Pakistan Film Industry
(Ali Bhatti, nankana sahib)
Kafi Arsy Sy Mayari Films Na
Banny Ki Waja Sy Pakistan Ki Industry Buri Trha Zwal Ka Shikar Hai Ik Hi Trha Ki
Films Ban Rahi Hain Jin Ka Topic Ik Hi Hota Hai Jis Ki Waja Sy Logon Ny Canima
Jana Hi Chor Dia Hai Ab Sirf Hindi Films Dekhny K Liye Hi Log Jaty Hain Jo K
Hamary Culture Hamari Rawayat K Mutabiq Nahi Koi Bhi Film Ho Us Me Un Ka Apna
Pehnawa Apni Rawayat Hoti Hain Is Waja Sy Shareef Aur Muheb E Watan Banda Cinema
Nai Ja Skta .
Kafi Arsa Bad Hamayon Saeed Ny Ek Bahut Achi Koshish Ki Film Industry Ko Apny
Pairon Py Khara Karny Ki Aur MAIN HUN SHAHID AFRIDI Banai Usy Thek Pakistan K
Culture Aur Rawayat Ko Mad E Nazar Rakh Kar Banaya Gya Aur Wo Kamyab Bhi Rahi
Phir Pakistan Ki Movie Waar Aai Ham Jaisy Log Jo K Muhb E Watan Bhi Hain Aur
Apny Pakistani Logon Ko Agy Ata Dekhna Chahty Hain Sirf Apny Culture Aur Apni
Pehchan Ki Khatir Kafi Arsa Bad Film Dekhny Gaye.
Koshash To Achi Thi Lekan Us Me 70% English Diloges Hony Ki Waja Sy Aam Banda
Samjhny Sy Qasir Raha.
Bahar Hal Us Ny Bhi Pakistani Industry Ko Dobara Behtr Positon Py La Khara Kia
Hai.
Ab Aagy
Opration 021
Hijrat
Saya E Khudaye Zuljalaal
Aur Kaptaan Jaisi Films Aa Rahi Hain Aur Umeed Ki Ja Sakti Hai K Ye Films
Industry Ko Sahara Den Gi Aur Usy Apny Pairon Py Khara Karen Gi
Aur Kam Az Kam Pakistan Industry Sy Gandasa Culture Ka Khatama Ho Aur Achi Aur
Mayari Films Bane Jis Waja Sy Na Sirf Industry Chaly Gi Balky Bahut Sy Gharon K
Chohly Jalen Gy Apny Fankaar Aagy Aen Gy Aur Baen Ul Aqwami Satah Py Pakistan Ka
Jo Image Dehshat Gardi Ki Waja Sy Kharab Hua Hai Wo Behtar Banany Me Mada Mily
Gi.
Pakistan Zinda Abaad