Maun Ka Din

(Samina Fayyaz, )

Maun Ki Dua Pori Hwe Or Hamain Itni Bari Dunya Ma Ghar Mil Gaya Ji Alam Gir Sahib Ka Gaya Hwa Gana Ajj Mujhay Yunhi Yad Agaya Sochti Hm Asa Kya Hwa K Ab Maun Nay Dua Karni Hi Chor Di Ha Jo Mulk K Ye Halat Ho Gay Hain Ya Hamaray Asay Amal Ho Gay Hain Jin Ki Wajah Se Maun Ki Duawon Se Bhi Aman Nahi Ho Raha Ghor Kijya !

10 May Ka Din Pori Dunya Ma Maun K Din K Hawaly Sa Jana Jata Ha Is Din Ki Mnasibat Sa Sari Dunya Ma Taqribat Hoti Hain Log Apni Maun Ko Tuhfay Detay Hain Un K Sath Waqt Gzartay Hain Khanay Pr Lay Jatay Hain Mager Pakistan Ma Zayada Tar Log Ye Kahtay Hain Maun Ka Din Hamaray Liya Sara Sall Rahta Ha Is Liya Koi Khas Din Makhsoos Kar K Maun Ki Ahamyat Ko Ghataya Ya Barhaya Nahi Ja Sakta Lakin Aksar Asa Kahnay Wale Bhi Maa Ki Ahamyat Aur Us Se Muhabat Ka Ataraf Karnay K Liya Waqt Nahi Nikal Patay Jab K Wo Maa Ki Ahamyat Se Acchi Tarha Waqif Bhi Hotay Hain Dua Dil Se Nikalti Ha Or Dil Kush Na Ho To Dua Bhi Asar Nahi Karti Chahay Wo Maa Ki Dua Hi Q Na Ho.

Han Ya Bat Sach Ha K Islami Muashra Honay Ki Wajah Se Aksaryat Maun Ki Muhabat O Ahtaram Me Koi Kami Nahi Rakhti Mager Ye Bhi Sach Ha K Dahshat Gardi Or Dast O Giraban Honay Wale Hath Bhi Inhi Mauon K Batay Hain Isi Mulk K Batay Hain.

Islam Ma Maa K Darjay Ko Itna Buland Qarar Diya Gaya Ha K Is K Qadmo Ma Jannat Ho Nay Ka Bayan Farma Diya Gaya Bachpan Sa Ab Tak Maun Ki Ahamyat Aur Un K Pyar Ki Latadad Misalain Dakhin Bhi Or Un K Baray Ma Parha Bhi Jinhain Tahreer Karnay Bethon To Khatum Honay Me Na Ain Phir Bhi Chand Waqayat Ki Nasandahi Zaroor Karon Gi Jesay Anbiya Karam K Waqayat Jin Me Hazrat Moosa( A S ) Ka Waqaya Jis Me Kud Allah Nay Paharh Charhtay Hwe Moosa (As ) Say Farmaya; Ay Moosa Ab Sambhal K Qadam Rakhan Tumharay Liya Dua Karnay Wali (Tumhari Maa) Ab Dunya Me Nahi Ha !

Hazrat Muhamad( S A W) Ka Bar Bar Ye Talqeen Karna K Maa Ka Darja Baap Say Bhi 3 Guna Zayada Ha Maa Ki Ahamyat Ko Ujager Karnay K Liya Kafi Ha Asay Ik Nahi Darjanow Waqayat Hamain Maun Ki Ahamyat Ko Wazah Karnay K Liya Hi Hain.

Kai Muqamat Par Sahaba Karam ,Umat Muslima Or Sari Dunya Ko Muhammad (S A W)Nay Maun K Ahamyat O Ahtaram Ki Misalain Di Hain.

