"Ahle Bait Ka Husne Akhlak. Aur Sakhawat"

(Md Faraz , Nizamabad)

Ek Martaba Hazrat Imaam Hasan, Hazrat Imaam HusainAur Hazrat Abdullah Bin Jaafar Radiallahu Ta’ala Anhuma Hajj Ko Ja Rahe TheKi Jis Oont Par Safar Ka Samaan Rakha Hua Tha Wo Kahin Pichhe Reh Gaya.Ye Hazraat Bhook Aur Pyaas Ki Wajah Se Pareshan The. Itne Me Un Ko Ek Budhiya Ki Jhonpdi Nazar Aai. Wo Log Jhonpdi Me Tashreef Le Gaye Aur Farmaya ‘kuchh Peene Ko Hai?’ Us Budhiya Ne Jawab Diya ‘haan, Hai.’ Phir Us Ne Apni Bakri Ka Doodh Dohkar Paish Kiya. Unho Ne Wo Piya. Phir Puchha ‘kuchh Khaane Ko Hai?’ Us Ne Jawab Diya ‘tayyar Nahi Hai. Isi Bakri Ko Zibah Karke Kha Lijiye.’Chunanche, Unho Ne Us Bakri Ko Zibah Kiya Aur Use Khakar Farmaya ‘hum Quraish Me Se Hain. Jab Is Safar Se Lautenge To Hamare Paas Aana. Hum Aap Ke Ehsaan Ka Badla Denge.’ Yeh Farmakar Rawana Ho Gaye.Jab Us Budhiya Ka Shohar Ghar Aaya To Khafa Hokar Kehne Laga ‘tune Bakri Un Logo Ko Khila Di Jinko JaantiBhi Nahi.’Thode Din Baad Wo Miyan-biwi Muflisi Ki Wajah Se Madeena Munawwara Me Aa Pahunche Aur Oont Ki Lindiyaan Chun-chunker Bechkar Guzara Karne Lage.Ek Din Wo Budhiya Kahin Ja Rahi Thi Ki Hazrat Hasan Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Use Dekhkar Pehchan Liya Aur Use Bulakar Farmaya,‘badi Bi, Mujhe Pehchana?’ Us Ne Arz Kiya ‘nahi!’ Aap Ne Farmaya ‘mainWo Shakhs Hu Jo Fala Din Tumahra Mehmaan Hua Tha.’ Budhiya Ne Gaur Se Dekha Aur Boli ‘haan, Pehchan Gai. Aap Meri Jhonpdi Me Tashreef Laaye The.’Hazrat Imaam Hasan Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Us Budhiya Ko 1000 Bakriya Aur 1000 Dinaar Inaayat Karne Ka Hukm Farmaya.Phir Aap Ne Apne Gulam Ke Saath Us Budhiya Ko Hazrat Imaam Husain Radiallahu Ta’ala Anhu Ke Paas Bheja. Hazrat Imaam Hussain Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Us Se Puchha ‘bhai Jaan Ne Tumhe Kya Diya?’ Budhiya Ne Jawab Diya ‘1000 Bakriyan Aur 1000 Dinaar.’ Hazrat Imaam Husain Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Bhi 1000 Bakriyan Aur 1000 Dinaar Us Budhiya Ko Inaayat Farmaye.Phir Aap Ne Gulam Ke Saath Us Budhiya Ko Hazrat Abdullah Bin Jaafar Radiallahu Ta’ala Anhu Ke Paas Bheja. Unho Ne Puchha‘dono Bhaiyon Ne Tumhe KyaDiya?’ Wo Boli ‘2000 Bakriyan Aur 2000 Dinaar.’ Hazrat Abdullah Ne Bhi Use 2000 Bakriyan Aur 2000 Dinaar Ata Farmae.Wo Budhiya 4000 Bakriyan Aur 4000 Dinaar Kekar Apne Shohar Ke Paas Aai Aur Kehne Lagi ‘yeh In’aam Un Sakhiyon Ne Ata Farmaya Hai Jin Ko Maine Bakri Khilayi Thi.’(Keemiya-e-sa’adat, Safa -259)

Mohammed Faraz Ahmed
About the Author: Mohammed Faraz Ahmed Read More Articles by Mohammed Faraz Ahmed: 10 Articles with 10047 views Working as Assistant Editor of Rafeeq e manzil, Urdu Monthly, New Delhi, India. Student of Political Science & History, interested in current affairs,.. View More