"Tax" Tax Aik Aisa Lafz Ha Jise
Ab To Bacha Bacha Bhi Khoob Waqfiyat Rakhta Ha.Hata Ke Agar Ap Bazar Se Bache Ke
Liye Goliya Tofiya Bhi Lene Chale Jai To Uss Per Bhi App Ko Tax Ki Adaigi Karna
Bohat Zarori Ha. Asan Lafzo Me Ye Kehna Bohat Asan Ho Ga K Har Us Chez Per Tax
Ha Jo Bazar Se Milti Ha.Me Manti Hoo K Bahar K Mulko Me Tax Ki Adaigi Lazam Ha
Lekin Waha Chota,Bhara Har Koi Hata Ke Waha Ke Hukmran Bhi Mukamal Tax Ki Adaigi
Karte Ha.Is Leye Waha Wo Tamam Sahulte Muhaya Ki Jati Ha Jin Ka Wo Tax Ada Karte
Ha.Is Leye Hamare Haa Se Kisi Bhi Bache Se Pooch Ley Jai Ke Us Ne Bare Ho Kya
Banna Ha To Pehla Jawab Yehi Mile Ga Pehle To Bahar Ke Mulk Jai Ge Phir Soche
Gai.Hamare Ha To Tax Dena Sirf Gareeb Logo Ka Kaam Ha Or Kuch Aese Logo Ka Jinhe
Abhi Thori Si Qom Ki Izat Pyari Ha Lekin Hamare Hukmran Pehle To Bare Bare Dawe
Karte Ha Aur Agar Phir Tax Ke Bare Me Oocha Jai To Pehle Bohat Fakhar Se Batate
Ha K Hum Ne Ada Kiya Aur Agar Poocha Jai Ke Kitna Ada Kiya To Chuup Se Ho Jate
Ha.Akhir Me Mera Sirf Amne Hukmrano Se Ye Hi Sawal Ha K Unho Ne Guzishta Saal Ka
Tax Ada Kiya Ha? Aur Agar Kiya Ha To Kitna Ada Kiya Ha?