Sunat-e-Rasool PBUH Aur Aaj Ki Duniya
(Mrs. Raza Feroz, Karachi)
Rasool ALLAH PBUH Ki Sunat Wo
Kam Hai Jis Ko Ager Aik Aam Insan Apnay Roaz Marah Ki Zindagi Main Shamil Karay
Tau Woh Is Duniya Aur Akhirat Dono Main Buhat Kuch Hasil Kare Ga. Rasool
ALLAH PBUH Ki Aik Sunat Jo Ager Aaj Ka Insan Apni Zindgi Main Shamil Kare Tau Us
Ki Zindagi Main Be Shumar Nekiyan Shamil Ho Jayen Gi Aur Us Ko Es Neki Kay
Badlay Main Buhat Sawab Hasil Ho Ga.
Rasool ALLAH PBUH Nay Farmaya
"KAY JAB TUM APNE MUSLMAN BHAI SAY MILO YA BAAT KARO TAU US KO SALAM KARO AUR
ALLAH KI REHMAT US PER DO"
Aik Jagah Aur Farmaya
"APNE MUSLMAN BHAI SAY SALAM KARNE MAIN PEHAL KARO"
Yani Dekha Jaye Tau Aaj Ager Hum Apne CELL Phone Per Call Receive Kartay Waqt
Rewaiti HELLO Na Bol Kar Salam Karen Tau Humain 10 Nekiyean Milen Gi Aur Sunna
Wale Per ALLAH Ki Rehmat Nazil Ho Gi.
Ager Hum Yeh Amal Din Main 10 Bar Bhi Kartay Hain Tau Kuch Na Kar Kay Bhi 100
Nekiyan Humare Amal Naamy Main Shamil Ho Jayen Gin.
TAU KOSHISH KAREN KAY RASOOL ALLAH PBUH KI SUNATOON PER APNI ROZ MARRAH KI
ZINNDAGI MAIN SHAMIL KAREN AUR US PAR AMAL PERA HO KAR BADLY MAIN
JANAT-UL-FIRDOOS HASIL KAREN.