Ghalat Rasta
(Sana Hamid Ali, Karachi)
Ghalat Rasty Per Chalny Ka Unjam Bhi
Ghalat Hi Hota Hay Insan Yeh Sochay Iskay Sath Bura Kyun Howa Hay Yeh Uski Sub
Say Bari Himakat Hay Galat Rastay Ka Intekhab Kar Kay Achay Ki Umeed Karna Yeh
Sirf Insaan Ki Soch Hoti Hay.Phir Is Insan Ko Apny Rab Say Bhi Shikwa Nahi Karna
Chahiye.Kyun Keh Usnay To Dono Rastay Dikhaye Thay Sahi Or Ghalat .In Dono Per
Chalnay Ka Faida Or Nuksan Bhi Bata Dia Tha Ab Yeh Hamari Na Dani Hay Keh Ghalat
Rasta Ikhtiyar Kiya Or Phir Woh Hi Unjam Huwa Jiska Rab Nay Pehlay Hi Bata Dia
Tha.Phir Kasoor Kis Ka Huwa? Bay Shak Insan Hi Kum Akal Hay Jo Such Ko Na
Pehchan Pay Or Sarab Keh Pechay Bhaga.