Pani Ki Ahmiyat
Allah Taala Sirf Insaan, Iss Kainaat Aur Tamam Makhlookat Ka Hi Khaliq Nahin Hai,
Balkay Insanoon Ki Zaroauriat Bhi Iss Ki Paida Karda Hain. Iss Ka Taluq Insaan
Ka Sath Mehaz Zabtay Ke Hakim Hi Ka Nahi , Balkay Rehmat Karne Wala, Inam Dena
Wala Aur Ehsan Karne Wale Ke Bhi Hai. Allah Taala Ne Apni Rehmat, Apni Neymatoon
Aur Ehsaan Ka Mazahir Per Ghoaur-O-Fikar Ki Dawat "Quran Hakeem" Mein Mutaded
Muqamaat Per Aur Mukhtalif Perayon Mein Diya Hai. Irshad-E-Bari Taala Hai.
“Zameen Allah Taala Ki Nishanion Se Bhari Pari Hai Aur Door Kyun Jao Tum Khod
Apna Upper Ghoaur Karo, Tum In Roshan Haqaiq Se Kis Tarah Sirf Nazar Karo
Gay”.Nahi Atein”. (Luqman: 20)
Khaliqe Kainaat Ki In Tamam Nasihatoon Mein Say Jis Neymat Ka Quran Pak Mein Bar
Bar Zikar Hai, Woh (Water) Pani Ki Naimat Hai, Jis Per Insanoon Ki Hi Nahi Tamam
Jandaroon Ki Zindagi Ka Daromadar Aur Inehsar Hai. Zindagi Ki Baqa Ka Is Saman
Ka Hasool Ka Sab Se Aham Aur Barda Zariya Barish Hai. Barish Ko Allah Taalah Ne
Bandoon Ke Haq Mein Apni Rehmat Qarar Diya Hai. Yeh Hai Ka Barish Ka Zaria Se Jo
Khushhali Hoti Hai Woh Kisi Aik Fard Ka Lia Nahi, Balka Paura Muashra Ka Lia
Hoti Hai Aur Is Ka Lia Zaroauri Hai Ka Sara Muashra Aisi Zindagi Guzara Jo Allah
Ka Ahkam Ka Mutabiq Aur Isa Khush Karma Wali Ho Taka Muashra Majmoi Toaur Per
Allah Taalah Ka Inamat Wa Ahsanat Ka Mustahiq Ho Saka Aur Barish Sari Abadi Ka
Lia Baja Toaur Per Barana Rehmat Sabit Ho. Allah Taala Ko Khush Karma Wali Baton
Mein Say Aik Yeh Bhi Hai Ka Is Ki Naimatoon Ki Qadar Ki Jae.
1. Is Naimat Ka Mayasar Anay Per Izhar Tashakur Ke Liye (Pani) Water Inkisari Ke
Sath Baith Ker Piya Jaye.
2. Pani (Water) Penay Se Qabal Allah Ka Naam Liya Jaye Aur Penay Ke Baad Is
Farhat Baksh Aur Hayat Afreen Shai Ka Hasil Honay Per Allah Ka Shukar Ada Kiya
Jaye.
App (SAWA) Ne Pani (Water) Ke Jo Adab Batain Hain Woh Yeh Hain Kay Pani (Water)
Ko Dakh Ker Peya Jae , Kisi Baray Bartan Say Mun Laga Ker Pani (Water) Nay Piya
Jae, Pani (Water) Ruk Ruk Ker Is Tarah Piya Jae Kay Pani Ka Bertan Mein Saans Na
Chaur Na Paray. App (SAWA) Nay Water Ka Zakhiroon Mein Ya In Ka Qareeb Ghalazat
Karma Say Mana Farmaya Hay Aur Aam Istafada Ka Water Ko Rook Dena Ya Farokht
Karma Najaeez Qarar Diya Hai. Water Zaya Karna Say Mana Farmaya Hai Aur Water Ka
Istimal Mein Kifayat Shuari Ka Hokum Diya Hai. Ap (SAWA) Nay Farmaya Ka Khuwa
Tum Behti Nehar Ka Kinara Betha Ho Tab Bhi Water Ka Istimal Mein Israf Say
Perhaiz Karo.
Ahkam E Elahi Aur Irshad-E-Nabvi (SAWA) Ko Samajh Lena Kay Bad Ghoaur Farmaia
Kay Hamaray Amal Kiya Hai Aur Tarz-E-Amal Kiya Hai? Kahein Ya Ham Pani (Water)
Jesi Dolat Ki Isi Tarah Hifazat Kartay Hain, Jis Tarah Doosri Dolaton Ko Bacha
Ker Rakhtay Hain? Halan Kay Akser Doosri Dolatan Agar Myasar Nah On Tab Bhi Admi
Zinda Reh Sakta Hai Aur Rehta Hai, Lakin Pani (Water) Aisi Cheez Hai Jis Kay
Baghar Zindagi Mohaal Hai. Pani (Water) Hi Zindagi Hai. Pani (Water) Kay Bagher
Koi Zee Nafs Teen Din Say Zyada Jism-O-Jaan Ka Rishta Barqarar Nahi Rakh Sakta.
Teen Din Bhi Atba Nay Zyada Say Zyada Had Rakhi Hai, Lekin Pani (Water) Kay
Bagheir Insan Per Jo Kutch Guzarti Hai Us Ka Kutch Andaza Roza Daroon Ko Hojata
Hai.
