Maa
(Ambreen Javed, Rawalpindi)
Main Aj Jo Tehreer Likh Re Hoon
Wo Aik Aise Hasti K Bary Main Hai K Iss Kainat Main Jitna B Rang Hain Sub Usi
Sey Hain.Meri Tehreer Ka Mozo Maa Hai.Maa Aik Aise Azeem Hasti Hai K Jis K
Qadmoo Talay Khaliq E Kainat Nay Janat Rakh De Hai.Kissi Nay Such E Kaha Kay Maa
Kay Baghair Ghar Ghar Neihe Qabristan Hai.Maa Zindgi Hai.Maa Aik Hasti Hai K
Jiss Kay Baghair Ye Ye Kainat Bilkul Na Makamil Hai.Maa Kay Beghair Ye Dunya
Adhoori Hai.Iss Kainat Ka Hr Rung Maa Kay Wujood Sey Hai.Maa Kay Beghair Ye
Zindgi Berung Hai.Maa Bachy Pay Anay Wali Hr Mushkil Kay Agay Dhal Bun Jati
Hai.Maa Aik Aisa Wasee Sumandar Hai Jo Hr Dukh Hr Runj Ko Apnay Seenay Main To
Smait Lati Hai Lekin Apnay Bachy Tk Grm Huwa Ka Junka Tk Bardashat Nei Kr Sakti.