Nabi Ki Zaat Se Hee Nahi Us Ke Amal Se Bhi Mohabbat Karen
(Naila Rafi Kirmani, Toronto, Canada)
Mein Ne Kaheen Suna K, Agar
Jannat Mein Jane Ki Shart Sirf Nabi-E-Akhir Pbuh Ki Mohabbat Hoti To Uss Kay Sab
Se Baray Haqdaar Abu Talib Aur Abu Lahab Hote. Abu Talib Ne Chcha Ki Haesiat Se
Sari Zindagi Rasool Se Muhabbat Ki Magar Bud Qismati Se Imaan Na Lasake. Abu
Lahab Ne Bhateje Ki Wilaadat Ki Khaber Sunanay Wali Londi Ko Azad Kia Aur
Bhatejay Ko Bohat Chaha Lekin Jub Unhoon Ne Rasool Bunkar Islam Ki Taraf Bulaya
To Bud Duaa Dekar ALLAH Taala Ki Rehmat Se Mehroom Hooa Aur Duniya He Mein
Dozakh Likhwali.
Nabi (Pbuh) Se Mohabbat Ka Izhaar Sirf Zabani Jama Kharch Nahi Hona Chahiye, Un
Ke Batai Hooi Baton Aur Un Ki Sunnat Par Amal He Unn Se Mohabbat Ka Amli Suboot
Hona Chahiye. ALLAH Ke Peghaam Ko Peghaamber Se Alag Na Karen. Sirf Natain Kafi
Nahi Namazen Aur Doosri Farz Ibaadatain Aur Un Ke Saath Sunnatain Bhi Yaad
Rakhen. ALLAH Hum Sub Ko Apni Rehmat Mein Rakkhay Aur Apne Azzab Se Bachai.
Aameena