Ma Nay Buhat Kuch Parha Lakin Jab Likhnay Bathi To Tasawur Me Sirf Apni Maa Ain Meri Maa Dunya Ki Sab Maun Ki Tarha Anmol Hain Jab Se Ma Nay Dunya Ma Ankh Khooli Thai Us Waqt Apni Bat Ko Samjhana Lafzon Me Nahi Ata Tha Or Na Hi Kisi Dosray Tariqay Se Phir Bhi .Wo Kesay Meri Her Zaroorat Ko Jan Kar Pora Ker Deti Thin Or Kuch Kahay Bina Hi Meri Her Bat Samajh Leti Thi Ye Ik Sawal Asa Ha Jo Hamesha Hi Ma Janna Cahti Thi Lakin Is Ka Jawab Lafzon Me Bayyan Nahi Kya Jasakta Yahan Tak K Ajj Me Kud Ik Maa Hon To Ma Is Sawal Ka Jawab Nahi De Sakti Bas Ik Naqabil E Byan Ahsas Ha Jo Maa Or Bachay K Darmiyyan Hota Ha Jab Ma Nay Pahli Bar Un Ka Naam Liya Hoga Or Apni Totli Zuban Ma Maa Kaha Hoga To Un Ki Khushi Kya Hogi Ye Soch K Hi Muskurahat Se Mera Cahra Damaknay Lagta Ha Zindagi K Her Qadam Pe Me Nay Unhain Ap Nay Humrah Paya Or Apni Manzilpe Un Ki Duaun Se Kamyabi Se Puhanchi Her Rah Ki Rukawat Ko Meray Liya Unhonay Hataya Kabhi Chot Lagi To Mera Her Dard Un Ki Awaz Se Zahir Honay Lagta Wo Apni Her Mumkin Koshish Kartin K Meray Dard Ko Kisi Bhi Tarha Kam Kar Dain Dawa Se Dua Tak Her Waqt Unhain Apnay Qareeb Dekha.

Meray Her Imtehan Pe Lagta Jesay Un Ka Hi Imtihan Ho Me Nay To Kabhi Un Se Apnay Liya Dua Karnay Ka Kaha Hi Nahi K Bin Mangay Hi Unhain Apnay Sab Bachon K Liya Hamesha Duago Dekha Apnay Bachon K Cahray Ki Muskurahat Se Un K Cahray Pr Sakoon O Itminan Ki Jhalak Numayyan Ho Jati Or Halki Si Parishani Bhi Un Ki Ratoon Ki Neend Barbad Kar Deti Koi Bacha Bemar Na Ho Is Fiqar Me Din Rat Hamara Khyyal Rakhtin Or Isi Fiqar Me Cahay Kud Bemar Bhi Ho Jain Is Bat Ki Koi Parwa Na Hoti.

Ik Dost Ik Saheli Ik Muhafiz Ik Rehber Dunya Me Jenay Ka Saliqa Sikhanay Seakhitar Ki Tayyari Tak Her Jagah Unhain Apna Rahnuma Paya Wo Ajj Burhi Ho Chuki Hain Lakin Un Ki Duawn Me Ajj Bhi Utni Hi Shidat Ha Ajj Bhi In Duawn Me Wohi Belos Mumta Or Pur Khuloos Muhabat Hoti Ha Na Sirf Apnay Bachon K Liya Balka Is Mulk Is Shehar Me Rahnay Waly Sab Bachon K Liya K Allah Sab Ki Hiffazat Or Is Mulk Ko Taraqi Day( Ameen ).

Qun K Maain To Sab Ki Sanjhi Hoti Hain Un K Liya To Dunya K Her Bachay K Liya Mumta Hoti Ha Ye Zaroori Nahi K Maa Wo Hi Ho Jo Apni Kokh Se Bachay Ko Janam Day Ik Uorat Me Mumta Ka Jazba Hi Usay Maa K Lazawal Darjah Pe Puhanchata Ha.

