“Bismillaha” As Salam wale kum
wa rahematul laa hi barkatahuSub Taarifey Allaha Talah kou Saazavar hain jo
Rabbul Alaameen hain,
kul kaayenat zameen o aasmaan ka haqeeqi malik hain, woh akela aur wahed laa
shareek hain, paak waa be aaiab hain,
woh saame o aleem aur baseer hainSub kaa palanhar hain, woh raat din aur chand
sitaro ka malik hain,
samandar aur uske ander ke kul maqlooq per khader hain, hum sub ke sub es daar
ke muhtaj hain, faqeer o ghulam hum es ke tareef kerne se khasir hain,
jis khadertareef ke jaye kam hain.Allaha Talha ka bada fazal o karam hain ke hum
mey aakhri paighambar Rahematul Aalaamen Hazrat Mohammed (P.B.U.H) kou maboos
farmaya aur hum kou khaire-ummat ke laqab se Nawaza es neemat-e-azeemi ka jis
khader shukr aada kare kam hain.
Lamhe FikarAaj Kaal ke Baaz Musalman Quran o Hadees per aamal kerne walo kou
Naya firqa, waa Naya mazhab kay naam se yaad kerte hain. aur phir ess say
mutjaviz hou kar Charo Imamo mey sey kisi ek Imam ke Taqleed Naa kerne walo kou
Ghairmuqalidin waa Kharijul Islam ke Laqab se Nawazte hain Aakhir Yeh Quran o
Hadees Per Aamal kerne walo ke Buniyad Kab sey hain?
Insha Allaha hum yaha per aab Quran o Hadees Per Aamal kab sey hain Aur Taqleed
Shaksi aur nisbat aaima aur Mazahibe aarba kab se hain aur kis tarha islam mey
Dakil kiye gaye?
naiz Tadween Hadees waa Tadween Fiqa kab se hui? es ke aalawa Aqwal Aaima Arba
kou Paysh kerke Tafseel ke Saath Guftagu kareange Taake Fark Kiya jaaye ke Saahi
aur Ghalat kya hain,
[apna Taruf Karata Chalo, Mera Naam Sufyan Shaikh Hai Aur Me Softwear Eng Ban
Raha ho.
Age 20 years hai Aur Umeed Hai Ap Log Mera Sath Degy Ta Ke Hum SUb Ek Dosro Ko
Bhai Bhai Keh Saky Na Ke Kafir ]
[Sub se Pehly Mai EK Bat Batata Chalo Mera Koi Maslak Nahi Mai Ek Musalman Ho
Jesa Ke ALLAH Ne Quran Mai Irshad Farmaya :
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِ وَلَا تَمُوتُنَّ
إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ
اے ایمان والو! اللہ سے اتنا ڈرو جتنا اس سے ڈرنا چاہیے (١) دیکھو مرتے دم تک
مسلمان ہی رہنا
003.102
O ye who believe! Observe your duty to Allah with right observance, and die not
save as those who have surrendered (unto Him)
3.102. Aey eman walo! Allah Taalaa say daro jitna uss say darna chahaiye aur
dekho martay dum tak musalman hi rehna. ]
Aksar Ulma-e-Salaf ne Firqo ke nisbat Badi Badi Keetabe likhi hain. lekin hum
yaha per sirf apni esla chahate hain, kisi Imam yaa kisi maslak per uungli
uthana nahi,
aur jo kuch bhi es mey ghalti hogi woh meri kotahi ke wajhe se hogi, aur jo
baath es mey haq hain woh allaha rabbul ke izzat taraf sey hain,
umeed hain ke aap log kou essey faida milega, jo baath aap logo kou ess mey haq
dekhe ussey kubul kar lijiye, aur jo baath ghalth dhike tou please meri esla ker
di jiye.
Mohammed (pbuh) ka daur Nabuwat 23 saala raha aur dour-e- khulfa-e-rasheedin
Taqreeban 30 saal raha aur daur-e-sahaba (Razi Allah hu talha an hu) 60 years
raha ,
es tarha total 1 hijri say 100 Hijri tak raha, woh sub ke sub Musalman Quran aur
hadees ke etteba kerte theay
yeh pahele saadi ke musalam Islam ke parwane waa shaydai Lakho ke taadat mey
theay, en ke nisbat ek saawal kudh ba kudh paida hota hain ? key woh musalman
Kiss Imam ke Taqleed kerte theay Aur woh kiss imam ke naam se pukare jaate
theay, kya woh musalman Hanfi, Maliki, Shafai, Hambali theay ?
aur doasra saawal yeh paida hota hain ke kya en Imamo ke alag alag mazhab es
waqt moujud theay ?
Teesra saawal yeh paida hota hain ke Paheli saadi ke musalman ummat, Mohammed
(pbuh) khulfa-e-rasheedin,Sahaba, (R.A) jo Qura aur hadees per amal kerte theay
tou baa kaul aaj kaal ke baaz musalmano ka ilzam en per bhi aayad hou sakhta
hain?
En Sub Saawalo ka jawab Sirf Nafi mey hoga kyu ke paheli saadi Aaima Araba
kanaam o Nisha naa tha aur naa hi enke weeladat hui thi Tou essey yeh saabit
huwa ke Paheli saadi hijri mey Taqleeq Shakshi aur Nisbate Aaima Aarba ka Wajood
naa tha.
Es ke Tasdeek Dopahar ke Suraj ke Taraha Weeladatey Aaima Aarba sey Zahir hojati
hain,
1. Hazrat Imam Abu Haneefa 80 Hijri Mey Paida Huwey
2. Hazrat Imam Malik 93 Hijri Mey Paida Huwey
3. Hazrat Imam Shafai 150 Hijri Mey Paida Huwey
4. Hazrat Imam Ahmed Ibne Hambal 164 Hijri Mey Paida Huwey.
Insha Allah Es Tafseel Sey Saaf Zaher Hain kay Islam Naam Hain ----
Quran Aur Hadees Per Aamal Kerne Ka Islam Mehdoot Hain ----
Quran Aur Hadees Key Daire Mey Islam Mukamil Din Hain Jis ke Daleel Yeh Hain
(Surey Maida Aayat No # 3)Tarjuma:- Aaj Maine Tumhara Din Kaamil Kerdiya aur tum
per apni Neymat Puri Kerdi aur Maine Islam kou tumhara Din Pasand Kiya
[Continue ]