Kuch Haqaiq Ka Chupa Rehna Hi
Hamary Lie Behtar Hai.Lekiin Mera Kheyaal Hai K Jhut K Andhery Main Rehny Sy
Behtar Hai K Ensaan Sach Ki Roshni Sy Apni Ankhee Kheraa Hony Dy.Is Duniyaa Main
Koi Bhi Insaan Apni Zaat Main Mukammal Nh.
Tasanno,Banawat,Wazaa Har Aik Ki Shakhsiyaat Main Is Tarhaa Rach Bas Gai Hai
Goyaa Yeh Us Shakhs Ki Shakhsiyaat Ka Aik Hisaa Ho Or In "Ejzaa E Shakhsiyaat" K
Bagher Wo Na Mukammal Ho."Ejzaa E Shakhsiyaat"...!!! Aj Kal K Door Ko Madd -E-
Nazar Rakhty Huy Agr "Tassano" Or "Wazaa" Ko Ejzaa E Shakhsiyaat Kaha Jay,To Be
Jaa Na Hoga.Badalty Halaat K Pesh E Nazar Ensaan Ko Apny Rawaiyoo Main Musbat
Tabdili Lani Chahiye.Dar Haqiqaat Insaan Ko Apny Mannfi Soch -O- Bichaar Ko
Mehaz Tabdeel Nh Karna Chahiee Balky Puri Tarhaa Sy Is Ka Khatma Kar Dyna
Chahiee .Tabdeel Shuda Aadaat Badalty Haalaat K Sath Kbhi Bhi Zahir Ho Sakti
Hain Lekin Agr Kisi Cheez Ka Jaar Sy Khatma Kar Dia Jay To Wo Kbhi Kisi Bhi
Mahool Main Nash O Numaa Nh Paa Sakti. Es Lie Naraa "Khatamy" Ka Hona
Chahiee "Tabdili" Ka Nh.