Is Ki Sab Se Bari Missal Pakistan Me Bilqees Idhi Jesi Azeem Belos Khwateen Hain Jo Beshumar Bachoon Ko Apna Man Kar Un Ki Parwarish Or Un Ki Talem O Tarbiyat Ik Maa Ki Tarha Hi Kar Rahi Hain Un Ki Mumta Her Bachay K Liya Kisi Tasub Kisi Muzhab Kisi Qoum Kisi Tabqay Say Bala Ter Ha Or Mumta Asi Hi Hoti Ha Tapti Dhoop Me Kisi Tanawar Darakhtki Thandi Chawn Ki Tarha K Musafir Koi Bhi Ho Mazhab Qoum Firqa Nahi Dekhti Or Sab Ko Saya Deti Ha .

Is Muashray Measi Buhat Main Hongi Jo Kisi Ghear K Bachay Ko Apna Kar Apna Man Leti Hain Adoupt Kert Leti Hain To Wo Maain Bhi Qabil E Tehseen Hain Jo Apnay Zahni Ya Jismani Pasmandah Bachon Ko Apnay Jism K Hisay Ki Tarha Apni Jan Se Aziz Mta Samajhtay Hwe Is Umeed Pe Zindah Hain K Un Ki Oullad Ik Din Zaroor Normal Bachon Ki Tarha Zindagi Jiya Gi.

Meri Dua Ha K Allah Hum Sab Ki Maaoun Ka Saya Hamaray Saron Pe Salamat Rakhay Or Un Ki Douwnse Hum Sab Ki Zindagiyyon Ko Khoshiyyon Se Munawar Kar De Me Janti Hum Kuch Log Is Article Ko Parh Kar Ye Bhi Khain Gay K Musalman Ho Kar Angrazon Ka Din Mana Rahay Hain Un Angrazon Ka Jo Kabhi Mazdoorown Ka Kabhi Kisanon Ka Pagalon Ka Yahan Tak K Kutay Billi Ka Yani Pets Day Bhi Manatay Hain Usi Tarha Ik Din Maa Ka Bhi Mana Litay Hain
Lakin Kabhi App Nay Soucha K Islam Nay Hi Uorat Ko Maa K Darjat Ko Ahamyat Dilay Kisi Or Mazhab Me Itni Ihamyat Or Haquq Nahi Jitney Islam Se Ik Uorat Or Maa Ko Milay Hain Or Kabhi Ap Nay Socha K Pori Zindagi Me Kitni Bar Ap Nay Apni Maa Ky Ahsanat Ka Ataraf Kiya Ha? Shayed Kabhi Nahi.

Rab E Kaynat Jo Do Jahanon Ka Malik Haher Sha Ka Malik O Mukhtar Ha Jisay Her Chiz Py Qudrat Ha Wo Bhi Apni Tareef Aor Humd O Sana Pasand Fermata Ha To Maa To Us Ki Banai Hwe Ik Thakhleeq Ha Ik Insane Ha Jo Yaqeenan Tareef Ki Mustahiq Bhi Ha Ager Ap Apni Maa Ki Muhabaton Aor Qurbanyon Ka Ataraf Karain Gay Or Un Se +++++++Kahain K Maa Me Teray Ahsanat Ka Zara Bhi Badal Nahi Desakta Go K Donya Ki Her Nayab O Qeemti She Bhi La Rakhon Teray Ahsanat K Ataraf K Siwa Kuch Na Hog Anhan Koi Tuhfa Dain Ya Na Dain Ap Ka Muhabat Bhara Ya Ataraf Un K Dil Se Ap K Lia Dua Ka Sabab Zaroor Banay Ga Jis Se Ap Ko Hi Faida Ho Ga K Ap Ki Jannat Ap Ki Maa Ap Se Kush Or Razi Hain Or Or Dunya O Akhirat K Liy Duo Go Hain Chaplain Ajj Hi Kah Dain Maa Tum Hi Meri Junta Ho Happy Mothers Day .

samina fayyaz
About the Author: samina fayyaz Read More Articles by samina fayyaz: 12 Articles with 29037 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.