Assalamu'alaikum
Main Kuch Ziaada Nahi Bas Kam Kahoon Ga.Ke Humain Kia Ho Gaya Hai..Aakhir
Hum Sab Kiun Doosron Ki Buraaian Hi Dekhtay Hain..Agar Hum Apni Kharabian
Bhi Deekhain To Hamara Masla Bohat Had Tak Solve Ho Jaaey Ga.Kissi Ki Buraai
To Waisay Bhi Mana Hai Islam Main Woh Gheebat Hoti Hai.
Aur Agar Ham Sab Apni Apni Buraaian Deekh Kar Un Ko Theek Karnay Ki Koshish
Karain Gay To Is Main Hamari Apni Bhi Bhalai Hai Aur Doosron Ki Bhi..Aur
Dunia Aur Aakhirat Doonon Ki Bhalaaian Hain..Ok Aakhir Main Kahoon Ga Ke
Please Islam Main Koi Sakhti[Hardness] Nahi Hai..Seedha Aur Sacha Mazhab Hai
.Agar Insaan Kissi Se Achi Tarah Se Baat Bhi Karay Ya Muskaraay To Ye Bhi
Aik Sadqa Hai..
ALLAH Ham Sab Ko Hidaayat Naseeb Farmaaey..Aamin Sum Aamin. |