Aey Ibn-E-Aadam.
Na Tum Apni Muddat-E-Hayat Se Aagy Barh Sakte Ho
Aur Na Apne RIZQ Se Zyada Hasil Kr Sakte Ho
Yad Rakho K Ye Zindgi 2 Din Ki Zindgi Hai
1 Din Tumhare HAQ Me Hogi
Aur 1 Din Tumhre Mukhalif
Jis Din Tumhare Haqq Me Hogi Uss Din Ghuroor Na Krna
Aur Jis Din Tumhare Mukhalif Ho Uss Din Sabr Karna
Our, Ye Dunya Humesha Karwaten Badalti Rehti Hy
Lihaza Jo Tumhre Haq Men Hy Wo Kamzori K Bawajood B Tum Tak Aa Jaey Ga
Aur Jo Tumhare Khilaf Hy Use Taaqat K Bawajud B Tum Taal Nahi Sakte
Is Liye Khuda K Aagy Aajizi Se Jhuk Jao,
K Wo Kisi Ko Bhi Khali Hath Nahi Loutataa.
Or Kabi Moat Sy Darna Mat Ager Moat Ka Waqt A Gaya Tu Zindgi Moat Sy Ja Mily Gi
Or Ager Moat Ka Waqt Nahi Tu Moat Zindgi Ki Hifazat Karti H. Kabi B Sach Bolne
Sy Mat Daro Chahe Tumhe Nuksan Hi Q Na Ho Tumhara Rab Bht Raheem H Woh Jo Chahta
H Karta H. Namaz Ada Karo Ye Na Ho K Woh Waqt A Jaye K Log Tumhari Namaz E
Janaza Ada Kary Or Tum Akhri Sajda B Na Kar Sako. Tooba Kiya Karo Q K Allah
Tooba Qabool Karne Walo Ko Pasand Karta H Or Jawani K Tooba Ko Boht Pasand Karta
H. Apni Ankho M Haaya Paida Karo Ager Tum Aj Kisi Ki Tarf Buri Nazar Dalo Gy Tu
Kal Koi Tumhari Tarf Buri Nazar Daly Ga. Apni Izat Karwana Chahte Ho Tu Dosro Ki
Izat Karo.
Ap S.A.W K Bagair Tum Kuch B Nai Ho Or Na Hi Kabi Kamyab Ho Sakte Ho. Tu Bas
Quran O Hadees Py Amal Karo Or Khud M Woh Islam Paida Karo Jo Ap S.A.W Ne
Sekhaya Or Ap S.A.W K Sahaba Akraam R.A M Tha. Allah Or Os K Rasool Hazrat
Muhammad S.A.W Sy Muhabat Karo Ager Tum Aqal Rakhte Ho. Q K Dunia Faani H Dunia
Ki Misal Murda Janwar Ki C Hai Or Murda Janwar Ka Talib Sirf Kuta Hai. Dunia Ki
Talaab Mat Karo Warna Tumhara Haal B Oun Jaisa Kiya Jaye Ga Jin Sy Tum Muhabat
Karte Ho. Qasam H Mujhe Apny Banane Wale Allah Ki Ager Tum Aj B Nai Khud Ko
Badlo Gy Tu Tumhari Aany Wali Naslain Roti Rahy Gi. From Falick Research
Foundation Okara