Akhir Manga Para ALLAH Se
(muryam masood, abu dhabi u a e )
Mairi Poori Life Dukh R
Preshaaniyon Ka Hissa Rahi Ab Mairi Age 40 Years Hai R 21 Year M Mairi Pehli
Shaadi Huwi Collidge Mai Qehqahey Lagany Wali Muryam Hansty Khailtey Shaadi K
Bhandan Bandh Gai R Phir Wo Silsilaa Shuru Huwa K Mairy Dushman Bhi Mairi B
Bessi Pr Ro Parein Wo Time R Aj Tak M Bhunwer S Nahi Nikli Iss Saary Time Mai
Allah Ko Pukarti Rahi But Jb Thora Sa Skoon Hota Thora Saaa Nnaa K Poora To Mai
Allah Ki Yaad S Gafil Ho Jati R Duniya K Logon K Qareeb Ho Jati Jis S Maang
Maang Kr Mushkil Kem Kerwaati R Wo Mugh Ko Asaani Ataa Bhi Krta Bt Mai Uss Ka
Shukriya Ada Kerna Bhool Jati Haan Dosto Shukriyaa. Ab Mairi Jis S Shaadi Huwi
Hai Wo Aik Ayaash Nikla Bt Shuruu Mai Mairy Saath Bht Accha Tha Abu Dhabi M Mugh
Ko Le Aya Mai Samghi Ab To Museebtain Sb Hatam Ye Period Bhi 2 Saal Ka Tha Baad
Mai Iss K Rang Dhang Daikh Kr Mai Samgh Gai K Ab Aik R Jaal Mai Phans Chuki Hoon
Khair Aallah S Feryaad To Jaari Thi . Mai N Jb Shehr E Saat Drama Daikhaa To Uss
Ne Mugh Ko Hilla Kr Rakh Diya Us K Dailog K (Jitna Piyaar Mai N Apney Shohar S
Kia Kaash Mai N Allah S Kia Hota To Mairi Jholi Mai Sb Kucch Hota) Haan Dostoo
Hum Jitna Iss Duniya K Rishton K Ly Tarappty Hain Kia Kabhi Aik Daffa Bhi Hum N
Uss Allah K Ly Tarap Dikhaii Nahi Naa Kash Hum Jaan Lain K Uss Ki Tarap Rakhney
S Duniya Ki Saari Muhabbtain R Naimtain Humari Jholi Mai Hoti Pr Nhi Dostoo Hum
Ko To Adat Hai Taras Taras Kr Muhabbtain R Naimtain Lainy Ki Jo Sahi Rasta Hai
In Sb Ko Paany Ka Uss Pp Chalna Hum Ko Nhi Kia Khubsurat Bat Kehi Hai K Ay Bandy
Aik Tairi Cchah Hai R Aik Mairi Cchah Hai Ager Tuu Apni Cchah K Ird Gird Ghoomy
Gaa Too Ghoomta He Rhe Gae Ga R Thak Haar Gae Ga Phir Bhi Paay Ga Nhi R Ager Tuu
Mairi Cchah P Chaly Ga To Tooo Phir Mairi Cchah Tairi Cchah Mai Badal Gae Gi
Mugh Ko Iss Drama K Likhny Wali R Banany Waly R Maira Ko Mubarak Daini Hai Jis
Ki Waja S Mai Ajj Apny Allah K Ly Tarap Paati Hon R Uss Ki Cchah Rakhti Hon Mugh
Ko Nhi Pata Mairy Dil Ko Itna Sukoon Kaha S Mil Giya Hai Yaqeen Kro Dostoo Bht
Sakoon Mai Hon B Shak Mushkilaat Hain Jin Ko Apny Time P He Hal Hona Hai Bt
Sukooon Jo Mairy Dil Ko Aya Hai To Ye Sb Mushkilaat Bht Halki Mahsoos Hoti Hain
Dil Ko Dostoo Duniya K Sb Kaam Kro Bs Kucch Time Uss Ki Yaad Mai Tarap Kr
Daikhoo Na Kiaaa Milta Wsalaam Muryum Abu Dhabi