Aqalmandi
(Syed Bilal Ali, Karachi)
Aqalmandi Bacho Mai Jo Mainay
Dekhi Woh Bache Na Toh Kisi High Class K Students Thay Na He Kisi Compition K
Winner Thay...Dar Asal Aqal Mand Bache Woh Jo Eid K Din Apni Masoom Khuwahishat
Ko Apne Maa Baap Ki Majborio Per Ghalib Nh Anay Detay Tamam Tar Fitri Khuwhishat
Jo Tamam Bacho Mai Hoti Hn Us K Bawajood Her Us Cheez Se Mou Pher Laytay Hn Jo
Un K Maa Baap Ki Istaytaa'at Se Bala Hai...Dar Asal Aisay Bachay Khud Sakhta
Trbiyat K Darjat Per Hn K Jinhe Dunya Mai Rehnay K Tor O Tareeqay Sikhana Nh
Prtay Ghurbat Ko Inspiration Kaisay Banaya Jaye Koi In Se Seekhay..Meri Murad
Pakistan K Her Teesray Bache Se Hai Jo Bazahir Eid Ki Khushyon Se Mehroom Rehtay
Hn!
Magar Such Pochye Toh Asal Eid In He Logo Ki Hoti Hai Srf Khaa Pee Lena
Khuwahishat Ko Pura Krlena He Eid Nhi...Eid Toh Ajar Hai Allah Ki Trf Se Aur
Allah Ko Ko Mehboob Wohi Hn Jo Sabar Krte ''In Allaha Ma'as Saabreen''.
Han Aur Be Shak Us K Pass Un Bachoon K Liyeh Eid K Behtreen Tahaif Hain.