Sadaka Ya Khairat Kisi Bhi
Kisam Ki Razakarana Khidmat Hai Jo Ek Banda Apne Khuda Ko Razi Karne K Lye Deta
Hai.......
Sadka Kisi Bhi Soorat Me Dya Jaskta Jesay Kisi Ko Pesay Dena Kapre Dena Muskura
Dna Lekn Sb Se Bara Sadka Roti Ka Hota Hai Yani Kisi Bhookay Ko Khana Khilana...
Irshad E Rabbani Hai K"Aye Momino Apne Sadakat O Khairat Ehsan Jata Kar Aur
Gareebo Ka Dil Dukha Kar Is Shaks Ki Trha Khak Me Na Mila Do Jo Mehaz Logo Ko
Dikhane Ke Lyekharch Karta Hai"
Alla Ta'lla Ki Raha Me Jo Kharach Kya Jaye Wo Mehz Uski Khushnudi Aur Raza K Lye
Kya Jaye Is Me Kisi Bhi Kisam Ki Lalch Ya Garx Na Ho, Riya Kari Achay Se Achay
Amal Ko Bhi Khak Me Mila Deti Hai.Zakat Khulam Khula Di Jaye Jabkay Sadka Chupa
Kr Dya Jaye Takay Zyadase Zyda Ikhlas Paida Ho.Allah Ta'lla Ki Nazar Me Usi Kam
Ki Keemat Hai Js Me Ikhlas Ho Na Kay Dikhawa.Kayamat K Haibat Nak Madan Mejab
Koi Sayya Nahi Hoga Allah Ta'lla Apne Un Bando Ko Saye Talay Rakhyga Jinho Ne
Intehai Poshida Tareekay Se Allah Ki Raha Me Kharch Kya Yahan Tak Kbayen Hath Ko
Ye Khabar Ni Hogi Ke Dayen Hath Ne Kya Kharch Kya.....
Sadka Sirf Aur Sirf Bari Ta'lla Ki Raza K Lye Dya Jaye Na Kay Dikhawe K Lye Taky
Gareeb Aur Miskkeno Ki Zyada Se Zyada Madad Hosakay.Aur Khuda Pak Ki Raza Aur
Khushnudi Bhi Hasil Hoskay.