Sultan Salah ud Din Ayubi
(ADEEL FAZIL , Gujranwala)
Jinhon Ne Libnan, Missre, Sham,
Urdan Par Hakumat Ki Azeem Sipa Silaar Aur Fateh Jis Ki Hebat Se Dushman Larz
Jate The Jab Un Ka Intiqaal Howa Tu Un K Assets Check Kiye Gai Tu In Main Aik
Ghora, Aik Talwar, Aik Baqtar Band, Aik Denaar Aur 36 Derham The. Yani K Itne
Bare Log Hone K Bawjood Un K Pass Sirf Itna Maal Tha. Saari Zindagi Un Ki
Khwahish Rahi K Main Hajj Karon Lekin Itne Paise Hi Nehi The K Hajj Kar Saken.
So Wo Apni Zindagi Main Hajj Karne Se Mehroom Rahe. Jannati Logon Ko Daikhen K
Zindagi Main Itni Istitaat Hi Nehi Hoy K Hajj Kar Saken. Itne Bare Badisha Itna
Bara Naam Aur Zindagi Itni Sada Aur Maal O Zar K Baghair Apni Zaat K Liye Kuch
Socha Hi Nehi Aur Sab Kuch Awam Ki Bhalay Aur Un K Tahafuz K Liye Qurban Kar
Diya. Be Misaal Leader. Islamic History K Tiger. Sher Dil Insaan Jinhon Ne Apni
Zindagi Allah Ki Rah Main Jihad Aur Logon K Liye Waqf Kar Di.
Zara Ham Aaj Kal K Apne Leaders Aur In Ki Zindagi Par Nazar Dalen Tu Aap K Hosh
Urr Jain Gai. Hukamran Arbon Kharbon K Maalik Apne Assets Ka Andaza Hi Nehi K
Kitna Hai. Tax Chor Poor People K Khoon Paseene K Paise Pai Raaj Karne Wale Jin
K Out Of Country Visits Hi Nehi Maan Corruption Intiha Ki Be Insaafi Itni K
Ghareeb Insaaf K Liye Dar Badar Ho Jay. Hukamran Ameer Se Ameer Tar Hote Jain
Aur Awam Do Waqt K Khane Ko Tarsen.
Salah Ud Din Ki Life K Baad Ka Aik Incident Muje Yaad Aa Raha Hai. Aap Se Share
Karta Hon. Aisa Howa K Jahan Salah Ud Din Ki Qabar Hai Wahan Aik Dafa Silaab (
Flood ) Ane Ki Waja Se Un Ki Body Ko Nikaal Kar Dosri Jaga Shift Karne Ka
Program Bana Us Waqt K Badisha K Hukam Se. Jab Un Ka Taboot Uthaya Gia Tu Us Se
Fresh Blood K Drops Tapakne Lage.Body Aur Kafan Bhi Abi Apni Asal Halaat Main
Mehfoz Tha Jab K In Ki Death Ko 100 Years Ka Arsa Guzar Chuka Tha. Sab Yeah
Manzar Daikh K Heraan Aur Shashdar Rah Gay. Yeahi Waja Hai K Aise Azeem Leader
Ko Log Un Ki Wafaat K Baad Bhi Log Yaad Rakhe Hoy Hain. Jinhon Ne Sirf Awam K
Liye Socha Aur Un K Liye Kaam Kar K Dikhaya. Aaj Kal K Jo Leaders Hain Log
Zindagi Main Bhi In Ko Yaad Nehi Karte Tu Baad Main Kiya Yaad Rakhen Gay.A