Hazarat Umer Farooq R.A
Jo Kay Sahabiye Rasool Aur Khalifa Dono Thay. Islam Qabool Karnay Say Pehlay
Hazrat Umer Farooq R.A Islam Kay Sakht Khilaf Thay Mager Islam Qabool Karnay Kay
Baad Wo Es Tarhan Islam Kay Rang Main Rangay Kay Un Ki Wajah Say Muslmanoon Ko
Buhat Faida Hua.
Hazrat Umer Farooq R.A Kay Liye Hazoor Akhram S.A.W.W Nay Dua Ki Thi Kay
(Mafhoom)
"Aye ALLAH Umer Ko Deen Islam Main Shamil Kar Day"
Aur ALLAH Nay Hazoor S.A.W.W Ki Dua Qabool Ki Aur Hazrat Umer Farooq R.A Nay
Islam Qabool Kar Liya Aur Hazrat Umer Farooq R.A Kay Islam Qabool Karnay Kay
Baad Muslmanoon Main Ek Khas Tarhan Ki Taqat Shamil Ho Gayi Jo Kay ALLAH Ki
Taraf Say Hazoor S.A.W.W Ki Dua Ka Sadqa Tha.
Hazrat Umer Farooq R.A Kay Islam Qabool Karnay Kay Baad Muslmanoon Nay Pehli
Dafa Bekhoof Ho Kay Ba Jamat Namaz Ada Kari.
Hazrat Umer Farooq R.A Hazoor Akram S.A.W.W Say Buhat Shadeed Muhabbat Karte
Thay Aur Hazoor Akram S.A.W.W Nay Unko Janat Ki Basharat Ki Thi Aur Hazoor Akram
S.A.W.W Nay In Ki Sahib Zadi Say Nikha Bhi Farmaya Tha.
Ek Dafa Hazoor Akram S.A.W.W K Wisal Kay Bad Hazrat Imam Hussain R-A Aur Hazrat
Umer Farooq R-A Ky Nawasay Kheal Rahe Thay Tau Hazrat Imam Hussain Nay Hazrat
Umer Faroq Ky Nawasay Say Kaha
(Mafhoom)
"Tumhare Nana Tau Mere Nana Kay Gulam Hain"
Jab Yeh Baat Hazrat Umer Farooq R.A Ko Pata Chali Tau Wo Hazoor Akram S.A.W.W Ki
Qaber Mubarak Per Tashreaf Lay Gaye Aur Buhat Raoye Aur Farmaya
(Mafhoom)
"Aaj Mujhay Es Duniya Ka Sab Say Bara Khitab Diya Gaya Hai Kay Main Aap Kay
Gulam Hun"
Yeh Thay Hazrat Umer Farooq R-A Sahabiye Rasool S.A.W.W Aur Khalifa Doom.