Usoul Pasandi, Hubul Watni,
Ghairat Mandi, Deyanatdari, Waqar, Huq Goi, Bay Baki, Azam-O-Himmat Ye Sari
Khubiyan Is Hasti Ki Taraf Ishara Karti Hain Jise Hum Sub Mohtarma Fatima Jinnah
Kay Nam Say Jantay Hain. Mohtarma Fatima Jinnah 30 July 1893 Ko Karachi Mein
Paida Hoyein. Un Ki Milli Khidmat Ki Bina Per Qaum Nay Unhein Khatoon-E-Pakistan
Aur Mother-E-Millat Kay Laqab Say Nawaza. Jo Har Dil Azizi Unkay Hissay Mein
Ayein, Fatima Jinnah Say Pehlay Aur Un Kay Bad Kisi Pakistani Khatoon Kay Hissay
Mein Nahi Aye.
|
|
Mohtarma Fatima Jinnah Quaid-E-Azam Ki Sub Say Choti Behan Thein. App Ka Asal
Nam Fatima Bai Tha Lakin Shurat Fatima Jinnah Kay Nam Say Pain. App Kay Walid Ka
Naam Jinnah Poonja Aur Walida Ka Nam Sakeena Mithi Bai Tha. Mohtarma Fatima
Jinnah Abhi Bohat Kamsin Thien Kay 1893 Mein Un Ki Waldah Wafat Pa Gayein Aur
1901 Mein Walid Ka Saya Bhi Sir Say Uth Gaya. Quaid-E-Azam Nay Choti Behan Kay
Sir Per Shafqat Ka Hath Rakha Aur In Ki Taleem Per Khas Tawajha Di. Pehlay
Unhonay Fatima Jinnah Ko Bandra Convant School Mein Dakhil Karaya. Chand Sal Bad
Wo Matric Ki Taleem Kay Liye Khandala High School Mein Dakhil Hoyein Wahan Say
Farig Ho Kar Private Taliba Ki Hasiyat Say Senior Cambridge Ka Imtehan Diya Phir
Kolkata Ja Kar Inhone Dr. Ahmad Dental College Mein Dakhila Liya Aur Bachelor Of
Dental Surgery Ki Degree Hasil Ki. Bombay Akar Unhone Aik Dental Clinic Khula
Lakin Chand Sal Bad Jab Quaid-E-Azam Ki Bivi Rattana Bai Ka Inteqal Kar Gaye To
Fatima Jinnah Nay Apna Tamam Waqt Quaid-E-Azam Ki Dekh Bhal Per Sarf Karne Ki
Khatir Apna Clinic Band Kardiya.
Muslim League Ka Salana Ijlas
Quaid-E-Azam Ko Apni Ye Behan Bohot Aziz Thien Aur Woh Hamesha In Ko Apne Sath
Rakhtay Thay. 1937 Mein Lakhnow Mein Muslim League Ka Salana Ijlaas Quaid-E-Azam
Ki Zair Sadarat Munaqad Huwa To Mohtarma Fatima Jinnah Pehli Martaba Is Mein
Shareek Huye. Iss Kay Baad Woh Jad-O-Jehad Azadi Kay Nehayat Kathan Aur Nazuk
Dour Mein App Nay Mashaqat Bhai Ki Har Tarha Say Dekh Bhal Karti Rahien Inhoney
Muslim Khawateen Ki Taleem, Siasi Aur Mayasharti Taraqi Kay Liye Bay Inteha Kam
Kiya Woh All India Muslim League Kay Shuba Khawateen Ki Sir Parasti Thien.
Quaid-E-Azam Nay August 1947 Mein Karachi Club Mein Taqreer Kartay Huye Fatima
Jinnah Ki Khidmaat Ka Aiteraf In Alfaz Mein Kiya. Fatima Mere Liye Hosla Afzai
Aur Taqwiyat Ka Mustaqil Zariya Hai. Jin Dino Is Bat Ka Khatra Tha Kay Ungraiz
Hukumat Mujhe Giraftar Karlay Gi.,Ye Meri Behan Hi Thi Jis Nay Mera Hosla Buland
Kiya Aur Iss Waqt Jab Inqalab Ronuma Hone Ko Tha, Iss Nay Umeed Afazai Batain
Kien Aur Meri Sehat Ka Hamesha Khayal Rakha.
