Qurbani Sunnat Ibrahim(As) Ki
Perwi Hey. Is Sunnat Ki Perwi Her Musalman Apni Apni Hesiat Se Karna Chahta Hey.
Or Ker Raha Hey Lekin Waqt Guzarney K Sath Sath Hamari Mandiyoo,Marketoo Or
Bazaroo Per Esey Behis Tajiroo Ney Apney Khooni Punjey Gaarh Diye Hein Jo Kisi B
Shakil Mei Tajir Kum Dakoo Ziada Lagtey Hein. In Anasir Ka Qabza Sirf Qurbani Ki
Mandiyoo Tuk Hi Mehdood Nahi Balki Moqa Munasibat Se Her Jaga Mojood Nazar Aata
Hey.
Go K Hum In K Chungal Se Kahee B Mehfooz Nahi. Lekin Apni Samaj,Aqil Or Tadabbur
Se Kam Le Ker In Zalimoo K Mansooboo Se Bacha Ja Sakta Hey Maslan Qurbani K Liye
Zaroori Nahi K Aap Lakhoo Kharch Karein Or Aapus Ki Muqabila Bazee, Dikhawey Or
Shuhrat Ka Hissa Banein..Qurbani Ki Asil Rooh Aap Ka Khuloos Or Sunnat Ibrahim
Se Dilee Mohabbat Hey Jo Na To Barey Se Barey Janwar K Qurbani Se Hogee Or Na
Rishtadaroo Mei Aapus Mei Compitition Sey Allah Ki Khushnoodee Miley Gee. Allah
Kehta Hey K Na To Qurbani Ka Gosht Mujey Milta Hey Or Na Khoon. Mei Sirf Tumara
Khuloos Dekhta Hoo. K Tum Ney Meri Itaat Mei Sunnat Ibrahee Ki Perwi Kis Tarah
Ki Hein. Kisi Ka Haq Mar Kr Qurbani Karna, Rishwat K Pesoo Se Barey Se Bara
Janwar Khareedna, Apney Qareebee Azeezoo Ka Haq Maar Ker Qurbani Kerna, Yateem K
Maal Per Qabza Ker K Qurbani Kerna, Dikhawey Or Doolat Ki Numaish K Liye Qurban
Kerna Sb Pesoo Ka Ziaa Hey. Mujey Is Tarah Ki Qurbani Hergiz Hergiz Pasand
Nahi..Haa'n Albata Tum Ney In Sb Batoo Se Bachtey Huwey Perhezgari K Sath
Qurbani Ki Hey To Wahi Qurbani Mujey Pasand Hein Or Is Ka Ajre Azeem B Merey Pas
Mehfooz Hey. Ab Ye Bat Wazih Hogayee Ki Sirf Wahi Qurbani Allah K Haa'n
Qabil-E-Qubool Hein Jo Perhezgaaree Or Taqwa Ki Bunyad Per Ho..
Agar Hum Her Muamiley Mei Islam Ki Rooh Ko Samaj Ker Amal Kerney Ki Koshish
Karein To Her Taraf Aman Hi Aman Hoga. Q K Islam Salamatee Ka Deen Hey..Esee
Qurbani Jis Mei Aap Ki Pori Jaib Kut Jaye Or 10 20 Guna Ziada Raqam Lag Jaye To
Is Tarah Na To Aap Ki Jaib Mehfooz Rehtee Hey Na Aap K Ghar Mei Aman Baqi Rehta
Hey. Haqeeqat To Ye Hey K Ab Qurbani Ho Ya Shadi Biah, Ramzan Ho Ya Eid Majlis
Ho Ya Meelad Her Cheez Ko Marketize Ker Dia Gia Hey.
Hamaree Her Cheez Chahey Wo Mazhabee Rusoomaat Hoo Ya Insani Zarooriat Sb Mafiaz
K Control Mei Ja Chuki Hein Or Hum Mei Se Her Koi Majboor Mahaz Ek Zinda Laash
Ki Tarah Apna Apna Waqt Poora Ker Raha Hey. Her Koi Apna Apna Hissa Wasool Ker K
Muh Per Tap Charaye Apni Apni Tolian Bana Ker Sirf Apni Apni Zat,Khandan Or
Toloo Tuk Mehdood Ho Chukey Hein Or Esa Quin Na Ho Jb Mulk Ka PM Sirf Apni
Khandan K Logoo Ko Nawazney K Liye Her Important Seat Per Apna Banda Bitha Rakha
Ho. Yahi Culture Ooper Se Lekar Neechey Tuk Cancer Ki Tarah Fail Chuka Hey.