Hamari Pehchan Hamara Parcham
(Adeela Chaudhry, Renala Khurd Okara)
Dunya Mein Bohat Se Mumalik
Hain Kuch Taraqi Yafta Aur Kuch Taraqi Pazeer.Har Mulk Ki Apni Apni Pehchan Hai
Lekin Pehchan K Hawale Se Ek Cheez Sub Mein Mushtarik Hai Aur Wo Hai Mulk Ka
Parcham.Har Mulk Ka Apna Jhanda Hai Jis Ka Koi Na Koi Rang Hota Hai Aur Wo Rang
Kisi Na Kisi Baat Ki Tarjumani Karta Hai.Hamare Mulk Ka Bhi Ek Jhanda Hai Jis
Mein 2 Rang Hain Sabz Aur Sufaid.Sabz Rang Musalmanon Ki Aksariyat Ko Zahir
Karta Hai Aur Sufaid Rang Aqliyaton Ko.Jub Bhi Kisi Bachey Ko Jhandey Ki Pehchan
Di Jati Thi To Us Ko Yehi Bataya Jata Tha K Sabz Rang Musalmanon Ki Aksariyat K
Liye Hai Aur Sufaid Rang Aqliyaton K Liye.Lekin Yeh Kya K Ajkal To Jhandiyon Ka
Rang Hi Wo Nahi Raha.Wo Jhandiyan Jin Se Gharon Ko Sajaya Jata Hai Ajkal Un Ka
Rang Hi Tabdeel Hai Koi Surkh Rang Ki Hai To Koi Neeley Rang Ki.Yani Wo Rang Jis
Se Hum Bachon Ko Apni Pehchan Dete They Wo Rang Hi Nahi Raha.Ajkal Hum Kya
Dekhte Hain K Bachay Parcham Ki Tasveer Banatey Huwe Apni Marzi Aur Apni Pasand
Ka Rang Bharna Pasand Karte Hain.Kal Tak Jo Rang Sabz Tha Aj Neeley Peeley Aur
Surkh Mein Tabdeel Ho Chuka Hai.Khudara Apne Mulk Ki Pehchan Na Badlen Aur Wo
Jhandiyan Jin Se Bachon Ko Parcham Mein Mojud Rangon Ka Maqsad Samjhaya Jata Hai
Un Ka Rang Na Badlen Un Ko Sabz Aur Sufaid Hi Rehne Den.Allah Pak Hum Pe Apna
Karam Hamesha Rakhe Aur Pakistan Ka Parcham Ta Qayamat Sarbuland Rakhe Aur Hamen
Har Medaan Mein Surkhuru Farmae.Ameen