Alwida a Mahy Ramadan
(Noorulaan Noorani, Blackpool UK )
Kuch Din Pehly Ek Mehman Humary
Gher Aya Her Tarf Khushi K Lahar Doar Gai Bachey Buhray Jawan Kia Mard Kia Orat
Sab Kush Thy Us Nay Dill Me Ek Dosray Ka Ehtaram Pada Ker Dia Bardasht Kerna
Sekhaya Ek Dosray Ke Izaat Kerna Bataya Sath Mil K Bethana Mil K Khana Saber
Karna Or Allah Se Derna Uske Ibadat Kerna Apnay Se Kamter Logo Ko Apni Khushio
Me Shamil Kerna Unk Khany Penay Orrnay Sonay Ka Intezam Kerna Un Ko Kamter Na
Samjhna Garibo Ka Dokh Samjhna Or Mil Ker Ek Jaga Beth Ker Apnay Or Mohalay K
Molk K Masley P Bat Kerna Or Unka Hall Talash Kerna Sab Sabaq De K Ab Wo Mehman
Bas Janay Wala Hai Uske Itni Adat Per Gai Hai K Dill Ab Udas Hai Lakin Usko Jana
Hai Or Wo Ja K Rahay Ga Koi Usko Nahi Rokh Sakhta Kesi K Hath Me Kuch Nahi Han
Par Itna Pata Hai K Hum Rahay Na Rahay Ya Aglay Sall Phir Ay Ga Bhot Se Khushiya
La Ker Bhot Se Tamannao K Sath Rothy Dill Se Hum Tujhey Rukhsat Kerty Hai A
Mahey Ramadan Alwida Alwida A Mahey Ramadan Zinda Rahay To Teri Meman Nawazi Ka
Sharf Zaroor Hasil Kery Gay Inshaallah . Rozay Mehsher Hum Ko Baksh Wana A Mahey
Ramadan Alwida Alwida Alwida.