Pehchan
(waqas hamid khan joiya, karachi)
Aslam.O.Alikum,
Main Koi Likhari Yah Koi Mazmoon Noves Toh Hon Nahi Lekin Jane Kyon Anjane Main
Dil Ke Ander Se Eik Awaz Ai Ke Apne Dil Ke Lafzon Ko Tahreer Kar Dalon, Pata
Nahi Aap Log Meri Is Tehreer Ko Pasand Famaenge Yah Nahi Agar Pasand Karenge Toh
Aap Log Ka Nahayat Maskhoor Honga Or Agar Nahi Toh Mujhe Kuch Bura Bhi Nahi Lage
Ga Kiyon Ke Mujhe Pata Hai Main Apni Qaum(Pakistani) Ke Sath Mukhatib Hon Jin Ko
Suchai Mere Khiyall Main Shayad Kuch Khaas Achi Nahi Lagti.
Pata Nahi Kiyon Humari Qaum Itni Jahil Kiyo Hai Jub Ke Main Yeh Bhi Manta Hon Ke
Jo Karne Ki Salhayat Mere Pak Sar Zameen Ki Qaum Ke Pass Hai Woh Shayad Kissi
Aur Qaum Main Nahi Hai Ji Han Yeh Such Hai Aap Bhi Kahenge Wah Ji Kabhi Bura
Kaha Humain Toh Kabhi Kaha Bhala.
Main Is Waqt Saudi Arabia Main Muqeem Hon Aur Yaha Apni Khuda Daad Salahiyat
Riyal Ke Bech Raha Hon Begane Logon Ko Kiyo Mere Watan Main Na Hi Meri Ability
Ki Koi Izzat Hai Aur Na Hi Meri Mere Jese Pata Nahi Kitne Hi Aise Jawaan Larke
Hain Jinko Shayad Khane Ko Do Waqt Ki Roti Bhi Ache Se Naseeb Nahi Ho Rahi.
Yeh Sub Kuch Kiyon Humare Hi Watan_E_Aziz Main? Aap Log Mujhe Jawaab Dene Se
Qasir Lag Rahe Hain Main Hi Is Baat Ka Jawaab De Deta Hon Janaab Pehli Ghalti
Toh Humari Hai Kiyon Ke Hum Hamesha Se Hi Aise Hukamrano Ko Chunte Aa Rahe Hain
Jo Humari Hadiyon Tak Ka Roghan Juice Bana Ke Pee Chuke Hain Har Dafa Aisa Hi
Hota Hai Pata Nahi Kiyon Hum Hamesha Aise Logo Ko Vote De Kar Pm Yah President
Bana Dete Hain Jub Ke Hamain Unki Sub Kartooton Ka Pehle Si Hi Achi Tarah Illm
Hota Hai.
Ghalti Aap Hi Ki Hai Pehle Aap Apne Aap Ko Pehchan Toh Lain Ke Aap Kon Hain Kiya
Hain Hum Aaj Tak Apne Ander Ke Insan Ko Nahi Pehchan Paye Toh Auron Ko Kiya
Khaak Pehchane Ge Jub Tak Aap Apne Aap Ko Nahi Pehchante Aap Ka System Aisa Ka
Aisa Hi Rahega.
Pehchano Hum Hain Pakistani And There Is Nothing Impossible If We Have To Make
The To Make It Possible.