Insan Aur uska Imtehaan
(princexx pari, rawalpindi)
Allah Talah Ny Insan Ko Ashraf
Ul Makhloqaat Bnaya Ha.Hazrat ADAM A.S Ko Duniya Ki Tmam Cheezon K Naam Sikha Kr
Dosri Tmam Makhlokaat Pr Tarjeeh De Gae.Yani Insaan Ko Ashraf Ul Makhloqaat Ka
Darja Us K Ilm Aur Aqal Ki Bunyad Pr Ataa Kiya Gya..Warna Khwahishat Aur
Ahsasaat Tou Janwaron K B Hty Hain..Bhook Aur Dard Ki Shidat Se Wo B Apny Andaz
Mn Ahtajaj Krna Janty Hain..Ab Sawal Ye Paida Hta Ha K Ilm Aur Aqal Kia Ha..?
Ilm Aur Aqal Ye Nhi K Insan Dunyavi Degreeon Ka Palanda Akhata Kr K Jazbaat Ki
Roo Mn Bhatakta Chala Jae..Dunya Ki Taleem Jb Tk Insan Mn Sahi Aur Ghalat,Jaez
Aur Na-Jaez K Shaur Ko Baidar Na Kr Saky Tou Wo Taleem By-Sood Ha...Aik Degree
Yafta Insan Daaku Aur Choor Tou Bun Sakta Ha Lekin Haraam Aur Halal,Jaez Aur Na-Jaez
Ka Shaur Rakhny Wala Dunyavi Aitabaar Se Jaahil Insan Kbhi B Chor Nhi Bun
Sakta..Lehaza Insan Ko Shaur,Ilm Aur Aqal Ki Bunyad Pr Baqi Tmam Makhloqat Pr
Fazilat Ata Ki Gae...Ilm Aur Aqal Ye Ha K Insan Apny Nafs Aur Khwahishat Ki
Perwi Kiye Bina ALLAH Ki Raza Aur Khushnoodi K Mutabiq Amal Krta Chala
Jae..ALLAH Ny Farmaya Ha K Mn Ny Insanon Aur Jinon Ko Apni Ibadat K Lia Paida
Kiya..Lekin Aj Ka Insan 5 Waqt Ki Namaz Parhny Aur Roza Rakhny Ko Hi Ibadat
Samjhta Ha..Wo Baaqaidgi Se Namaz Aur Rozy Ka Haq Ada Kr K Khud Ko Bht Naik Aur
Parsa Taswur Krta Ha..Jb K Aesa Nhi Ha. Agr Ibadat Ka Matlab Namaz Ada Krna Aur
Rozy Rakhna He Ha Tou Phr Namaz Aur Rozy Ki Adaigi K Bd Zindagi Ki Diqat Khatam
Ho Jani Chahye..Ibadat Ka Mafhoom "Banda Banana" Aur "Bandagi" Ha Yani Insan Jb
ALLAH Ka Banda Banta Ha Tou Hr Wo Kaam Krta Ha Jo Us Ka RUB Chahta Ha..Allah Ny
Hr Insan Ko Beshumar Salahiyaton Se Nawaza Ha..Ab Ye Insan Pr Munhasir Ha K Wo
Dunyavi Zimdaariyon Mn Khoo Kr Apny RUB Ko Bhool Jta Ha Ya Us RUB Ki Ataa Ki Hui
Salahiyaton Ko Ehsan Tareeqy Se Istamal Krty Huy Insaniyat Ki Khidmat Kr K
Ibadat Ka Darja Hasil Krta Ha.Dunya Mn Insan Ka Imtehaan He Yahi Ha K Jb Tk Wo
ALLAH Ki Di Gae Zimadariyon Ko Imaan Daari Se Ada Krny K Sath Sath Uska Zikar
Nhi Krta Tb Tk ALLAH Ki Ibadat Ka Haq Ada Nhi Hota...ALLAH Ny Quran Mn Irshad
Farmaya Ha "Jo Mery Zikar Se Moun Mory Ga Main Us K Lia Zindagi Tang Kr Doun
Ga.."(SURAH TAHA 124)