Inqilab

(farah ejaz, dearborn,mi USA)

Assalam O Alaikum,
Inqilab Aaj Her Taraf Is Ki Batain Ho Rahi Hain........Inqilab Kiya Cheez Hay....Kabhi Socha Bhi Hay Sirf Juzbaati Batain Ker Walo Hum Say......Hum Shoq Say Ker Tay Hain...But Amal Ka Waqth Aya To Saari Inqilabi Sonch Hawa Hogayee....Inqilab Wo Nahin Jo Aap Ya Hum Sub Samajh Tay Hain..Inqilab Wo Hay Jo Hazrath Mohommad Sallallahho Alaih Wasalam Lakeer Ai Thay.......Inqilab Wo Hay Jo Hazrath Umar Farooq Ki Kater Dushmani Ko Islam Say Mohobath Or Rasool Allah Per Jaan Nichawar Ker Nay Ka Juzba Baidar Ker Gaya Tha.......Ser Kata Saktay Hain Hum...Jhuka Saktay Nahin......Sahaba Ki Amli Zindagi May Hummay Milta Hay.....Iman Ki Hararath Jis May Nahin Wo Inqilab Kiya Laiga ....Pakistani Khom Ho Ya Poori Muslim Ummah......Gehri Neend Kub Ki So Chuki....Mazay Ki Baath Yai Hay Kay Moderate Islam Ki Batain Hoti Hain....Or Jo Bechara Siratul Mustaqeem Per Chalna Cha Hay To Ussay Duqiya Noosi. Or Inteha Pasand Keh Diya Jata Hay.....Jahan Corruption Ooper Say Laiker Neechay Tuk Phaily Ho Wahan Inqilab Ki Batain Kuch Ajeeb Si Lugti Hain ....Jahan Halath Per Saber Na Ho Or Allah Say Apnay Halath Say Shikwa Herwaqth Ho....Khudgharzi....Munafiqath ...Or Islam Say Hut Ker Zindagi Guzar Rahi Ho...Or Mazay Ki Baath Yai Kaymuslim Honay Per Isrraar Bhi May Yai Nahin Kehti Kay Hum Muslman Nahin Bulkay Kehnay Ka Mutlub Yai Hay....Kay Zara Ghor Kijiyai Kiya Namaz Roza Hi Sub Kuch Hay....Islam Or Kuch Nahin....Humaray Andar Ka Haal Jub Tuk Nahin Badlay Ga Inqilab Nahin Asakta ....Aap Ussay Jo Bhi Kehlain....Is Tehreek Ko.....Meri Nazar May Allah Subhana Tallah Jo Inqilab Hummari Sonchon Humaray Uthnay Baithnay....Hummari Terzay Zindagi May Daikhna Chata Hay Wo Inqilab Yai Nahin Aap Issay Jo Bhi Naam Day Lijiyai Yai Allah Ki Nazar May Kuch Bhi Nahin...Baath Buri Lagay To Maafi Chati Hun But Such Kehnay May Sharam Kaisi...

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 230348 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More