Aakhri Awami Inquilab
(Nadeem Abbas Jafri, karachi)
                Asalam Alaikum ! mere pyare humwatan dosto main 
31 saal main 2 Army Govt,1ghair jamati Govt aur 5 jamati govt's dekh chuka hoon 
jabke 6th period 2008 ke Election se start hua hai. Main khud Amli Siyasat se 11 
saal wabista raha hoon aur 1993 se la taluki karne ke baad sirf Vote Cast karta 
hoon. Main ek anjaney khauf ko mehsoos kar raha hoon aur awam ko us se aagah 
karna mera Ahem Qaumi fariza hai.
Maine jitni Govt's ka zikar kia hai un main faraq sirf Chehron ka ya choti moti 
Policy's ki tabdili ka hai iske siwa kuch nahi. Lekin ab main jis baat ka zikar 
karne ja raha hoon woh pakistan ki taareekh main ek aisa baab raqam kare gi 
jisey aap Tehreek-e-Pakistan ke baad se is Qaum ka sabse bada Inquilabi Saniha 
keh saken gay. Pakistan ki ek Siyasi Jamaat yeh daawa karti hai ke usne ghareeb 
tabqe ke logon ko Aiwano main bheja hai is per mera sawal yeh hai ke kya woh 
ghareeb tabqe ke log Aiwan main janey ke baad bhi ghareeb hi rahe? aaj Ghareebon 
ki hakumat Qayem karne ke daawey daar yeh bata saktey hain ke kitne Taxi Driver, 
Rikshaw Driver, Bus Driver, Rozana Ujrat per kaam karne waley mazdoor, fixed 
sallery per kaam karne waley afraad, Educated be rozgaar Aiwan main bethay hain? 
aur agar aise log Aiwan main aajayen to kya woh apni pehli haisiyat per Qayem 
reh saken gay? Misaal ke tor per Lahore main ek Pakorey Samosey bechne waley ka 
beta aaj ek Siyasi Party ka kaleedi Member hai kya uska baap ab bhi Pakorey 
Samosey bechta hai? 
1988 ki sindh Govt main wazir-e-aala ke ek adviser Laundry Shop chalatey they 
lekin Advisor ban janey ke baad woh Laundry Shop bhi band ho gayi aur woh mosoof 
wahan kabhi nazar nahi aaye. Meri baat ka lub-e-lubaab mukhtasir yeh hai ke 
Pakistan main Khushhali ka Inquilab woh Tabqa layega Jo apne Zameer ko Anmol 
samjhta hai aur usey kisi qeemat per nahi bech sakta Aiwan-e-Iqtadaar main ja 
kar bhi apni wohi haisiyat yaad rakhe ga aur Iqtadaar per birajmaan hona apne 
Maali Faidey ke liye nahi haqiqatan Qaum ke ek Khadim ki haisiyat se anjam dega 
us din Pakistan Khushaali ki taraf gaamzan hoga jiska Khuwab Allama Mohd Iqbal 
ne dekha tha aur Mohd Ali Jinnah ne Amli Jaama pehnaya thaa,
Awam Ki Taaqat Vote Ke Liye Bohat Baar Sarf Hui ab Awam Sirf Apne Liye Iqtidaar 
ka Hasool Mumkin Banayen Gay aur Uski Qeemat Pesha war aur Khandani Siyasat 
karne walon ko Zaroor Chukani Hogi (Allah Ki Madad Aur Fatah Qareeb Hai) Allah 
Hamara Hami-o-Nasir Ho Pakistan Zindabad