Main aik hasaas insan hoon maray ird gird hone 
wali her tabdeli muj pay asar undaz hoti hai.last week ki baat hai main jab 
subha jagi tou geo tv pay news batai ja rahi thi k ak ourat nay apnay do bchoon 
k sath khudkushi kar li, kyun k wo un ki zaroorat zindagi ko pura nahi kar sakti 
thi. Daily hum esay kei sanhay news paper aur news chanels k hawaly say suntay 
our phartay hain. Es news nay mujay bohat mental torcure kiya. meray demagh nay 
kai sawal kiye jin ka jawab kiya hai pata nahi.
Kya insaan, hi insaan ka itna bara dushmun hai k wo dosary insaan say jeenay ka 
haq bhi chheen lyna chahta hai.
Kya yeh mehangai koi gar ab nahi choray gi.
Kya ab society main ab sirf milion walon ka raj hai. Ab khanay k leye in ka muh 
dekh na peray ga. Ata ghee suger aur estmal ki cheezein short kar k aur un ki 
qeemat ziada kar k logon ko bhook say mar rahay hain.
Kya aaj k insaan main insaniyat aur qanaat khatum ho choki hai.
Aur ager esa nahi hi tuo pher us aurat nay khudkushe kyun ki kia us ko yeh 
yaqeen nahi tha k ALLAH hai jesnay peda kiya hai wo malik rezaq bhi dey ga.
Humary masheray k her nizaam mein shadeed esllah ki zaroot hai.aur yeh esllah 
hum ko khud hi karni hai. Najay hum kis khezar k intazaar kar rahay hain
Kisi shaer nay kaha hai, aaj k dour k insaan ko esay samujnay ki bohat zaroorat 
hai.
Khuda nay aaj tak us qoom k halat nahi badli 
Na ho khyaal aap jisay apnay halat k badalnay ka