W.W Se Kitni Muhbbat Kerte He Ager Hum Waqai Muhbbat Kerte Hain
Apne Nabi Se Tu Phr Se Sawalon Me Se Ek Naya Sawal Uth Khara Hota Hai..
K
Q Hum Un Ka Kaha Q Nahi Mante?
Q Hum Sunnat Per Gamzan Nahi Hote?
Q Hum Un K Amal Per Amal Nahi Kerte?
Q Hum Haqoqul Ibbad Pure Nahi Kerte?
Q Humare Iman Soo Gaye Hai?
Q Hum Islam Se Door Hogaye Hain?
Kia Hamari Muhbbat Sirf Charaghan Tak Reh Gai Hai?
Q Hum Khoo Gaye Hai?
In Sub Q Ka Jawab Hamare Hi Andar Chupa Hai, Hamara Iman Kon Churaye Ga? Or
Chura K Karega Bhi Kia? Jub Humne Khod Hi Kuch Nahi Kia Is Iman Ka.
Such Tu Sirf Ye Hai K Hum Khod Se Khodi Me Chor Hain. Jub Hamen Kisi Bat Ki Koi
Parwah Nahi,, Jub Hamen Un K Hukum Ki Koi Parwah Nahi.. Hamen Khod Se Khod Ko
Badalna Hai Hamen Sirf Islam Smjhna Hai..... Lekin Jub Hum Samajhna Hi Nahi
Chahte, Tu Phr Akhri Sawal Ye Hai Mera Humse.... K Hum Ye EID Manaye Q?
(ALLAH Hum Sub Ko QURAN Or NABI Ki Sunnat Per Amal Kerne Ki Toufeeq Ata Farmaye,)
AMEEN.