Mutarma Fatima Jinnah Nay Bay Panha Khuloos, Lagan Aur Atemad Kay Sath
Tehreek-E-Paskitan Mein Hissa Liya Aur Apnay App Ko Quaid-E-Azam Ka Dast O Bazo
Sabit Kiya. Jis Soube Mein Muslim League Ka Ijlass Hota Is Kay Sath Khawateen Ka
Ijtemah Bhi Munaqat Hota Tha Fatima Jinnah In Jalson Say Khatab Farmatein Aur
Khawateen Ko Tehreek-E-Pakistan Mein Bhar Pur Hissa Lenay Ka Talqeen Kartein In
Ko Apne Nasbul Aeen Ki Taqat Per Pura Yaqeen Tha. Un Kay Azam Aur Hoslay Nay
Musalman Khawateen Ki Himmat Bandhi Aur Unhone Bhi Mardon Kay Shana Bashana Kam
Kiya Aur Pakistan Ki Khatir Sir Dhar Ki Bazi Lagadi Chunacha Aik Mouqay Par
Quaid E Azam Nay Farmaya Kay Pakistan Banane Mein Jin Anasir Nay Mera Sath Diya
In Mein Fatima Jinnah Sarefehrist Hain. Shab-O-Roz Ki Laga Tar Mehnat Say
Quaid-E-Azam Mein Alalat Kay Asar Namudar Huye To Fatima Jinnah Nay Har Ghari In
Kay Aram Aur Alaj Ka Khayal Rakha Aur Akhiri Lamhat Tak Unki Neghedast Karti
Rahein.
|
|
11 September 1948
11 September 1948 Ko Quaid-E-Azam Jab Khaliq-E-Haqiqi Say Ja Melay To Fataima
Jinnah Ki Zindagi Nehayat Pur Ashob Dour Shuro Ho Gaya. Woh Fitratan Bari Nider,
Delair, Huq Go Aur Jamhoriyat Pasand Waqae Thi Agar Unhein Jaho Munsab Ki Hirs
Hoti To Arbab-E-Iqtedar Ki Han Mein Han Mila Kar Sub Kuch Hasill Kar Sakti Thin
Lakin Jab Unhone Logo Ko Quaid-E-Azam Kay Asolon Say Inheraf Kartay Huwe Dekha
To Puri Qowat Say In Kay Khilaf Awaz Bulan Ki. Mohtarma Fatima Jinnah Ki Awaz Ko
Dabanay Ki Puri Koshish Ki Gai Aur Aisay Halat Paida Kardiye Gaye Kay Woh Kuch
Arsay Kay Liye Siasat Say Kinara Kash Hone Per Majbor Hogain Lakin Jab Qaum Ko
Aik Amar Ki Qaheri Ka Muqabla Karne Kay Liye Un Ki Zarorat Pari To Perana Sali
Kay Bawajud Fatima Jinnah Jurat Aur Himmat Ki Alamat Ban Kar 1964 Kay Sadarati
Intekhabat Mein Hissa Lene Kay Liye Maidan Mein Agayein. Fatima Jinnah Nay Puray
Mulk Ka Tufani Dour Kiya. Besiuo Jaga Bare Bare Ihtemaat Say Khatab Kiya Aur
Saray Mulk Mein Jamhoriyat Ki Roh Phonk Di. Sadarati Intekhabat Mein Fariq
Mukhalif Ko Kis Tarha Kamyabi Hasil Hoi Ye Aik Alag Dastan Hai.
Fatima Jinnah Death
Presidential Election Kay Bad Woh Aik Bar Phir Gosha Nasheen Ho Gai Albatta
Samaji Aur Falahi Kamo Ki Sar Parsati Jari Rakhein Yeaha Tak Kay Khaliq Haqiqi
Ka Bulawa A Pauncha Aur 9 July 1967 Ki Subah Logo Nay App Ko Apne Bister-E-Abadi
Neend Soye Huye Dekha. Fatima Jinnah Na Sari (Life) Zindagi Alme E Tajroh Mein
Guzari. App Nay Kisi Bhi Mour Per Asolon Per Samjhota Na Kiya Aur Inthai Na
Masad Halat Mein Bhi Apne Mokif Say Dasbardar Hona Gawara Na Kia. App Sari Umar
Qaum Ki Sahi Simt Mein Rehnumai Karti Rahein. Aisi Buland Himat Khatoon Kisi
Qaum Mein Sadyon Bad Paida Hoti Hain.
|