Namukamal Insan

(Sobia Fahad, Lahore)


Insan Anthak Koshish Krley Tb Bhi Wh Mukamal Nhn Hoskta. Uski Shaksiyat Namukamal Hi Rehti Hai. Wh Apny Aas Paas Ky Lougoun Ko Aksar Mutma’een Nhn Kr Skta. Loug Na-Khush Rehty Hain, Itefaq Nhn Krty Kbhi Soch Sey Tu Kbhi Rawiyeh Sey Aur Kayi Mrtba Jb Na Pasandeena Aur Chubney Waley Alfaz Apny Hi Azizoun Sy Jin Ki Khatir Usney Kitni Hi Qurbaniyan Di Hoti Hain Khud Ko Mita Dia Hota Hai,Unsey Sunney Ko Milty Hain Tu Insan Toot Jata Hai Aur Tb Koi Usey Samaitney Wala Nhn Hota.. Usey Khud Ko Khud Hi Sambhalna Prta Hai, Wqt Sey Haalat Sy Samjhota Krna Prta Hai Aur Apni Hasti Ko “MITA DENA” Prta Hai!!

Yeh Toot Phoot Ka Amal Na Janey Kitney Din Rahey Iska Ta’aun Krna Mushqil Hai Pr Himmat Akely Ussey Hi Krni Prti Hai Apnu Bikhrey Tootay Zaroun Ko Yakja Krky Phr Sy Khara Hona Prta Hai. Haalat Chahey Jaisey Bhi Houn Wqti Samhota Usky Liye Lazmi Hojata Hai.

Buhat Taqleef De Hoty Hain Wh Lamhat Wh Ghariyan Jin Main Yeh Toot Phoot Ka Amal Rehta Hai, Kirchiyan Kirchiyan Bikar Jata Hai Insan Khud Ko Hi Dhoonney Sy Kasir Hojata Hai, Apni Hi Talash Ussey Mushqil Lgney Lgti Hai. Yahan Tak Ke Khud Ko Aayiney Main Bhi Daikhney Sy Guraiz Krta Hai, Woh Alfaz Jo Usney Sunney Hotey Hai Baaar Baar Usky Kanoun Main Goonjtey Hain. Youn Lgta Hai Jaisey Alfaz Hans Rahey Houn Uski Be-Inktiyar Zindagi Par, Soch Par, Fisaloun Par.

Aysey Main Sirf Aik Amal Hota Hai Jissy Wh Apni Is Taqleef Dey Kaifyat Sey Bahar Aaskta Hai Aur Wh Amal Hai Apny Malik-E-Haqeeqi Ki Qurbat Aur Doosra Yeh Ky Umeedain Jo Usney Doosroun Sy Qaim Kr Rhki Houn Unhain Utha Kr Koorey Dan Ki Nazar Kr Dey. Choonkey Umeedain Hi Taqaleef Ka Bai’is Hoti Hain Na Umeedain Rahain Gi Na Un Ky Tootny Pr Hony Wali Taqleef.
 

Sobia Fahad
About the Author: Sobia Fahad Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.