Sadqah Balaon Ko Talta Hey,
Museebaton Ko Door Kerta Hey, ALLAH Pak Ney Ek Taraf Isko Logon Ki Museebaton
Aur Beemarion Ko Door Kerney Ka Zaria Banaya Hey Tau Doosri Taraf Gharibon Aur
Museebat Zadah Logon Ki Madad Ka Zaria.
Hazrat Eesa Alai His Salam Per Jo Qom Sab Sey Pehley Eemaan Lai Woh Log Paishey
K Etebaar Sey Dhobi They. Ek Dhobi Jis Ki Shararton Sey Doosrey Dhobi Bohot
Pareshan They Aakhir Kar Ek Roz Un Sab Ney Hazrat Eesa (A.S.) Sey Us Shakhs Ki
Shikayet Ki Keh Who Ham Sab Ko Bohot Pareshan Kerta Hey ALLAH Ta'ala Sey Kahein
Keh Us Ko Saza Dey. Chunacha Hazrat Eesa (A.S.) Ne ALLAH Pak Sey Dua Fermai Aur
Ilaqe Walon Ko Khushkhabri Sunai Keh Aaj Who Shakhs Iss Dunya Sey Uth Jaey Ga
Aur Tum Logon Ko Sukoon Hojaey Ga. Log Yeh Khabar Sun Ker Bohot Khush Huwey.
Lekin Jab Shaam Huwi Aur Logon Ney Dekha Keh Wo Dhobi Apney Sar Per Kaproon Ka
Gattha Uthaey Dhobi Ghat Sey Abadi Ki Taraf Araha Hey Tau Unhein Bara Ta'ajjub
Huwa Keh Yeh Kaisey Hogaya, Usey Tau Nabi Ki Bad Dua K Baad Aaj Mer Jana Chaheye
Tha? Chunacha Sab Hazrat Eesa (A.S.) K Paas Gaey Aur Sara Maajra Sunaya. Hazrat
Eesa (A.S.) Ne Farmaya Usko Aney Dau. Jab Wo Shakhs Qareeb Agaya Tau Hazrat Eesa
(A.S.) Ne Us Se Kaha Keh Kapron Ka Yeh Gattha Nechey Rakho, Jab Us Ne Woh Nechey
Rakha Aur Usko Khula Tau Us Mein Sey Ek Bohot Barra Azdaha Nikla Jisko Dekh Ker
Na Sirf Wo Shakhs Balkeh Doosrey Log Bhi Darr Gaey. Phir Hazrat Eesa (A.S.) Ne
Us Shakhs Sey Puchha Keh Batao Aaj Tum Ne Aisa Kon Sa Kaam Kia Keh Tumhari
Yaqini Maut Tal Gai, ALLAH Ta'ala Ney Tumhein Marney K Liye Iss Azdahey Ko
Bhaija Tha, Tau Who Kehne Laga Keh Aisa Tau Koi Khas Kaam Mene Kia Nahi Magar
Albatta Jab Dopeher Ko Mein Khaney K Liye Betha Aur Iss Sey Pehley Keh Luqma
Moonh Ko Lejata Ek Saail Agaya Aur Us Ne Kaha Mein Bhooka Hoon Mujhey Kuchh
Khaney Ko Do Tau Mein Ney Apna Khana Usko Dedia Aur Khud Bhooka Raha, Iss K
Alawah Aur Koi Barra Kaam Tau Mein Ne Kia Hi Nahi.
Hazrat Eesa (A.S.) Ne Farmaya Keh ALLAH TABARAK WA TA'ALA Ne Bohot Pehley Apne
Ooper Yeh Lazim Kerlia Hey Keh Jab Bhi Koi Shakhs ALLAH Pak Ki Rah Mein Sadqah
Karega Tau ALLAH Pak Uski Museebaton Ko Door Farma Dein Ge. Chuna Chah Pehley
Wali Baat Doosrey Waley Hukm Per Ghalib Aagai Aur ALLAH Ta'ala Ne Sadqah Kerney
Per Us Shakhs Ki Yaqeeni Maut Ko Muakhar Kerdia. Jab Us Shakhs Ne Yeh Baat Suni
Tau Wo Sajde Mein Girgaya Keh Kis Tarah ALLAH Pak Ne Mere Ek (Meri Aqal K
Mutabiq) Mamooli Amal Ko Itna Barra Darja Dia Keh Meri Maut Jo Keh Yaqini Thi
Zindagi Mein Tabdeel Kerdi Tau Us Ne Tahiyya Ker Lia Keh Ab Mein Hamesha Saqdah
Kia Karoon Ga Aur Ab Kabhi Bhi Kisi Ko Pareshan Nahi Karoonga. Ilaqe K Logon Ne
Bhi Usko Muaf Kerdia.
Dekhain Bazahir Ek Mamooli Amal Aur Uska Itna Barra Ajar………..Yeh Sirf Unhi K
Liye Nahi Tha Balkeh Qiamat Tak Anewaley Har Har Insaan K Liye Yehi Nemat Ab Bhi
Qaim Hey.
Hamein Chaheye Keh Ham Bhi Ziadah Sey Ziadah ALLAH Ki Rah Mein Sadqah Khairaat
Kia Karain Takeh Hamarey Ooper Anewali Museebatein, Beemarian, Nagahani Aafatein,
Zalzaley, Sailaab, Ghair Munsif Hakim, Jawan Motein, Bepardagi, Behayai, Zina,
Sood, Rishwat, Hamjinsparasti Aur Isi Tarah Ke Azaabaat Aney Band Hoon Aur Ham
Bhi Izzat Ki Zindagi Guzarney Waley Ban Ja Ain. Aameen.