Pani (Water) Sir Chashma Hayat Hai, Pani (Water) Zariya Sehat Hai, Water Wasila
Quwat Hai. Hayat Water Hi Say Peda Hoi Hai Aur Water Hi Tazgi Wa Tawanai Ka
Minba Hai Insan Ka Jism Ka Beshtar Hissa Water Hi Per Mushtamil Hai Aur Zindagi
Ka Afaal Water Ka Bagher Jari Nahi Reh Sakta. Ghiza Ka Beshter Hissa Bhi Water
Hi Hai. Baaz Shaded Aur Mohlik Surtoon Mein Zindagi Bachana Ka Wahid Zariya Jism
Mein Pani Pohnchana Hai. Is Pani (Water) Ko Hum Kis Bedardi Se Phaktay Hain, Kis
Be Niyazi Se Zaya Karta Hain Aur Kis Ba Aetnai Se Bahate Hain, Is Ka Bayan Karna
Ki Zarorat Nahi. Ye Her Shaksh Ka Rozana Ka Mushahida Hai, Balkay Amal Hai,
Lekin Jab Pani Mayasar Nahi Ata To Aik Aik Qatre Ka Liye Taraste Hain Aur
Takleef Uthata Han. Agar Ghor Karain To Is Takleef Ka Paida Karna Mein Khud
Hamara Bhi Hissa Hai.
Aik Sheri Ki Hasiat Say Ham Agar Apni Zima Dariyan Samjhan To Aisi Takaleef Peda
No Hon. Azad Mulk Ka Sheri Bohat Say Masail Khud Hal Karleta Han. Zimma Dar
Sherion Per Mushtamil Muashra Sakoon-O-Faraghat Ki Dolat Say Mala Maal Hota Hai.
Aaj Duniya Jin Nazuk Tareen Masael Say Dochar Hai, Un Mein Pina Ka Water Ki
Farahemi Bhi Shamil Hai. Sharon Aur Qasboon Mein Saaf Pani (Water) Ka Mayasar
Ana Rooz Barooz Mushkil Hota Jaraha Hai. Is Say Nae Nae Masail Janam Lay Raha
Han. Khusan Tesri Duniya Ka Mumalik Ko Qillat Khurak Ka Elawa Jis Eham Masla Ka
Samna Hai Woh Shehri Aur Dehi Abadion Ko Saf Water Ki Farahmi Ka Masla Hai. Is
Lia Ham Ko Aqwam Mutehda Ka Shukar Guzar Hona Chaia Ka Jis Nay Pichli Sadi Ki
Athwin Dihai Ko Ishra Aab Qarar Diya Tha 1981 – 1990 Ka Das Barsoon Ko Is
Zaroauri Maqsad Ka Lia Waqf Karka Sahih Simt Mein Aik Qadam Uthaya Gaya Hai Jis
Ko Danish Mandana Kaha Jasakta Hai. Is Iqdam Ka Bad Tawaqa Thi Ka Duniya Ka
Beshter Mulkon Ki Hukumatan Apna Masarif Per Nazar Sani Karan Gi Aur Is Ka
Natija Mein Amli Iqdamat Wa Intazamat Ka Aghaz Hoga.
Aqwam Ki Satah Per Mansoba Bandi Aur Intizamat Ka Sath Yeh Bhi Zaroauri Hai Ka
Infiradi Toaur Per Is Nazuk Suratehal Ka Sanjedgi Ka Sath Jaeza Liya Jae Aur
Water Ki Qilat Ka Pasha Nazar Is Ka Hasool Aur Istamal Mein Jitna Tardid Aur
Jitna Tadbar Ikhtiyar Kiya Jasakta Hai Kiya Jae. Jitni Kifayat Aur Ahteyat
Mumkin Hai Is Say Guraiz Nay Kiya Jae. Agr Aap Nay Ail Loota Water Bhi Zaya Hona
Say Bachaya To Yeh Samjhiya Apna Faida Ka Sath Sath Qaum Aur Insaniyat Ki Bhi
Khidmat Ki. Abadi Ki Kasrat, Dehaton Say Sheron Ki Taraf Abadi Ki Muntaqli Aur
Water Ki Barhti Howi Zarauriat Say Jo Mushkilat Peda Haurahi Han Aur Is Say
Zyada Aenda Peda Hona Ka Imkan Hai, Is Ko Zehan Mein Rakhia Aur Water Ka Aik Aik
Qatra Ko Aabe-Hayat Samjhia.
Aik Musalman Ki Hasiat Say To Yeh Hamara Deni Fareeza Hai Ka Hadi Barhaq (SAWA)
Ki Hidayat Per Amal Karan Aur Allah Ki Is Naimat Ki Naqadri Nay Karan. Israf Say
Hamain Mana Kiya Gaya Hai. Israf Jis Chiz Ka Bhi Ho Baura Hai. Water Jesi Chez
Ka Israf To Kisi Tarah Bhi Gawara Nahi Hona Chaia. Is Masla Ki Nazakat Agar
Pash-E-Nazar Raha To Ham Water Ka Aik Qatra Bhi Beja Saraf Nay Karan. Safai
Hamara Eman Ka Juz H. Water Ko Saf Rakhna Ka Lia Jo Tadabir Bhi Ham Ikhtiyar
Karsakta Han, Un Say Guraiz Nahi Karna Chia. Yad Rakhain, Pani (Water) Ko Zaya
Hona Say Bachana Humari Zaraurat Hai Aur Humara Faraz Bhi Hai. Saaf Pani (Water)
Lazman Hayat Bhi Hai Aur Taqazai Eman Bhi.